The purpose of art is washing the dust of daily life off our souls -Pablo Picasso
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Kuchh Sher Sunata Hu Mai
Singer: Mukesh
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Dil-Sau-Afsane/Kuchh-Sher-
kuchh sher sunata hu main
kuchh sher sunata hu main, jo tujhse mukhaatib hai
ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai

seekhi hai tumse phool ne, hansne ki har ada
seekhi hawaa ne tumse hi, chalne ki har ada
aainaa tumko dekh ke, hairaan ho gaya
ek bezubaan tumse, pashemaan ho gaya
kitni bhi taarif karu, rukti nahi zubaan
rukti nahi zubaan
kuchh sher sunata hu main, jo tujhse mukhaatib hai
ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai

haatho ki loch ras bhari shaakho ki dastan
naazuk hatheliyon pe wo, mehandi ka gulsita
pad jaaye tumpe dhoop to, sanwlaaye gora tan
makhmal pe tum chalo to, chhile paao gulbadan
kitni bhi taarif karu, rukti nahi zubaan
rukti nahi zubaan
kuchh sher sunata hu main, jo tujhse mukhaatib hai
ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai

aankhe agar jhuke to, mohabbat machal uthe
nazren agar uthe to, qayaamat machal uthe
andaaz main huzoor ka, saani nahi koyi
dono jahaan me aisi, jawaani nahi koyi
kitni bhii taarif karu, rukti nahin zubaan
rukti nahin zubaan