jis dil me pyar na ho us dil me kyu rahu

me gam ka aansu kyu banu, aankho se bahta kyu rahu

jis dil me pyar na ho
jise ghar samjhta hu me usme koi to hota

mera darde dil samjhta, mere dukh me sath hota
me dil ke dusmano ko is dil ki kyu kahu
me dil ke dusmano ko is dil ki kyu kahu
me gam ka aansu kyu banu, aankho se bahta kyu rahu
jis dil me pyar na ho us dil me kyu rah
jis dil me pyar na ho
sadiyo se zindagi me kuch aag aisi sulgi

pikar jahar bhi dekha nahi, pyas bujhi mere dil ki
is pyas me hamesha me tadpta kyu rahu