People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Pyar Jisko Kehte Hai
Lyricist: Indeevar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Himalay-Se-Ooncha-OST/O-Saath
o sathi re o sathi re
pyar jisko kahte hai
ek baar kiya jata hai
ho pyar jisko kahte hai
ek baar kiya jata hai
dil jisko kahte hai
ek bar diya jata h
ye najro ka nata hai
sabse nahi joda jaye
chahe dam tute to tute
par pyar na toda jaye
o sathi re o sathi re

man ki chunariya, man ki chunariya
man ki chunariya rangi tere rang me
ho rangi tere rang me
preet ki dagariya chali tere sang me
ho chali tere sang me
parwat hi shishmahal hai
tu paas agar sawariya
tere sang to angaro pe
aa sakti hai re nindiya
o sathi re o sathi re

pyar kiya maine o pyar kiya maine
pyar kiya maine takrar ke bahane
takrar ke bahane
ikraar kiya maine inkaar ke bahane
inkaar ke bahane
dil kabse tha diwana
par hamne aaj pahchana
tere bina hai mushkil jina
tujhse bichhde tab jana
o sathi re o sathi re
pyar jisko kahte hai
ek baar kiya jata hai
dil jisko kahte hai
ek baar diya jata hai
ye najro ka nata hai
sabse nahi joda jaye
chahe dam tute to tute
par pyar na toda jaye
o sathi re o sathi re