na jane kaisi buri ghadi me dulhan bani ek abhagani
piya ki arthi le ke chali sati hone chali vo suhagani
arthi nahi nari ka sansar ja raha hai
bhagavan tere ghar ka singaar ja raha hai
bajta tha jivan ka git do sanso ke taro me
do sanso ke taro me
tuta hai jiska taar vo sitar ja raha hai
bhagavan tere ghar ka singaar ja raha hai
bhagavan tere ghar ka singaar ja raha hai
jalna tha jab tan ko jalti rahi chingari
jalti rahi chingari

bujhne ko ab jivan ka angaar ja raha hai
bhagavan tere ghar ka singaar ja raha hai
bhagavan tere ghar ka singaar ja raha hai
bhav sagar ki laharo me aise bichhade do sathi
aise bichhade do sathi
sajani manjhadhar sajan us paar ja raha hai