People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 2 *

Deep Jalenge Deep
Singer: Geeta Dutt
Music: Ram Ganguly
Lyricist: Lalchand Bismil
Album: Paisa(1957)
Tag: Hindi
Video:
deep jalenge deep diwali aayi ho
ho diwali aayi ho
deep jalenge deep diwali aayi ho
ho diwali aayi ho

aa rahi hai man vina ke tar hilane wali
aa rahi priya prem aalap sunane wali
jhan jhan nan baj rahi hai
jhan jhan nan baj rahi hai nupur ki sahnayi
deep jalenge deep diwali aayi ho
ho diwali aayi ho

nile gagan ki gori ne pahni hai nili sadi
naino me kajal chamkata roli mang saware
kali raat amawas ki ho
sab dekh dekh muskaye ho
deep jalenge deep diwali aayi ho
ho diwali aayi ho

pooja archna karne ko us sajni thal sajale
chun chun phul gunth le mala deep jalale
aaj dev ke darshan honge
yahi sandesha layi hai ho diwali aayi ho
deep jalenge deep diwali aayi ho
ho diwali aayi ho
Paisa Hi Rang Roop
Singer: Mohammad Rafi
Music: Ram Ganguly
Album: Paisa(1957)
Tag: Hindi
Video:
paisa hi rang rup hai paisa hi mal hai
paisa na ho to admi charkhe ki mal hai
paise hi ka amir ke dil me khyal hai
paise hi ka fakir bhi karta sawal hai
paisa hi fauj paisa hi jaho jalal hai
paise hi ka tamam ye dango dalal hai

paisa hi bas batata hai insan ki jat ko
bin paise saga bhai bhi puche na bat ko
paisa hi jeb deta hai byah or barat ko
paisa ho pas dulha bane adhi rat ko
dekho kabar uthate hai paise ke waste
teero sana lagate hai paise ke waste
maidan me jakham khate hai paise ke waste
ya takhte sar katte hai paise ke waste
paisa hi badi chiz hai ye khub kaha hai
bismil magar nazir ne ye bhi to likha hai
paise se jo ulfat tujhe ho jayegi baba
dukh isme teri ruh bahut payegi baba

daulat jo teri yahi na kam aayegi baba
fir kya tujhe allah se milwayegi baba
bedar khabardar ho is bat se mat bhul
ye kabar me to sath nahi jayegi baba
bukho ko garibo ko yatimo ko khila ja
warna ye tujhe bojh tadpayegi baba
paise ke pet me kabhi aana nahi baba
insaniyat pe dag lagana nahi baba