Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Badla-Aur-Balidan/Tune-Roop-C
jeth ki tapti duphariya me
aur saavan ki barsaato me
hal chalaye rakhvaali ki
kaali thandi raato me
tab jaake ye fasal badhi to
beet gaye din mushkil ke
beet gaye din mushkil ke
kaam kare sab miljul ke
beet gaye din mushkil ke
kaam kare sab miljul ke
ham maahi ham maahi ke ha ha dhitaat dhitaat
ham maahi ham maahi ke ha ha dhitaat dhitaat
jab maine li angdaai, to rut basanti aai
dekh ke meri chaal nashili
fasal teri rang laai
dhitaat dhitaat
tune roop churaaya goriye, meri fasalo se
tune roop churaaya goriye, meri fasalo se
mera roop churaaya sajana teri fasalo ne
tune roop churaaya goriye, meri fasalo se
chori bhi kare ye sinajori bhi kare
chori bhi kare ye sinajori bhi kare
wo kaise ji wo kaise, sun aise ha sun aise
alhad mast baharo waala, tune bhesh banaya
in fasalo ke dekh jawaani, tujhpe joban aaya
gehu ki rang se rang li tune
apni hi kanchan kaya
hare bhare kheto ke rang se tan ko khub sajaya
pila rang churaaya tune, pili sarso se
pila rang churaaya tune, pili sarso se
tune roop churaaya goriye meri fasalo se, nahi
mera roop churaaya sajana teri fasalo ne
chori bhi kare ye sinajori bhi kare
chori bhi kare ye sinajori bhi kare
wo kaise ji wo kaise, sun aise ha sun aise
lat meri ka rang lekar ghanghor ghata jab chhai
jamke paani barsa to, dharti pe pyaas bujhai
aa us dharti pe tune sajna, apni fasal ugaai
are aanchal udta dekh ke mera
fasal teri lahraai
ye hota aaya balma kai barso se
ye hota aaya balma kai barso se
tune roop churaaya goriye
meri fasalo se, nahi re
mera roop churaaya sajana teri fasalo ne
tune roop churaaya goriye
meri fasalo se, ja ja
mera roop churaaya sajana teri fasalo ne
tune roop churaaya goriye, meri fasalo se
chhodo saare jhagde apne
aao milkar kaam kare
kheto se khaliyaan bhare
aur desh ka uncha naam kare
desh ka uncha naam kre
ham bharenge har ghar ko in fasalo se
ham bharenge har ghar ko in fasalo se
ham bharenge har ghar ko in fasalo se
ham bharenge har ghar ko in fasalo se
ham bharenge har ghar ko in fasalo se
ham bharenge har ghar ko