People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Khushiya KI Bahare
Lyricist: Brajendra Gaud
Tag: Hindi
Video:
khushiyo ki bahare laut gayi tufaan utha gam gir aaye
ae kaali ghtaao itna karo meri duniya pe bijali gir jaaye
teri yaad mein ro ro mari teri teri yaad mein ro ro mari
piya main to janm jali haye piya main to janm jali
teri yaad mein ro ro mari piya main to janm jali

suni ho gayi man ki galiya
suni ho gayi man ki galiya
murjha gayi sapno ki kaliya
murjha gayi sapno ki kaliya mere naino se laagi jhadi
piya main to janm jali haye piya main to janm jali
teri yaad mein ro ro mari piya main to janm jali

ek musafir ko dil mein basa ke
raah mein apna sab kuch luta ke
ek musafir ko dil mein basa ke
raah mein apna sab kuch luta ke
haye baithi hu jag se dari
piya main to janm jali haye piya main to janm jali
teri yaad mein ro ro mari piya main to janm jali