People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Aaye Woh Phoolo Ki Rath Par
Lyricist: Indeevar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Deedar---E---Yaar-Dharam-Kant
aaye woh phulon ke rath par
padi rahu main piya ke path par
man hi man mein ang lagau, dur khadi sharmau main
aaye woh phulon ke rath par
padi rahu main piya ke path par
aaye woh phulon ke rath par

tujhi se jyot jale jivan ki, ek hi abhilaasha hai man ki
tujhi se jyot jale jivan ki
tujhi se milan ho chaahe milan ki raat ko mar jaau main
aaye woh phulon ke rath par
padi rahu main piya ke path par
aaye woh phulon ke rath par

mehnge nahi tum sabke badale
le lu tumhe main toh rab ke badle
tum anmol tumhe kya dekar
prem kya mol chukaau main
aaye woh phulon ke rath par
padi rahu main piya ke path par
aaye woh phulon ke rath par

jal jaayungi piya ki lagan mein
jaise chakori chanda ki angan mein
raakh male jab mera jogi ang se lag jaau main
aaye woh phulon ke rath par
padi rahu main piya ke path par
mann hi mann mein ang lagaau
dur khadi sharmaau main
aaye woh phulon ke rath par
padi rahu main piya ke path par
aaye woh phulon ke rath par