People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 14 *

Aye Ishq Hame Barbad Na Kar
Lyricist: Sarshar Sailani
Album: Naach(1949)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naach/Ishq-Humein-Barbad/BiQDHEx8ZlU
Video:
sine me aag bhadkti hai, aankho se pani bahta hai
kuch aisi chot lagi dil par, dil ro ro kar ye kahta hai
ae ishq hame barbad na kar, ae ishq hame barbad na kar

dil tod ke man ka meet gaya, hum har gaye gum jeet gaya
khushiyo ka zamana bit gaya, khushiyo ka zamana yad na kar
ae ishq hame barbad na kar, ae ishq hame barbad na kar

kyu rote hai do diwane, bedard zamana kya jane
bedard zamane se aye dil, ummid na rakh fariyad na kar
ae ishq hame barbad na kar, ae ishq hame barbad na kar

pahle to kapat ne kaid kiya, saiyad ne phir ye hukm diya
hotho ko see ashko ko pee,aasu na baha fariyad na kar
ae ishq hame barbad na kar, ae ishq hame barbad na kar
ae ishq hame barbad na kar, ae ishq hame barbad na kar
Yehi Bahar Hai Duniya
Music: Roshan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raag-Rang/Yahi-Bahar-Hai/HVssQxhlU0s
Video:
yahi bahar hai, yahi bahar hai
yahi bahar hai duniya ko bhul jane ki hai
khushi manane ki
yahi ghadi hai jawani ki gungunane ki hai
ha muskurane ki

ye pyare pyare najare ye thandi thandi hawa
ye halka halka nasha
ye kaali kaali ghatao ki mast mast ada
ye koyalo ki sadaa
machal ke aa gayi rut mastiya lutane ki
yahi bahar hai duniya ko bhul jane ki hai
khushi manane ki

kali kali se ye bhawre ne muskurake kaha
naja mila ke kaha
najar se kaam na nikla to gudguda ke kaha
gale laga ke kaha
kiya hai pyar to, kiya hai pyar to
kiya hai pyar to parvah na kar jamane ki
hansi udaane ki
yahi bahar hai duniya ko bhul jane ki hai
khushi manane ki

jo tutta hai ruba
jo tutta hai ruba usko tut jane de
mere shabab ko jee bhar ke geet gane de
ha geet gane de
mere shabab ko jee bhar ke geet gane de
ha geet gane de
tadap uthi hai, tadap uthi hai
tadap uthi hai tamnnaae jhum jane ki
lagi bujhane ki
yahi bahar hai duniya ko bhul jane ki
khushi manane ki
Kahin Dil Lagaane Ka
Music: Roshan
Lyricist: Sarshar Sailani
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raag-Rang/Kahin-Dil-Lagane-Ka-Saman-Karle/MR8AAT94ZVs
Video:
kahi dil lagane ka, saaman kar le
saaman kar le
wo manjil ki mushkil ko, asaan kar le
asaan kar le
kahi dil lagane ka, saaman kar le
saaman kar le

murado ke din hain, murado ke din hain
ye umango ki raate, umango ki raate
ye baate nahi hain lete, bate nahi hain lete
kahun kaise baate, kahun kaise baate
nigaho nigaho me, pahchan kar le
nigaho nigaho me pahchan kar le
manjil ki
manjil ki mushkil ko, asaan kar le
ho asaan kar le
ho asaan kar le

kahi dil lagane ka, saaman kar le
saaman kar le
wo manjil ki mushkil ko, asaan kar le
asaan kar le

wahi zindagi hain jo, wahi zindagi hain jo
jo khushiyo se khele, khushiyo se khele
mushkil hain duniya me, mushkil hain duniya me
jeena akele, jeena akele
kisi ki tamanna ko mehmaan kar le
kisi ki tamanna ko mehmaan kar le
manjil ki
manjil ki mushkil ko, asaan kar le
ho asaan kar le
ho asaan kar le

kahi dil lagane ka, saaman kar le
saaman kar le
wo manjil ki mushkil ko, asaan kar le
asaan kar le
Shaq Nahi Rupaye
Music: Roshan
Lyricist: Sarshar Sailani
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raag-Rang/Shaq-Nahin-Rupayie-Mein-Pai-Ka/Jy4Fd01ABXc
Video:
shaq nahi rupaye me paayi kaa
duniyaa hai naam safaayi kaa
shaq nahi rupaye me paayi kaa
duniyaa hai naam safaayi kaa

ye duniyaa, ye duniyaa heraa pheri hai
kabhi teri hai to kabhi meri hai
tudunaa tudunaa shur, kali kaligan shur
o o o baabuji, o baabuji, khel safaayi kaa
shaq nahi rupaye me paayi kaa
duniyaa hai naam safaayi kaa
shaq nahi rupaye me paayi kaa
duniyaa hai naam safaayi kaa

chatak chatak chatakaare lekar
sunane vaale mere taraane
muft baari ke gaye zamaane
jald nikaalo do do aane
o naa naa ek aanaa ham nahi maangataa
din hai ye mahagaayi kaa
shaq nahi rupaye me paayi kaa
duniyaa hai naam safaayi kaa
shaq nahi rupaye me paayi kaa
duniyaa hai naam safaayi kaa

dhan daulat ke matavaalo ki
har baat niraali hoti hai
har baat niraali hoti hai
baazaar me nikale divaalaa
par ghar me divaali hoti hai
par ghar me divaali hoti hai
hai ye bhi rag kamaayi kaa
shaq nahi rupaye me paayi kaa
duniyaa hai naam safaayi kaa
shaq nahi rupaye me paayi kaa
duniyaa hai naam safaayi kaa
Seene Mein Aag
Singer: Geeta Dutt
Lyricist: Sarshar Sailani
Album: Rakhi(1949)
Tag: Hindi
Video:
seene me aag aankho me paani liye huye
baithi hu dil me daag-e-jawani liye hue
nigaaho me andhera chha raha hai
ab to aa jaao
nigaaho me andhera chha raha hai
ab to aa jaao
tadap kar dil hame tadpa raha hai
ab to aa jaao

tumhaari raah kab tak raat din dekha kare koi
kisi ka dam labo par aa raha hai
ab to aa jaao
kisi ka dam labo par aa raha hai
ab to aa jaao
nigaaho me andhera chhaa raha hai
ab to aa jaao

bahut tarsa chuke, tadpa chuke
thukra chuke humko
jamaana bhi hame thukara raha hai
ab to aa jaao
jamaana bhi hame thukara raha hai
ab to aa jaao
nigaaho me andhera chhaa raha hai
ab to aa jaao

tumhaari deed ko ataki huyi hai jaan aankho me
marij-e-gham jaha se ja raha hai
ab to aa jaao
marij-e-gham jaha se ja raha hai
ab to aa jaao
nigaaho me andhera chhaa raha hai
ab to aa jaao
Babul Ka Ghar
Singer: Geeta Dutt
Lyricist: Sarshar Sailani
Album: Rakhi(1949)
Tag: Hindi
Video:
babul ka ghar chhod ke gori ho gayi aaj parai re
doli dekh jiyara dole aankh neer bhar layi re

pyari jag ki reet ri sakhiyo kaun kisi ka meet ri sakhiyo
pyari jag ki reet ri sakhiyo kaun kisi ka meet ri sakhiyo
jhuthi sabki preet sakhiyo kisne preet nibhayi re
babul ka ghar chhod ke gori ho gayi aaj parai re
doli dekh jiyara dole aankh neer bhar layi re

jin galiyo me bachpan bita kholi aankh jawani ne
un galiyo se kiya kinara sakhiyo ki patrani ne
bhaiya ka man bhar bhar aaye chhod chali maa jayi re
babul ka ghar chhod ke gori ho gayi aaj parai re
doli dekh jiyara dole aankh neer bhar layi re

khet kyar me kho kar gori hamko bhul na jana
roz nahi to kabhi kabhi do aksar likh bhijwana
dhire dhire madhur suro me yahi kahe sahnayi re
babul ka ghar chhod ke gori ho gayi aaj parai re
doli dekh jiyara dole aankh neer bhar layi re
babul ka ghar chhod ke gori ho gayi aaj parai re
doli dekh jiyara dole aankh neer bhar layi re
Dil Kisi Ne Chhin Liya
Lyricist: Sarshar Sailani
Album: Rakhi(1949)
Tag: Hindi
Video:
dil kisi ne chin liya
pahli mulakat me ho, pahli mulakat me
pahli mulakat me ho, pahli mulakat me
dil ke badle dard diya
dil ke badle dard diya
pahli mulakat me ho, pahli mulakat me
pahli mulakat me ho, pahli mulakat me
dil kisi ne chin liya

aisi mulakat meri pahli mulakat hai
pahli mulakat hai, pahli mulakat meri
ye dekhne ki bat hai, ye dekhne ki bat hai
aisi mulakat meri pahli mulakat hai
pahli mulakat hai, pahli mulakat meri
ye dekhne ki bat hai, ye dekhne ki bat hai
har gaya papi jiya, har gaya papi jiya
pahli mulakat me ho, pahli mulakat me
pahli mulakat me ho, pahli mulakat me
dil kisi ne chin liya

dekhne ki der thi, mai dekhte hi kho gayi
mai dekhte hi kho gayi
koi mera ho na ho, par mai kisi ki ho gayi
mai kisi ki ho gayi
dekhne ki der thi, mai dekhte hi kho gayi
mai dekhte hi kho gayi
koi mera ho na ho, par mai kisi ki ho gayi
mai kisi ki ho gayi
man liya unko piya, man liya unko piya
pahli mulakat me ho, pahli mulakat me
pahli mulakat me ho, pahli mulakat me
dil kisi ne chin liya
dil kisi ne chin liya
pahli mulakat me ho, pahli mulakat me
pahli mulakat me ho, pahli mulakat me
dil kisi ne chin liya
Arey Jane Wale
Singer: Geeta Dutt
Lyricist: Sarshar Sailani
Album: Rakhi(1949)
Tag: Hindi
Video:
are jaane waale idhar dekhata ja
are jaane waale idhar dekhata ja
bhala ho tera ek najar dekhata ja
bhala ho tera ek najar dekhata ja
are jaane waale idhar dekhata ja
are jaane waale idhar dekhata ja

ye teri khushi baat karna na karna
kawaali ki jholi ko bharna naa bharna
hame jaate jaate magar dekhata jaa
hame jaate jaate magar dekhata jaa
are jaane waale idhar dekhata ja
are jaane waale idhar dekhata ja
bhala ho tera ek najar dekhata ja
bhala ho tera ek najar dekhata ja
are jaane waale idhar dekhata ja
are jaane waale idhar dekhata ja

jubaa par tera naam hota hai kaahe
tarsti hai tujhko pareshaan nigaahe
mera haal o bekhabar dekhta jaa
mera haal o bekhabar dekhta jaa
are jaane waale idhar dekhata ja
are jaane waale idhar dekhata ja
bhala ho tera ek najar dekhata ja
bhala ho tera ek najar dekhata ja
are jaane waale idhar dekhata ja
are jaane waale idhar dekhata ja

nigaaho se paigaam dena bahut hai
tera ek najar dekh lena bahut hai
ye kisne kaha umar bhar dekhta jaa
ye kisne kaha umar bhar dekhta jaa
are jaane waale idhar dekhata ja
are jaane waale idhar dekhata ja
bhala ho tera ek najar dekhata ja
bhala ho tera ek najar dekhata ja
are jaane waale idhar dekhata ja
are jaane waale idhar dekhata ja
Ho Meri Bhabhi
Lyricist: Sarshar Sailani
Album: Rakhi(1949)
Tag: Hindi
Video:
mori bhabhi ke gaal gulaabi, gulaabi
mori bhabhi ke gaal gulaabi
o mori bhabhi ke gaal gulaabi
mori bhabhi ke gaal gulaabi, gulaabi
mori bhabhi ke gaal gulaabi
o mori bhabhi ke gaal gulaabi

sakhiyo se naina milaaye bhala kaise
milaaye bhala kaise
sakhiyo se naina milaaye bhala kaise
milaaye bhala kaise
shaadi ki masti me jhume hai aise
shaadi ki masti me jhume hai aise
jaise jhume nashe me sharaabi, sharaabi
mori bhabhi ke gaal gulaabi
o mori bhabhi ke gaal gulaabi
mori bhabhi ke gaal gulaabi, gulaabi
mori bhabhi ke gaal gulaabi
o mori bhabhi ke gaal gulaabi

kisko sunaati hai panghat ki raaniya
panghat ki raaniya
kisko sunaati hai panghat ki raaniya
panghat ki raaniya
bhabhi se karti mai apni kahaaniya
bhabhi se karti mai apni kahaaniya
aisi chaalo ko jaane hai bhabhi
aisi chaalo ko jaane hai bhabhi
o ho ji mori bhaabhi ke gaal gulaabi
o mori bhabhi ke gaal gulaabi
mori bhabhi ke gaal gulaabi, gulaabi
mori bhabhi ke gaal gulaabi
o mori bhabhi ke gaal gulaabi

din ko chain na, raat ko nindiya
buri birah ki ghadiya
ghadi ghadi ginti hai gori
piya milan ki ghadiya
mori bhabhi gajab ki hisaabi
mori bhabhi gajab ki hisaabi, hisaabi
mori bhabhi ke gaal gulaabi
o mori bhabhi ke gaal gulaabi
mori bhabhi ke gaal gulaabi, gulaabi
mori bhabhi ke gaal gulaabi
o mori bhabhi ke gaal gulaabi
mori bhabhi ke gaal gulaabi, gulaabi
mori bhabhi ke gaal gulaabi
o mori bhabhi ke gaal gulaabi
Kahe Dheere Chalo Ri
Lyricist: Sarshar Sailani
Album: Rakhi(1949)
Tag: Hindi
Video:
kaahe dheere chale ri ghadi
kaahe dheere chale ri ghadi
baat dekhu mai
baat dekhu mai kab se khadi
kab se khadi
kaahe dheere chale ri ghadi
kaahe dheere chale ri ghadi

chain padati nahi mohe saajan bina
mohe saajan bina
tere bas me saajan ko laana yaha
ha laana yaha
tej ho ja ghadi ki ghadi
tej ho ja ghadi ki ghadi
ghadi ki ghadi
kaahe dheere chale ri ghadi
kaahe dheere chale ri ghadi

tu jo tik tik kare, jiya dhak dhak kare
jiya dhak dhak kare
ye khushamat bhala koi kab tak kare
koi kab tak kare
mai to sau baar paiya padi
mai to sau baar paiya padi, paiya padi
kaahe dheere chale ri ghadi
kaahe dheere chale ri ghadi

jhum uthe nasha bhara man
jhum uthe nasha bhara man
meharbaani ho teri badi
meharbaani ho teri badi, teri badi
kaahe dheere chale ri ghadi
kaahe dheere chale ri ghadi
baat dekhu mai
baat dekhu mai kab se khadi
kab se khadi
kaahe dheere chale ri ghadi
kaahe dheere chale ri ghadi
Mohe La de
Lyricist: Sarshar Sailani
Album: Rakhi(1949)
Tag: Hindi
Video:
mohe la de, ho mohe la de reshmi lehanga
mohe la de, ho mohe la de reshmi lehanga
chaahe sasta mile chaahe mahanga
ho chaahe sasta mile chaahe mahanga
waah ri meri nain michkko

bojh lehange ka kaise uthayegi
kaise uthayegi
tori patli kamar bal khaayegi
kamar bal khaayegi
tori patli kamar bal khaayegi
kamar bal khaayegi
mai na laaunga, ho mai na laaunga reshmi lehanga
mai na laaunga, ho mai na laaunga reshmi lehanga
chaahe sasta mile chaahe mahanga
chaahe sasta mile chaahe mahanga

ho phir laa de chunariya silki
ho phir laa de chunariya silki
tune baat kahi mere dil ki
ho tune baat kahi mere dil ki
par wo hai videshi mill ki
mai na laaunga, mai na laaunga chunariya silki

acchha shut sila de parachute ka, parachute ka
acchha shut sila de parachute ka
dil loot legi kisi rangrut ka
ho dil loot legi kisi rangrut ka
aji jaane bhi do chhodo ye bahaane
chhodo ye bahaane
gori sach main kahu raam jaane
raam jaane, raam jaane, raam jaane
aji jaane bhi do chhodo ye bahaane
chhodo ye bahaane
gori sach main kahu raam jaane
raam jaane, raam jaane, raam jaane
achha to phir raam hi jaane mai to chali bareli
ruth chali mori nain michakko
chhod ke jaan akeli
kanghi le le shisha le le, ruth naa meri jaan
kanghi le le shisha le le, ruth naa meri jaan
bhaad me jhonki kanghi shishe, baand mera saaman
are bhaad me jhonki kanghi shishe, baand mera saaman
main to mayke chali, gham le ke chali
main to mayke chali, gham le ke chali

duniya waalo, duniya waalo
duniya waalo, duniya waalo
dekho mere ghar ki baat niraali
sabka shish jhuke mere aage, par na jhuke gharwaali
gori mayke na ja, dukh de ke na ja
gori mayke na ja, dukh de ke na ja
tohe la dunga, ho tohe laa dunga reshami lehanga
tohe la dunga, ho tohe laa dunga reshami lehanga
chaahe sasta mile chaahe mahanga
ho chaahe sasta mile chaahe mahanga
O Ruth Jane Wale
Lyricist: Sarshar Sailani
Album: Rakhi(1949)
Tag: Hindi
Video:
o ruth jaane waale
o ruth jaane waale, mera kasur kya hai
kyu pher li nigaahe
kyu pher li nigaahe
kyu mujhko gham diya
o ruth jaane waale, mera kasur kya hai

fariyaad sun rahi hai, sahami huyi jawaani
kisko sunaau ae dil, dukh dard ki kahaani
apne nahi jab apne, gairo se kya gila hai
o ruth jaane waale
o ruth jaane waale, mera kasur kya hai

beete huye dino ki baato ko yaad karke
gujri huyi suhaani raato ko yaad karke
mai dil ko ro rhi hu, dil mujhko ro rha hai
o ruth jaane waale
o ruth jaane waale, mera kasur kya hai

din raat kha raha hai, gham teri berukhi ka
najdeek aa raha hai, anjaam jindagi ka
tu hi bata ki aise, jine me kya maja hai
Rakhi Ka Aaya Tyohar
Lyricist: Sarshar Sailani
Album: Rakhi(1949)
Tag: Hindi
Video:
raakhi ka aaya tyohaar sakhi, raakhi ka aaya tyohaar sakhi
raakhi ka aaya tyohaar, raakhi ka aaya tyohaar

more bhaiya jiye jale ghar me diye mai usi ke liye
baandhu raakhi me aasha ke taar sakhi
baandhu raakhi me aasha ke taar sakhi
raakhi ka aaya tyohaar, raakhi ka aaya tyohaar

uthe man me umang jaise saagar me tarang
uthe man me umang jaise saagar me tarang
jaise bagiya me aayi bahaar sakhi
jaise bagiya me aayi bahaar sakhi
raakhi ka aaya tyohaar, raakhi ka aaya tyohaar

dekhi duniya ki rit bahan bhaai ki prit
dekhi duniya ki rit bahan bhaai ki prit gaao khushi ke git
more baabul ke ghar ka singaar sakhi sakhi
raakhi ka aaya tyohaar, raakhi ka aaya tyohaar

yu baandhane ko baandho koyi hazaar dhaage
lekin hazaar par hai raakhi ke chaar dhaage
chaar dhaago me bandha hai pyar sakhi
chaar dhaago me bandha hai pyar sakhi
raakhi ka aaya tyohaar, raakhi ka aaya tyohaar
raakhi ka aaya tyohaar sakhi, raakhi ka aaya tyohaar sakhi
raakhi ka aaya tyohaar, raakhi ka aaya tyohaar
Teri Gali Se Bahut
Singer: Talat Mehmood
Lyricist: Sarshar Sailani
Album: Rakhi(1949)
Tag: Hindi
Video:
teri gali se bahut, bekarar ho ke chale
shikar karne ko aaye, shikar ho ke chale
dil par kisi ka tire nazar, khake reh gaye
dil par kisi ka tire nazar, khake reh gaye
hum apne dil ko aap hi, tadpa ke reh gaye

dono ke dil me josh tha, do nau jawan the
dono ke dil me josh tha, do nau jawan the
lekin juban latke hue, bejuban the
lekin juban latke hue, bejuban the
dono kisi khyal se, sarmake reh gaye
dono kisi khyal se, sarmake reh gaye
dil par kisi ka tire najar, khake reh gaye

itna to hosh hai ke, najar se najar mili
itna to hosh hai ke, najar se najar mili
dil ki na uske bad hame, kuch khabar mili
dil ki na uske bad hame, kuch khabar mili
hum hosh me jab aaye to, pachtake reh gaye
hum hosh me jab aaye to, pachtake reh gaye
dil par kisi ka tire najar, kha ke reh gaye
hum apne dil ko aap hi, tadpa ke reh gaye