tumse milke mujhe aisa lagta hai kyun
tumse milke mujhe aisa lagta hai kyun
meri jaan bhi nahi tum, anjaan bhi nahi tum
tumse milke mujhe aisa lagta hai kyun
mujhse door bhi nahi tum, mere paas bhi nahi tum
tumse milti julti ek tasvir to hai mere seene me
pyar me jiske dooba dil ek hir to hai mere seene me
seene me tere koyi aur nahi, bas meri hai tasvir
chahat ki najar se dekh jara, bas main hun teri heer
baar baar ye khayal dil me uthta hai kyun
meri jaan bhi nahi tum, anjan bhi nahi tum
tum shayad bhule ho wo kasme, wo wade jo rahe apne
dekho meri in aankho me ab tak jawan wo mere sapne
sapno ki is duniya se mujhe ab lagne laga hai dar
main kaise bataun aaj tujhe kya chot hai is dil par
soch ke bas yahi dil ye darta hai kyun
mujhse door bhi nahi tum, mere pass bhi nahi tum
tumse milake mujhe aisa lagta hai kyun
meri jaan bhi nahi tum, anjan bhi nahi tum