nile nile aasman tale khwab ke ho kafile
chalo aisi jagah chale aisi jagah chale
suraj chand ke pare pariyo kaa pata mile
chalo aisi jagah chale aisi jagah chale
jaha par shokh lehre ho arsa hi kuchh dopahare ho
daude bhigi reto par thandi rat me
ghutano bhar samundar nap le
tere hi sang me nile nile aasman tale
khwab ke ho kafile chalo aisi jagah chale
aisi jagah chale
pairo me sipi ho aankho me moti
sagar se sikho toh khwahish kya hoti
suraj ka jewar hai subaha ke mathe
ghunghat na yeh karde ke do badal se
dekho oss ki bunde palke apni munde
hai ek aisi duniya jahan khushiya naa dhale
aao aaj usko dhund le
tere hi sang me nile nile aasman tale
khwab ke ho kafile chalo aisi jagah chale
aisi jagah chale
din doobey roshan ho jhilmil yeh tare
sab me ek sapna hai sach honge sare
raato kaa andhiyara hamse kehta hai
baitho toh mere ghar chanda rehta hai
tum sang khwab pura hai tum bin sab adhura hai
chahe ab yeh duniya mile ya naa mile
maine toh saja li hai dil me tere hi sang me
nile nile aasman tale khwab ke ho kafile
chalo aisi jagah chale aisi jagah chale