People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Ek Din Yeh Ansoo
Music: Roshan
Lyricist: Shailendra
Tag: Hindi
Video:
ik din aansu banenge sitare
kabhi na kabhi din aayenge hamare
kabhi na kabhi din aayenge hamare
ik din aansu banenge sitare
kabhi na kabhi din aayenge hamare
kabhi na kabhi din aayenge hamare

dukh par dukh wo deta jaye
sab kuchh dekhe taras na khaye
sab kuchh dekhe taras na khaye
fir jiye ham usi ke sahare
usi ke sahare, din aayenge hamare
kabhi na kabhi din aayenge hamare

ham par jo bhi beet rahi hain
tum ye samajh lo beet rahi hain
tum ye samajh lo beet rahi hain
naiya kabhi to lagegi kinare
lagegi kinare, din aayenge hamare
kabhi na kabhi din aayenge hamare

sun bhai heera sun mere moti
bujhne na dega aasha ki jyoti
bujhne na dega aasha ki jyoti
baadal hatenge, ghatenge andhiyare
ghatenge andhiyare, din aayenge hamare
kabhi na kabhi din aayenge hamare
ik din aansu banenge sitare
kabhi na kabhi din aayenge hamare
kabhi na kabhi din aayenge hamare