na ro tu yaha aise pagla kahi ka
mushibat ko apne gale se laga le
tere gam ki duniya tujhe de gaye hai
yaha se vaha root kar jane wale
ae mere dil yaha tu akela nahi
aur bhi hai bahut gam ke mare huye
ae mere dil yaha tu akela nahi
aur bhi hai bahut gam ke mare huye
ae mere dil yaha tu akela nahi
har kadam par yaha aur har mod par
gam ki ek dastaa kah rahi har najar
kah rahi har najar
kitani bechainiya rah ke khamosh bhi
de rahi hai sada bin pukare huye
ae mere dil yaha tu akela nahi
pyar jisne kiya usko pagal kaha
apni duniya me ye julm hota raha
julm hota raha
saikado baar ye khel khela gaya
saikado baar aise najaare huye
ae mere dil yaha tu akela nahi
aur bhi hai bahut gam ke mare huye
aise insan maine dekhe kayi
maut jinke liye jindagi ban gayi
jinki aaho se hai gunjati ye fiza
jinke aanshu gagan ke sitare huye
ae mere dil yaha tu akela nahi
aur bhi hai bahut gam ke mare huye
ae mere dil yaha tu akela nahi