Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Fashionable-Wife/Yeh-Bhi-To-I
tum thekedar bane baithe ho
dharm ki in dukan par
insaan ko jo samjhe achhut
lalach kise insano par
lalach kise insano par
ye bhi to insaan, ishaa ki santan
ye hamse rakhte chhua chhut kyun
tum pavitr hunm achhut kyu
ye bhi to insaan, ishaa ki santan
unch nich ka ye bhed bhaw chhod ke
ham rahenge aaj ye divar tod ke
jiske dwar band hain, us ram ki kasam
ab na koi kar sakega hampe ye sitam
chal pada jahan gandhi ka le vardan
ye hamse rakhte chhua chhut kyun
tum pavitr ye achhut kyun
ye bhi to insaan, ishaa ki santan
badal gayi ye kudrat kyun
hamse aisi nafrat kyun
badal gayi ye kudrat kyun
hamse aisi nafrat kyun
chhote bade samjhne wale
badhti jati adat kyun
raam ke mandir me ja sakta
chuha billi kauwa
par sidhi bhi chhu na sakta
ye insaan ka hauwa
ham papi aur tum dharmi kyun
iska hame javab do
ham sevak aur tum swami kyun
iska hame javab do
ham pathar aur tum moti kyun
iska hame javab do
ham achhut aur tum moti kyun
iska hame javab do
javab do, javab do
ham pavitr aur tum achhut kyun
iska hame javab do
javab do, javab do
ye bhi to insaan, ishaa ki santan
fir inse rakhte chhua chhut kyun
tum pavitr ye achhut kyu
ye bhi to insaan, ishaa ki santan
ye pavan agan gagan sabhi ke waste
fir bhi kyu alag alag hamare raste
inko chhuna paap hain ye kya kamal hain
inka bhi to apane jaisa khun laal hain
inko to pahchan, inme wohi jaan hain
fir inse rakhte chhua chhut kyun
tum pavitr ye achhut kyu
ye bhi to insaan, ishaa ki santan
inke puja ka tilak lagaya shyam ne
inke sabri ke chakhe the ber ram ne
inke liye tadap uthi gandhi ki aatama
inko gale lagake wo bane mahatma
maan ya maan inme hain bhagvaan
fir inse rakhte chhua chhut kyun
tum pavitr ye achhut kyu
ye bhi to insaan, ishaa ki santan
tum jhuth muth hi rijh rahe ho
pathar ke bhagwano par
nafrat ke teer chalate ho
tum in garib insano par
tum traskar ka namak
chhidakte inke ghayal praano par
inke murde jalne na dete
tum apane shamsano par
jo inhe dalit kahe ghrina kare
to thu aise viddwano par
jo inhe shatru kahe thukraye
dhikkar hain aise purano par
ye hain bejuban bhagwan me mehman
fir inse rakhte chhua chhut kyun
tum pavitr ye achhut kyu
ye bhi to insaan, ishaa ki santan
fir inse rakhte chhua chhut kyun
tum pavitr ye achhut kyu