Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hamara-Khandan/Maine-Bhi-Ek-G
 maine bhi ek git likha hai teri surat dekh kar
maine bhi ek git likha hai teri surat dekh kar
likhna kya ji arz kiya hai pyar ki murat dekhkar
pal me hai afthab to pal me hai mahatab 
aisa kamal husn ka dekha nahi janab
mai bhi shayar ban baitha hu uski kudrat dekhkar
maine bhi ek git likha hai teri surat dekh kar
teri tarif me kai panne maine likh likh ke phad dale hai
kaise bandhu mai inko lafzo me tere andaz hi nirale hai
teri aankho ko zam kya likhu zam me ye nasha nahi hota 
tujhko allah hansi banata kyu 
aur duniya me agar hansi hota
phulo ko bhi khilna aaya teri nzakat dekh kar 
maine bhi ek git likha hai teri surat dekh kar
likhna kya ji arz kiya hai pyar ki murat dekhkar
git gajlo me itni bat kaha mai to tujhpe kitab likhuga
log padte rahege sadiyo tak anginat behisab likhuga
mai tere husn ka hu diwana tune sikhla di aashiqi mujhko 
kho chuka tha ghane andhero me tune 
dikhla di chandani mujhko
rang birangi ho gayi duniya teri rangat dekh kar
maine bhi ek git likha hai teri surat dekh kar likhna 
kya ji arz kiya hai pyar ki murat dekhkar
maine bhi ek git likha hai teri surat dekh kar