khwahisho ka chehra kyun dhundhla sa lagta hai
kyun anginat khwahishe hai
khwahisho ka pehra kyun thehra sa lagta hai
kyun ye galat khwaishe hai
har mod par phir se mud jaati hai
khilte huye pal me murjhaati hai
hai besharam phir bhi sharmaati hai khwahishe
zindagi ko dhire dhire dasti hai khwahishe
aansun ko peete peete hansti hai khwahishe
uljhi hui kashmakash me umar kat jaati hai
aankhe mich jaye jo ujaalo me kis kaam ki aisi roshni
bhatka ke na laye jo kinaro pe kis kaam ki aisi kashti
aandhi ye dhire se lati hai, waada kar dhokha de jati hai
muh pher ke hans ke chidaati hai khwahishe
zindagi ko dhire dhire dasti hai khwahishe
aansun ko peete peete hansti hai khwahishe
zindagi ko dhire dhire dasti hai khwahishe
uljhi hui kashmakash me umar kat jaati hai