unche himaalay ke niche, chhup ke chanaaro ke pichhe
soye rahenge mere sapne, soye rahenge mere sapne
kab tak yuhi ankhiya miche-miche
unche himaalay ke niche, chhup ke chanaaro ke pichhe
soye rahenge mere sapne, soye rahenge mere sapne
kab tak yuhi ankhiya miche-miche
unche himaalay ke niche
aise rahe ye manva vyaakul, aise rahe ye manva vyaakul
qaid me jaise koi bulbul, qaid me jaise koi bulbul
ab na bhaye
ab na bhaye mujhko baabul ye tere baag-bagiche, bagiche
unche himaalay ke niche
dhup se khele aise chhaiya, dhup se khele aise chhaiya
pyaar me jaise koi saiya, pyaar me jaise koi saiya
thaam le kangana
thaam le kangana vaali baiya, panghat pe pipal ke niche-niche
unche himaalay ke niche