People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Jawani Ki Kahani Bhi Ajeeb Hai
Singer: Asha Bhosle
Music: Sonik Omi
Lyricist: Verma Malik
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Maan-Gaye-Ustaad/Jawani-Ki-Kahani-Bhi-Ajib-Hai/F0UHVT17T2w
Video:
jawani ki kahani bhi azib hai jawani ki kahani bhi azib hai
wahi jane jo iske karib hai jawani ki haye haye
jawani ki kahani bhi azib hai

jab laga solhwa to ho gaya kamal
angdayi aane lagi hua bura hal
ankhiya gulbai hui gore hue gal
hoth bina surkhi ke hue lal lal
jawani ki kasam hairan ho gayi
sabki najar beiman ho gayi
aashiko se mai to pareshan ho gayi
kis buri ghadi me jawan ho gayi
mera har koi banta habib hai
jawani ki haye haye jawani ki kahani bhi azib hai

koi mujhe dekh ke rumal fekta
sitiya bajake koi mal fekta
pyar ke sunhare koi jal fekta
jo bhi fekta hai wo kamal fekta
har koi ek hi sawal puchta
hai mere liye tera kya khyal puchta
aake mere pas mera hal puchta
konsa laga hai tujhe sal puchta
mil gaya mera tujhse nasib
jawani ki haye haye jawani ki kahani bhi azib hai
jawani ki kahani bhi azib hai
wahi jane jo iske karib hai
jawani ki haye haye jawani ki kahani bhi azib hai