intazaar intazaar intazaar intazaar
intazaar intazaar intazaar intazaar
meri subaho ko teri shaamo ka, meri shaamo ko tere vaado ka
meri raato ko tere khvaabo ka, meri neendo ko teri baaho ka
mere jazbo ko teri chaaho ka, bahaki-bahaki si kuchh khataao ka
khubsurat se kuchh gunaaho ka
intazaar intazaar intazaar intazaar
apne dilbar ka apne hamdam ka, apne jaanam ka intazaar
surkh phulo se mahka rasta hai, dil to mera magar zard patta hai
paas aankho ke sabz manjar hai, dil ka mausam to phir bhi banjar hai
mahaki-mahaki si kuchh hawaao ka, bheegi-bheegi si kuchh ghataao ka
intazaar intazaar intazaar intazaar
apne baadal ka apni baarish ka, apne saawan ka intazaar
apni dhadkan ka apni saanso ka, apne jeene ka intazaar
koi badli kabhi is tarah aayegi, pyaas sadiyo ki pal me bujh jaayegi
tujhko lauta ke meri aaghosh me, dekhna vaqt ki nabz tham jaayegi
aisa hoye ke kuchh duaao ka, umr bhar jo mile un panaaho ka
intazaar intazaar intazaar intazaar
tere aane ka tujhko paane ka, phir na jaane ka intazaar
tere aane ka tujhko paane ka, phir na jaane ka intazaar
intazaar intazaar intazaar intazaar