gali koi apni, na shehar apna koi
kaha din bitaate, kaha raat karte
gali koi apni, na shehar apna koi
kaha din bitaate, kaha raat karte
na milta agar maikada to bataao
kaha zindagi se mulaakaat karte
gali koi apni, na shehar apna koi
kaha din bitaate, kaha raat karte
masaail the kuch is kadar zindagi ke
masaail the kuch is kadar zindagi ke
kabhi zakhm bhi gin nahi paaye apne
kabhi zakhm bhi gin nahi paaye apne
tamanna thi apne se milte kisi din
kabhi khud se bhi do ghadi baat karte
gali koi apni, na shehar apna koi
kaha din bitaate, kaha raat karte
hui khair nikle jo, dairo haram se
hui khair nikle jo, dairo haram se
thikana diya maikade ki gali ne
thikana diya maikade ki gali ne
kaha jaake hum kaatate dhoop ke din
kaha khatam hum apni barasaat karte
gali koi apni, na shehar apna koi
kaha din bitaate, kaha raat karte
uthaye huye bhoj sa, dil pe koi
uthaye huye bhoj sa, dil pe koi
bhatakte rahe shehar ki bhid mein hum
bhatakte rahe shehar ki bhid mein hum
yaha kaun apna tha apne alawa
jafar kisse izhaare haalat karte
na milta agar maikada to bataao
kaha zindagi se mulaakaat karte
gali koi apni, na shehar apna koi
kaha din bitaate, kaha raat karte
kaha din bitaate, kaha raat karte
kaha din bitaate, kaha raat karte
divaro se milkar rona acha lagta hai
ham bhi pagal ho jayenge aisa lagta hai
divaro se milkar rona acha lagta hai
ham bhi pagal ho jayenge aisa lagta hai
divaro se
duniya bhar ki yaade hamse milne aati hai
shaam dhale is soone ghar me mela lagta hai
ham bhi pagal ho jayenge aisa lagta hai
divaro se
kitne dino ke pyase honge yaaro socho to
shabnam ka katra bhi jinko dariya lagta hai
ham bhi pagal ho jayenge aisa lagta hai
divaro se
kisko kaisar pathar maru kaun paraya hai
kaun paraya hai kaun paraya hai
kisko kaisar pathar maru kaun paraya hai
sheesh mehal me ek ek chehra apna lagta hai
ham bhi pagal ho jayenge aisa lagta hai
divaro se milkar rona acha lagta hai
ham bhi pagal ho jayenge aisa lagta hai
divaro se divaro se divaro se
kisi ki yaad mere aaspaas rahti hain
kisi ki yaad mere aaspaas rahti hain
bahut dino se tabiyat udaas rahti hain
kisi ki yaad mere aaspaas rahti hain
bichhad gaya hai, magar dil ye maanta hi nahi
bichhad gaya hai, magar dil ye maanta hi nahi
bichhad gaya hai, magar dil ye maanta hi nahi
na jaane kyu, tere milne ki aas rahti hai
na jaane kyu, tere milne ki aas rahti hai
bahut dino se tabiyat udaas rahti hain
kisi ki yaad mere aaspaas rahti hain
chhudake haath agar chal diya to hairat kyon
chhudake haath agar chal diya to hairat kyon
chhudake haath agar chal diya to hairat kyon
khushi hamesha yaha kiske paas rahti hain
khushi hamesha yaha kiske paas rahti hain
bahut dino se tabiyat udaas rahti hain
kisi ki yaad mere aaspaas rahti hain
tu apne aeb chhupane chala to hai lekin
tu apne aeb chhupane chala to hai lekin
tu apne aeb chhupane chala to hai lekin
har aaine ki nazar belibaas rahti hai
har aaine ki nazar belibaas rahti hai
bahut dino se tabiyat udaas rahti hain
kisi ki yaad mere aaspaas rahti hain
bahut dino se tabiyat udaas rahti hain
kisi ki yaad mere aaspaas rahti hain
dard chamka rahi hai teri yaad
nur barsa rahi hai teri yaad
dil ki vaadi me, chandani ki tarah
failti ja rahi hai teri yaad
yaado ka ek jhonka aaya
humse milne barso baad
yaado ka ek jhonka aaya
humse milne barso baad
pehle itna roye nahi the
pehle itna roye nahi the
jitna roye barso baad, barso baad
yaado ka ek jhonka aaya
humse milne barso baad
lamha lamha ghar ujda hai
mushkil se ehsaas hua
lamha lamha ghar ujda hai
mushkil se ehsaas hua
mushkil se ehsaas hua
patthar aaye barso pehle
shishe tute barso baad
patthar aaye barso pehle
shishe tute barso baad
yaado ka ek jhonka aaya
humse milne barso baad
aaj humari khaak pe duniya
rone dhone baithi hai
aaj humari khaak pe duniya
rone dhone baithi hai
rone dhone baithi hai
phul huye hai jaane kaise
itne saste barso baad
phul huye hai jaane kaise
itne saste barso baad
pehle itna roye nahi the
pehle itna roye nahi the
jitna roye barso baad, barso baad
yaado ka ek jhonka aaya
humse milne barso baad
bhul bhi jaao kisne toda
kaise toda, kyon toda
bhul bhi jaao kisne toda
kaise toda, kyon toda
kaise toda, kyon toda
dhundh rahe ho kya galiyo me
dil ke tukde barso baad
dhundh rahe ho kya galiyo me
dil ke tukde barso baad
yaado ka ek jhonka aaya
humse milne barso baad
dastak ki ummed lagaye
kab tak kaisar jeete hum
dastak ki ummed lagaye
kab tak kaisar jeete hum
dastak ki ummed lagaye
kab tak kaisar jeete hum
kab tak kaisar jeete hum
kal ka vaada karne waale
milne aaye barso baad
kal ka vaada karne waale
milne aaye barso baad
pehle itna roye nahi the
pehle itna roye nahi the
jitna roye barso baad, barso baad
yaado ka ek jhonka aaya
humse milne barso baad