tere mere sapne sabhi
tere mere sapne sabhi band aakhon ke taale mein hain
chaabhi kahan dhundhein bata woh chaand ke pyale mein hai
phir bhi sapne kar dikhaoon sach to kehna bas yehi
main tere kaabil hoon yatere kaabil nahi

yeh shararatein yeh mastiyan apna yehi andaz hai
samjhayein kya kaise kahein jeene ka haan ismein raaz hai
dhadkan kahan yeh dhadakti hai dil mein teri awaaz hai
apni sab khushiyon ka ab to yeh aaghaz hai
tere mere sapne sabhi band aakhon ke taale mein hain
chaabhi kahan dhundhein bata woh chaand ke pyale mein hai
phir bhi sapne kar dikhaoon sach to kehna bas yehi
main tere kaabil hoon ya tere kaabil nahi

sagar ki reit pe dil ko jab yeh banayengi meri ungliyan
tere naam ko hi pukar ke khankengi meri choodiyan
tujhmein adaa aisi hai aaj udti hon jaise titliyan
pheeki ab na hongi kabhi yeh rangeeniyan