People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

sajan sajan teri dulhan
Singer: Alka Yagnik
Music: Anu Malik
Lyricist: Anand Bakshi
Album: Aarzoo
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aarzoo/Sajan-Sajan-Teri-Dulha
chandni rat, taro ki barat hai
dil ki mehfil sajane me kya der hai kya der hai
dhadkane dil ki shehnayiya ban gayi
abb toh sajan ke aane me kya der hai kya der hai

meri zindagi mera pyar yad aa raha hai
aanewala hai jo, woh yad aa raha hai
sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aaja
aakar mere hatho me mehndi tu hi racha ja
sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aaja
aakar mere hatho me mehndi tu hi racha ja
aa ja, aa ja, aa ja

payal kajal kangan daman sare tujhe bulaye
aa ja sajan aa ja tere apne tujhe bulaye
aa ja, aa ja, sajan aa ja
mere mehbub, mere hamsafar tujhko kya pata
hai tujhe kya khabar, ehsan tere kitne hai mujhpar
rab pe yakin hai jitna, utna hai tujhpar
aa ja, aa ja, aa ja

mera mehbub mera sanam aa raha hai
ham toh marhi chuke the, phir janam aa raha hai
sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aa ja
aakar mere hatho me mehndi tu hi racha ja
aa ja, aa ja, aa ja

chunri meri rangin huyi hai tere rang se sajan
aakar rang de mera ang ang apne rang se sajan
aa ja aa ja sajan aa ja
tumse wafaye bahut main karungi
kasam teri abb yeh dil kisi ko na dungi
aa tujhe bata du, mere dil mein kya hai
dil lenewale tujhe jan apni dungi
aa ja, aa ja, aa ja

dhadkane badh rahi hai, woh karib aa raha hai
khushnasibi banke mera woh nasib aa raha hai
sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aa ja
aakar mere hatho mein mehndi tu hi racha ja
chandni rat, taro ki barat hai
dil ki mehfil sajne mein kya der hai kya der hai
dhadkane dil ki shehnayiya ban gayi
abb toh sajan ke aane me kya der hai kya der hai