Ya kareem o ya ghaffaar o raheem o azeem o sari’ ur-raza
Uspe hi raazi rahun jo kiya tu ne mujhko aata
Yeh jo nadaamat ki maala hai mere gale men parhi
Tasbeeh is ko bana de ilaahi (x3)
Allaahumma inni as’aluka birahmatika
Ya z’ul-jalaal
Apne kiye pih jhukaaye hoon sar
dil mein ranj-o malaal
Tu jo sune nah sunaungga kisko yeh fariyaad main
Tu hi sami’ ul-baseer ul-mujeeb (x3)
Rabbe azaan-e bilaali bhi tu
Arham bhi tu aur jalaali bhi tu
Kun fayakun ka bhi khaaliq hai tu
Tu rabb-e mustafa
Allahu akbar
Tu rabbe murtaza
Allahu akbar
Rabbe siraat-I mustaqeem
Allahu akbar
Tu rabbe kaa‘bah
Allaahu akbar.
Nooh ki kashti ko dekhta hoon
Hauze nadaamat men dooba hua hoon
Ya raheem
Kar de tu mujh ko qurbat aata
Ya kareem
Dar-guzar kar de meri khata (x2)
Ya raheem
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Ya kareem
Bandah main tera gunaah-gaar hoon
Darya-e aatish men ham
bas yoonhi jal jaayenge
‘Gar tu sahaara bane
ya rabb sambhal jaayenge
Tu hi to wuh raushani hai kih
jis se main ghaafil huwa
Jaane anjaane gunaahon se
kuch bhi nah haasil huwa
Ho teri nazr-e karam to
yeh mushkil bhi tal jayegi
Tu hi lateef ul-khabeer ul-haleem (x2)
Rabb-e deewaar-I z’ul-qarnain tu
Rabb-e mai‘raaj-I kaunain tu
Rabb-e ismaa‘eel o zam-zam bhi tu
Tu rabb-e ibraaheem, Allahhu akbar
Tu rabb-e jibraaeel, Allahhu akbar
Rabb-e malaaika, Allahu akbar
Tu rabb-I kausar, Allahu akbar
Apne ghulaamon ki de ghulaami
Ya mutakabbir ya mughni ya mughni
Roz-e hashr ka andaazah naheen
Bakhshish ka saamaan laaya naheen
Hai meri iltija, karde qurbat aata
Karde rehm-o-karam,
miskeen hai tere dar pih khada
Mere iraade jo toote to
mujhko pata yeh chala
Teri hukoomat men hoga wahi
bas jo tu ne kaha.
Apne habeeb ke sadqe sun le meri yeh dua
Tu hi muqeet ul-haseeb ul-jaleel (x2)
Rabbe zarb-i haidar o hamzah bhi tu
Rabbe ‘asa-i moosa bhi tu
Tu rubaru bhi aur hai kubaku
Tu rabb-e ‘eesa, Allahu akbar
Tu rabb-e maryam, Allahu akbar
Rabb-e sahaabah, Allahu akbar
Tu rabb-e panj-tan, Allahu akbar
Nooh ki kashti ko dekhta hoon
Hauz-e nadaamat men dooba hua hoon
Ya raheem, Ya kareem (x2)
Kar de tu mujh ko qurbat aata
Ya kareem
Dar-guzar kar de meri khata
Ya raheem
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Ya kareem
Bandah main tera gunaah-gaar hoon
Kar de tu mujh ko qurbat aata
Dar-guzar kar de meri khata
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Bandah main tera gunaah-gaar hoon
Kar de tu mujh ko qurbat aata
Dar-guzar kar de meri khata
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Bandah main tera gunaah-gaar hoon