People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Na Tum Bewafa Ho
Music: Madan Mohan
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Kali-Muskayee/Na-Tum-Bewaf
na tum bewafa ho, na ham bewafa hai
na tum bewafa ho, na ham bewafa hai
magar kya kare apani rahe juda hai
na tum bewafa ho, na ham bewafa hai

jaha thandi-thandi hawa chal rahi hai
jaha thandi-thandi hawa chal rahi hai
kisi ki mohabbat waha jal rahi hai
jami-aasaman humse dono khafa hai
na tum bewafa ho, na ham bewafa hai

abhi kal talak to mohabbat jawan thi
abhi kal talak to mohabbat jawan thi
milan hi milan tha judayi kaha thi
magar aaj dono hi be-aasara hai
na tum bewafa ho, na ham bewafa hai

jamana kahe meri raaho me aaja
jamana kahe meri raaho me aaja
mohabbat kahe meri baaho me aaja
wo samajhe na majburiya apni kya hai
na tum bewafa ho, na ham bewafa hai
na tum bewafa ho, na ham bewafa hai
magar kya kare apani rahe juda hai
na tum bewafa ho, na ham bewafa hai