Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aetbaar/Jeena-Hai-Kis-Liye/HF
hanse ped jab tab to baadal hanse
hanse jab nadi tab to saagar hanse
hoke insaan bhi ham hanse na kabhi
bas yahi sochkar khud pe ham hans liye
jina hai kisliye jeevan hai isliye
zindaadili se kyun na ham jiye
jina hai kisliye jeevan hai isliye
zindaadili se kyun na ham jiye
rishte hai kisliye samajhte hai isliye
jina bhi varnaa aur hai kisliye
ye fiza aur vo bahaar do ghadi ke hai khumaar
badalna hi to kudrat me qaayam ka raha kirdaar
ye fiza aur vo bahaar do ghadi ke hai khumaar
badalna hi to kudrat me qaayam ka raha kirdaar
badlenge kisliye sanvrenge isliye
badal ke hans diye to jee liye
jina hai kisliye jeevan hai isliye
zindaadili se kyun na ham jiye
aansu ke jo dhaare hain ye gham ke sharaare hain
jo unko ponchh de bas vo hi to tumhaare hain
aansu ke jo dhaare hain ye gham ke sharaare hain
jo unko ponchh de bas vo hi to tumhaare hain
aansu hai kisliye sar dard isliye
muskaan se aansu bhi dho liye
jina hai kisliye jeevan hai isliye
zindaadili se kyun na ham jiye
rishte hai kisliye samajhte hai isliye
jina bhi varnaa aur hai kisliye