aisa ye jahaan
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aisa-Yeh-Jahaan/Aisa-Yeh-Jaha
chaandi jaisi roshani thi
maili maili si kyu huyi
sheeshe jaisi ye nadi thi
ab ye pehle si kyun nahin
aisa ye jahaan, aisa ye jahan
aisa ye jahaan, aisa ye jahan
na samajh ye samajh na paaye
tera mera na hai ye jahan
sadiyon se chalta aaya hai ye
rahega ye hamesha yahan
ho chalta jaa chalta jaa chalta jaa
saansen de jeevan mein dhalta jaa
sang mausam ke tu rang badalta jaa
dekh bande rukna nahin jhukna nahi, chalta hi jaa tu
dekh bande auro ko de tu zindagi, chalta hi jaa tu
reh jaayega yahan bas tera hi nishan
dekh bande aisa ye jahan, aisa yeh jahaan
panchhiyo ke aashiyaane
pehle jitane ab kyun nahi
daaliyo ke shaamiyo mein
gehre utne ab kyun nahin
chalta jaa chalta jaa chalta jaa
yeah saansen de jeevan mein dhalta jaa
banke shakhe tu aur nikalta jaa
dekh bande rukna nahin jhukna nahi
chalta hi jaa tu
dekh bande auron ko de tu roshani
chalta hi jaa tu
reh jaayega bas tera hi nishan
this is the world that he made no we failed it
look at everything how changed it
mujhe to saans nahi aati there is so much pollution
kuch na kuch toh karna hoga gotta find a sollution
if you dont act now i am telling you wasted
so much smoke in the air that i can chest it
global warming on whole of the sky
do you really wanna live or do you wanna die
save trees, save lives
aisi zindagi aisa ye jahan
aisa ye jahaan, aisa ye jahan
aisa ye jahaan, aisa ye jahan
aisa ye jahaan
nanhi munni chidiya
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aisa-Yeh-Jahaan/Lori-Nanhi-Mu
ek thi nanhi munni chidiya
thodi naughty si
pyari pyari uski duniya
thi haan chhoti si
kabhi phurrr se ude haan
kabhi sarrr se thame woh
kabhi udak pudak nache woh chham chham
ek thi raani ek thaa raja
uncha unka naam
chidiya ke maa bapa kartey
unka saara kaam
kabhi raani mahel mein
kabhi chaay ke baagon mein
gaate rehte tararumpum pum pum
maa ki thi woh laadali
deta kaandho par pali
deta deta kya hota hai
yeh deta ka matlab hai papa
oo papa oo papa
maa ki thi woh laadali, deta kaandho par pali
kabhi unko sataye, kabhi woh ruth jaaye
pichhe unke machaye, kuchh tham dham dham
haan ek thi nanhi munni chidiya, thodi naughty si
pyari pyari uski duniya, thi haan chhoti si
haste gaate ude woh, maa geeta ki pyari woh
sundri mundri thi par thi atom-bum
are phir kya huaa phir
phir ek din subah jaise, bole na uske baba ne
aankhein hi kholi na, woh boli baba kehna
main maanugi tera, ek baar bolo yeh toh zara
ud jaa ud jaa ud jaa
uske baba yun ruthe jage hi naa
maa ki aansu yun foote ruke hi naa
nanhi si jaan dhundha phir saara aasmaan
mil jaaye kahin koi nishaan
ud jaa ud jaa ud jaa
ek din raja maa se bola
ise pardesh jaana hi hoga
ki maa ne jatan kayi phir bhi
raja toh haan raja thaa ji
maa toh ro ro ke huyi baanwari
sun le bitiya meri baat aakhari
maa baba tere mann mein
tu chahein ho jahaan
ab chahein jo ho rukna toh na
ud jaa ud jaa ud jaa ud jaa ud jaa
ud jaa ud jaa ud jaa ud jaa ud jaa
sautela sheher
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aisa-Yeh-Jahaan/Sautela-Shehe
wahi subah wahi sham hai
wahi chehre wahi naam hai
wahi dhadkan wahi roshni bhi
allah yahin yahin raam hai
phir bhi kyun ajnabi
phir main kyun main nahi
phir hai kyun ye makan ghar nahi
sautela sa ye sheher
sautela hai ye magar
phir bhi apna hai ye jahaan
sau jagah jaye dagar
sau wajah jaane ki par
phir bhi jeena ab hai yahaan
sautela sheher, sautela sheher
sautela sheher
jaage jaage nain thaka re
bhaage bhaage pavn thake hain
muskuraye gungunaye
karta jaye ehsaan savere
na hai chhatri na hai chhat re
aur ye sapno ki takat re
ye samandar o ri ambar ren basere
phiy kyun tu ajnabi, phir kyun tu tu nahi
phir hai kyun ye aafiya ghar nahi
sautela sa ye sheher
sautela hai ye magar
phir bhi apna hai ye jahaan
sau jagah jaye dagar
sau wajah jaane ki par
phir bhi jeena ab hai yahaan
sautela sheher, sautela sheher
sautela sheher
sapno ka shehar hai ye mera
tu sang hai to ghar hai ye mera
jaisa bhi hai par hai ye mera
pichhe kahin chhuta hai jo
gaon mera rootha hai jo
meri zameen meri hawa kaha mera aasma
ab main hu ajnabi, ab main hu main nahi
hai ye mera aashiyan par ghar nahi woh
phir bhi apna hai ye jahaan
sau jagah jaye dagar, jaana hai par
phir bhi jeena ab hai yahaan
sautela sheher, sautela sheher
sautela sheher, sautela sheher
sautela sheher, sautela sheher