Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Fareb/Naaz-Tha-Jispar-Pt.-2/S
naaz thaa jispe mere sine me vo dil hi nahi

ab yah shishaa kisi tasvir ke kaabil hi nahi
naaz thaa jispe mere sine me vo dil hi nahi
pher li mujhse nazar apno ne begaano ne
pher li mujhse nazar apno ne begaano ne
meraa ghar lutaa mere ghar ke hi mehmaano ne

jo mujhse pyaar kare aisaa koi dil hi nahi
mai kahaan jau ki meri koi mazil hi nahi
naaz thaa jispe mere sine me vo dil hi nahi
dil bahal jaay khyaalaat kaa rukh mod sakun

mai jahaan baith ke har ahad-e-vafaa tod sakun

meri taqadir me aisi koi mahfil hi nahi
mai kahaan jau ki meri koi mazil hi nahi
naaz thaa jispe mere sine me vo dil hi nahi
do jahaan sok me hai aaj fizaa bhi chup hai

kisse fariyaad karun ab to khudaa bhi chup hai

mai vo afasaanaa hun jo sunane ke qaabil hi nahi