wahi subah wahi sham hai
wahi chehre wahi naam hai
wahi dhadkan wahi roshni bhi
allah yahin yahin raam hai
phir bhi kyun ajnabi
phir main kyun main nahi
phir hai kyun ye makan ghar nahi
sautela sa ye sheher
sautela hai ye magar
phir bhi apna hai ye jahaan
sau jagah jaye dagar
sau wajah jaane ki par
phir bhi jeena ab hai yahaan
sautela sheher, sautela sheher
sautela sheher
jaage jaage nain thaka re
bhaage bhaage pavn thake hain
muskuraye gungunaye
karta jaye ehsaan savere
na hai chhatri na hai chhat re
aur ye sapno ki takat re
ye samandar o ri ambar ren basere
phiy kyun tu ajnabi, phir kyun tu tu nahi
phir hai kyun ye aafiya ghar nahi
sautela sa ye sheher
sautela hai ye magar
phir bhi apna hai ye jahaan
sau jagah jaye dagar
sau wajah jaane ki par
phir bhi jeena ab hai yahaan
sautela sheher, sautela sheher
sautela sheher
sapno ka shehar hai ye mera
tu sang hai to ghar hai ye mera
jaisa bhi hai par hai ye mera
pichhe kahin chhuta hai jo
gaon mera rootha hai jo
meri zameen meri hawa kaha mera aasma
ab main hu ajnabi, ab main hu main nahi
hai ye mera aashiyan par ghar nahi woh
phir bhi apna hai ye jahaan
sau jagah jaye dagar, jaana hai par
phir bhi jeena ab hai yahaan
sautela sheher, sautela sheher
sautela sheher, sautela sheher
sautela sheher, sautela sheher