People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Aksar....Yaad Mein Teri
Singer: KK
Music: Justin Uday
Lyricist: Kumaar
Album: Hijack(2008)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hijack/Aksar/QFsicD5DXko
Video:
is pal mein hai aisa nasha, yeh pal yahi tham jaye aaj
mehsus jo mujhko huwa, kya tujhko bhi hone laga

yaad mein teri aksar jagta hoon main raaton ko
aahatein teri dil ki chu leti hai aankhon ko
aisa kyun hai yaar, main hoon bekarar
kya yahi hai pyaar yeh bataao na
mere khayal puche sawal
aisa kyun hai haal yeh bataao na
ho o oo o ho ho ho ho
yaad mein teri aksar jaagata hoon main raaton ko
aahatein teri dil ki chu leti hai aankhon ko

khoya rehta hoon main teri baaton mein
khushbu hai teri jo, hai meri saanson mein
zindagi ab tere saaye mein hai
chal raha teri raahon mein
muskuraake saath chalana rehana meri baahon mein
saath saath chal aaj hai jo pal kal rahe na rahe
ho o oo o ho ho ho ho
yaad mein teri aksar jaagata hoon main raaton ko
aahatein teri dil ki chu leti hai aankhon ko

tu hi din mein hai aur tu hi raaton mein
jina hai mera yeh ab tere haathon mein
tu jo kahe toh ab jiyu main ya main jina chhod du
apne dil ki dhadkano ko tere dil se jod du
paas paas rahu dil ki baat kahu tu jo mujhse kahe
ho o oo o ho ho ho ho
yaad mein teri aksar jaagata hoon main raaton ko
aahatein teri dil ki chhu leti hai ankhon ko

aisa kyun hai yaar, main hoon bekaraar
kya yahi hai pyaar yeh bataao na
mere khayaal puche sawal
aisa kyun hai haal yeh bataao na
ho o oo o ho ho ho ho