People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 10 *

Saja Le Teri Bindiya
Singer: Asha Bhosle
Music: Shyam Sagar
Lyricist: Balkavi Bairagi
Tag: Hindi
Video:
ae babu
saja li teri bindiya
saja li teri bindiya
racha li teri mehandi
to lajwanti hontho se kaam kaise le
ye radha kanhaiya ka naam kaise le
babu naam kaise le
n n na o ho ho

aankho ka kahe kajra
hontho ki bole laali
kya bole, na samjhe anadi saanwara
tu pyasi pyasi dhadkan ka sandesha
radha ke man ka, shyam kaise le
ye radha kanhaiya ka naam kaise le
radha naam kaise le
n n na o ho ho

idhar jhanke parwat, udhar dekhe nadiya
ye jharno ke pahre lage hai saanware
tu ? saiya ki, manchahi saiya ki baiya
thaam kaise le
ye radha kanhaiya ka naam kaise le
babu naam kaise le
saja li teri bindiya
racha li teri mehandi
to lajwanti hontho se kaam kaise le
ye radha kanhaiya ka naam kaise le
babu naam kaise le
Ammi Ko Chummi Papa Ko Pyar
Singer: Dilraj Kaur
Music: Vasant Desai
Lyricist: Balkavi Bairagi
Tag: Hindi
Video:
ammi ko chummi papa ko pyar
ammi ko chummi papa ko pyar
chote se saval hai mere do char
chote se saval hai mere do char
ammi ko chummi papa ko pyar

icecream ke jhad kaha tofi ke pahad kaha
chocklate ki fasal kaha biskit vale kamal kaha
limca ka talab kaha chocklate ki nav kaha
bachpan kyu itna lachar kyu hai matlab ka sansar
baat baat mei paisa kyu paisa ishvar jaisa kyu
ammi ko chummi papa ko pyar
chote se saval hai mere do char
ammi ko chummi papa ko pyar

chanda dudh katora kyu suraj itna gora kyu
itni dur sitare kyu sagar mama khare kyu
mor nach kar rota kyu ullu din bhar sota kyu
maina kyu nahi karti kam pithu kyu hai gangaram
hathi itna mota kyu moti itna chota kyu
ammi ko chummi papa ko pyar
chote se saval hai mere do char
ammi ko chummi papa ko pyar

dudh hame kab denge nal kapde kab denge badal
aasu itne bahte kyu nirdhan bhukhe rahte kyu
bachpan jaldi jata kyu jakar fir na aata kyu
pet yaha par rite kyu bure yaha par jite kyu
kab accho ki jay hogi kab bachho ki jay hogi
kab bachho ki jay hogi kab bachho ki jay hogi
ammi ko chummi papa ko pyar
chote se saval hai mere do char
ammi ko chummi papa ko pyar
ammi ko chummi papa ko pyar
ammi ko chummi papa ko pyar
Ek Baar Ek Ladki Thi
Music: Vasant Desai
Lyricist: Balkavi Bairagi
Tag: Hindi
Video:
ak bar ak ladki thi nam tha jiska simraila
pariyo jaisi pyari pyari gudiyo jaisi rajdulari
mammi ko pyari papa ko pyari

choti si bimari me uski mammi mar gai
chhod akeli simraila ko vo ishvar ke ghar gai
itne bade makan me itne bade jahan me
bache akele keval do simraila aur uske papa
kai varsh yu beet gaye

simraila ke papa ne tab apna duja byah rachaya
simraila ki mammi laya simraila ki is mammi
ko pahle hi thi do kanyaye kanyaye bhi badi vikat thi
badsurat thi bhundi bhundi nak naksh sab tede mede
bat chit bhi badi karkasa
lomdi jaisi ghurati thi muh par mitha kurra aisa
bholi bhali saral salouni simraila se chidti thi vo
so bechari gudiya rani din bhar chulha funka karti
sara din kapde dhoti thi farsh saf karti thi din bhar
juto par poulish karti thi aur katkhani dono bahne
in sab se ghabrati roti dhul gya aankho se moti
baith akeli tahkhane me simraila socha karti thi
kismat ko kosa karti thi fir khud ko dheeraj deti thi

tab usne kuch mitra banaye chuhe chuhiya murge murgi
tota maina batakh kabutar fudak fudak karti thi chiraiya
rang birange pyare panchi simraila ka drad batate
chahak chahak kar gana gate ga kar usko khub hasate
vo udasi dil ki pyasi mitro ke lapde siti thi
dukhdo ko has kar peeti thi
isi tarah sab kuch chalta tha din ugta tha fir dhalta tha

tabhi ak din mila nimtrd raj mahal me rajkuvar ne
maharash ke liye bulaya har ladki ko
simraila ki souteli ma aur ghamandi dono bahne phuli nahi samati
rajkuvar ke us nyote par akad akad itrati thi
sare ghar me chahal pahal thi ho halla tha ho halla tha
simraila bechari gum sum fir bhi himmat karke boli
in bahno ka ju na jau de do ammi raj mahal mai bhi dekhungi
rajkuvar se mil aaungi

dekho to chuhiya ki himmat ye muh masur ki dal
jao apna chulha funko ghar ka kachara saaf karo tum
mat bhulao apni aukhaat
tab chulhe ke pas akeli roti thi simrela
roti kya thi chillati hti diwaro se takrati thi
aur tabhi ho gaya achanak sare ghar me amar ujala
jaise sona bikhar gaya ho har kona ho gaya sunhera
aur samne simrela ke kahi sunhari kahi dupahari gori gat
sundar ek sundari khadi ho gayi

fati fati aankho se keval ghur rahi thi us rupam ko
himmat karke pucha aakhir aap kaun hai aap kaun aap kaun hai
main hu teri mata beti haan haan teri dhram ki mata
pari desh ki main rahne wali laal pari hai mera naam
mujhe tum pari maa kah sakhti ho bolo beti kyun roti ho
bolo beti kyun roti ho maa mera bhi man karta hai
raajmahal me main bhi jaau raajkuwar ko main bhi dekhu
maa haara is me main bhi naachu maa maa maa

bas itni si ichha ki khatir moti jaise itne aansu
ye dekho dekho jaadui chhai ye judaai chhadi ye
har khwaaish poori krti hai chal uth uth bhi
aansu pochh ri paagal lekin jaisa main kahti hu waisa tujhko karna hoga
uchhal padi bhar kar kilkaari lagi bajane khub taaliya
ari pari maa ari pari maa aap kahegi bilkul waisa haan haan
bilkul waisa wahi karungi aagya do kya karna hoga
jaao pahle pichhwadi ki baari me se ek bada sa
pila kattu laakar mere aage raakho

ek bada sa kattu lakar jhat se raakha maa ke aage
soch rahi thi ab kya hoga tabhi chhadi se chhua pari ne uc kattu ko
aur baat hi baat baat me kattu badal gaya baggi me
aur pari maa phir se boli are jaao moti chuhiyo ko le
aao chuhiya daani me are main unhe shandaar ghaode kar dungi
aanan paalan simrela ne laakar rakh di chuhe daani
aur fataafat usi chaadi se chhune bhar ki der lagi bas
chuhe wuhe sab gaayab the safed lambi puchho waale chh ghode hin hina rahe the
jab baggi hai jab ghode hai tab kochvaan bhi ho na ek
kya main chuho wala wo pinjra bhi laau shabaas shabaas laao laao
kaha pari ne sabse mota sabse taaza gol matool bada chuha hi
kochvaan ka kaam karega aur pari ne ek kutan me
gol sare ke chuhe mal ko apni ajab chhadi se chhukar
kochvaan me badal diya chat

lambe tadnge chabuk wala gol matol agad bam chuha
albela mastana mota baandh baandh ke dammak duta dammak duta
beto ab tayaari ho gayi poori aharaash me shaamil hone
raajmahal me ja sakti hai muska kar yu kahan pari ne par
simrela tab bhi udaas thi suni suni uski aankhe lagta tha
ab baras padegi are pari maa are pari maa in chindo me
in chithdo me in chido me kaun mahal me ghusega dega
darbaano ke dhakke khakar kis munh se wapas aaungi
ajab chhadi ne gazab kiya phir simrela ke sare chithde badal gaye phir
makhmal me le beti antim uphaar ab tujhko yahi chahiye
isko pahno shaayad aisa joda tumne pahle nahi kabhi dekha ho
ye shisha hai kaanch hai aap pino isko
cham cham cham cham cham cham shisha thirak thirak karti simrela
chali baithne jab baggi me suno are laadi sunao to
suno ladli ladli ek shart hai shart hai bite jo ho aadhi raat
aur mahal ki ghanti bajaaye jo hi baara to ho tu bahhar aana
varna phir teri tu jaane shart agar ye tut gayi to
baggi kattu ho jayegi ghoade sab chuhiya ho jayenge
kochvaan phir hoga chuha

pal bhar ko tham gaya samma sab har ek aankh thi simrela par
raajkuwar ho gaya baawra darr gayi simrela man me
mujhe tumhara naam bataao naacho aur naachte jaao
sudh budh dono bhul gaye the lipte lipte naach rahe the
thirak rahe the jhum rahe the hosh nahi tha unko kuch bhi
mahal ki badi ghadi ne bhau bahu karke ghanta thoka
aur baj aaye poore baara raajkuwar ki baahi se chat jhapat padi
bekhud simrela aur mahal se baahar bhaagi
rajkuwar bhi pichhe lapka lene lekin hath nahi aaya kuch
uski premi bhaag chuki thi lekin is bhaaga daudi me
billori shishe ka keval ek chamacham juta khulkar
chhut gaya tha darwaje par

rajkuwar ne us jute ko pahle chuma fir sahlaya
chum chum kar gale lagaya phir usne ki ek pritagaya
is jute ko pahanne wali mere ghar ki rani hogi
aur nahi mil paaye wo to uski yahi nishaani hogi
aur doosre din se saare raajnagar me pita dhindora
shishe ka ye sundar juta baithega jiske paanw mwe wahi
sundari raaj karegi raajkuwar ke gaanw me
foran hi sautali maa ne simrela ko pare dhakela
band kar diya tahkhane me aur lagakar mota taala
tan kar baith gayi saufe par

aur tabhi ve chuhe chuhiya simrela ke sachche sathi
aapas me kuch baate kar ke chhupe chhupe chal diye fudakte
chudel ke saufe tak aaye najar najar me huye ishare
aur churakar latkan chabi chale gaye sidhe taikhane
khol diya wo chun chun taala
udhar aajmaati thi kismat us jute me paanw fansakar
badi umiddo se ve bahne
jo hi dekha us chudail ne simrela ka bahhar aana
wo gusse se laal ho gayi bhul gayi wo apna aapa
raajkuwar ko kar andekha patak diya usne wo juta
badi jor se sakht farsh par
jagmag karte us jute ke tukde ho gaye laakh hajaar
sakhte me aa gaye sipahi preshaan tha rajkumaar
chhipe chhipe phir simrela ne ek paanw aage sarkaya
koi kuch bhi samjh nahi paaye
aur tabhi ho gaya ajubaa
simrela ke komal pag me cham cham chamak raha tha juta
jo ki usi ke jode tha

juta chamak hiro jaisa raajkuwar ki aankhe chamaki
ho ho ho ho jagar magar jagar magar ho gaya ujala
aur karkasa dono bahne jo hi kuch bole munh khole
to hi apni ajab chhadi le sammukh aa gayi wahi pari maa
laal apri laal pari wo dhram ki mata ajab chhadi ne gajan kiya phir
simrela ke saare chithde badal gaye the phir makhmal me
chamak uthi phir se wo naari wahi rup ki jag mag bhaari
jal fuk kar dono bahno ki aankho me nafrat hi nafrat
tabhi pari maa boli hanskar
simrela simrela simrela simrela simrela
simrela jaao beti baahar ghadi hui hai tumhari cham cham baggi
jaao apne raajmahal ko paao apne raajkuwar do
aur bada dil karke beti in teeno ko maafi de do

naacho gaao mauj manaao jaao beti jaldi jaao
simrela simrela simrela simrela simrela
amar ho gaye raaja raani simrela ki amar kahani
simrela simrela simrela simrela simrela
Kirno Se Jagmagaye
Music: Vasant Desai
Lyricist: Balkavi Bairagi
Tag: Hindi
Video:
kirno se jagmagaye khusbu se fail jaye
kirno se jagmagaye khusbu se fail jaye
bachho hamari duniya hum hi nai banaye
bachho hamari duniya hum hi nai banaye
kirno se jagmagaye khusbu se fail jaye
bachho hamari duniya hum hi nai banaye
bachho hamari duniya hum hi nai banaye

hai phul ek chaman ke hai ek gagan ke tare
hai ek gagan ke tare
khote hai sab mukhote nakli hai sab diware
nakli hai sab diware
tode har ek bandhan tode har ek bandhan
ye duriya mitaye ye duriya mitaye
bachho hamari duniya hum hi nai banaye
bachho hamari duniya hum hi nai banaye

mata pita hamare aapas me lad rahe hai
aapas me lad rahe hai
dete hai dosh hamko ke hum bigad rahe hai
ke hum bigad rahe hai
iljam ye bado ke iljam ye bado ke
muska ke bhul jaye muska ke bhul jaye
bachho hamari duniya hum hi nai banaye
bachho hamari duniya hum hi nai banaye

vande matram vande matram
vande matram vande matram
insaniyat ka matlab samjha nahi jinhone
insaniyat ka matlab samjha nahi jinhone
ve sab bana rahe hai barud ke khiloune
ve sab bana rahe hai barud ke khiloune
lekho gulab jal ke lekho gulab jal ke
barud me khilaye lekho gulab jal ke
barud me khilaye
bachho hamari duniya hum hi nai banaye
bachho hamari duniya hum hi nai banaye
kirno se jagmagaye khusbu se fail jaye
bachho hamari duniya hum hi nai banaye
bachho hamari duniya hum hi nai banaye
Merea Phool Badan
Singer: Asha Bhosle
Music: Vasant Desai
Lyricist: Balkavi Bairagi
Tag: Hindi
Video:
mera phul badan kumhlaye re
mera phul badan kumhlaye re
o piya baadal banke barso
o piya baadal banke barso
o mera phul badan kumhlaye re
mera phul badan kumhlaye re

meri kanak chhadi si kamar
kamar me bhanwar, bhanwar bhi gahra
mera sone jaisa rang
rang me rasa basa har ang
ang pe kaamdev ka pahra
bin maali baag sukhaye
o mera phul badan kumhlaye re
mera phul badan kumhlaye re

main chandan van ki gandh
gandh me palke karli band
adhar par rasve de angare
anothi aag kare manohare
kahan hain ras ki madhur fuwaar
baras ja ek nahi sau baar
ye tapan sahi na jaye
o mera phul badan kumhlaye re
mera phul badan kumhlaye re
o piya baadal banke barso
o piya baadal banke barso
mera phul badan kumhlaye re
mera phul badan kumhlaye re
Ajab Kahani Gulliver Ki
Singer: Manna Dey
Music: Vasant Desai
Lyricist: Balkavi Bairagi
Tag: Hindi
Video:
hai ajab kahani gulliver ki
hai ajab kahani gulliver ki
are jo bhi sune wo sunta jaye
kaal ka pahiya aisa ghuma
laga nahi kuch bhi andaj
tut gaya tufan mein bada
tukde tukde hua jahaj
thaka thakaya baith gaya
ek jagah wo chulbul insan
honymoon ki jagah dhundhta
dauda aaya ek lagam
Rani Ki Na Mani
Music: Vasant Desai
Lyricist: Balkavi Bairagi
Tag: Hindi
Video:
rani ki na mani tune baate jo syani
to teri meri kutti ho jayegi
jo meri ammi hogi to so jayegi
rani ki na mani tune baate jo syani

sapno me chanda ke gav chalenge
sapno me chanda ke gav chalenge
moti se pariyo ke sang milenge
moti se pariyo ke sang milenge
achhi ammi baat meri maan jayegi
jo meri ammi hogi to so jayegi
rani ki na mani ammi rani ki na mani
dekho rani ki na mani tune baate jo syani
to teri meri kutti ho jayegi
jo meri ammi hogi to so jayegi
jo meri ammi hogi to so jayegi
jo meri ammi hogi to so jayegi

ankhiyo me kajra lga ja ree nindiya
ankhiyo me kajra lga ja ree nindiya
aaja aaja aaja ree nindiya
ankhiyo me kajra lga ja ree nindiya

aasha ka palna aasuo ki doree
aasha ka palna aasuo ki doree
gaye chandaniya mithi see loree
tu taro ka haar pinah ja ree nindiya
aaja aaja aaja ree nindiya
ankhiyo me kajra lga ja ree nindiya

tu hi meri bindiya tu hi mera kajal
tu hi meri bindiya tu hi mera kajal
tu hi meri mamta tu hi mera aanchal
meri mamata ko mahka ja ree nindiya
aaja aaja aaja ree nindiya
ankhiyo me kajra lga ja ree nindiya
Tu Chanda Mein Chandini
Music: Jaidev
Lyricist: Balkavi Bairagi
Tag: Hindi
Video:
tu chanda mai chandani, chandani chandani
tu chanda mai chandani, tu taruwar mai shakh re
tu badal mai bijuri
tu badal mai bijuri, tu panchhi mai pat re
tu badal mai bijuri, tu panchhi mai pat re
tu chanda mai chandani

na sarovar, na baavadi, na koi thandi chhaw
na koyal, na papihra, aisa mera gaw re
kahaa bujhe tan ki tapan
kahaa bujhe tan ki tapan, o saiya siramor
chandr-kiran to chhod kar
chandr-kiran to chhod kar, jaye kaha chakor
jaag uthi hai savare
jaag uthi hai savare, meri kuwari pyas re
angare bhi lagane lage piya
angare bhi lagane lage, aaj mujhe madhumas re
madhumas re, aaj mujhe madhumas re

tujhe aanchal me rakhugi o savare
tujhe aanchal me rakhugi o savare
kali alko se bandhugi ye paw re
kali alko se bandhugi ye paw re
chal baiya vo dalu ki chhute nahi
chal baiya vo dalu ki chhute nahi
mera sapna sajan ab tute nahi
mehandi rachi hatheliya
mehandi rachi hatheliya, mere kajal-vale nain re
pal pal tujhe pukarate piya
pal pal tujhe pukarate ho ho kar bechain re
bechain re, ho ho kar bechain re

o mere sawan sajan, o mere sindur
sajan sang sajani bani, mausam sang mayur
char pahar ki chandani, mere sang bita
apne hatho se piya mujhe laal chunar udha
kesariya dharti lage
kesariya dharti lage, ambar laalam-laal re
ang laga kar saahiba re
ang laga kar saahiba kar de mujhe nihal re
nihal re, kar de mujhe nihal

tu chand mai chandani, tu taruwar mai saakh re
tu badal mai bijuri
tu badal mai bijuri, tu panchhi mai pat re
Tu Chanda Mein Chandini
Music: Jaidev
Lyricist: Balkavi Bairagi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Reshma-Aur-Shera/Tu-Chanda-Main-Chandni/RxEpRxx9cmA
Video:
tu chanda mai chandani, chandani chandani
tu chanda mai chandani, tu taruwar mai shakh re
tu badal mai bijuri
tu badal mai bijuri, tu panchhi mai pat re
tu badal mai bijuri, tu panchhi mai pat re
tu chanda mai chandani

na sarovar, na baavadi, na koi thandi chhaw
na koyal, na papihra, aisa mera gaw re
kahaa bujhe tan ki tapan
kahaa bujhe tan ki tapan, o saiya siramor
chandr-kiran to chhod kar
chandr-kiran to chhod kar, jaye kaha chakor
jaag uthi hai savare
jaag uthi hai savare, meri kuwari pyas re
angare bhi lagane lage piya
angare bhi lagane lage, aaj mujhe madhumas re
madhumas re, aaj mujhe madhumas re

tujhe aanchal me rakhugi o savare
tujhe aanchal me rakhugi o savare
kali alko se bandhugi ye paw re
kali alko se bandhugi ye paw re
chal baiya vo dalu ki chhute nahi
chal baiya vo dalu ki chhute nahi
mera sapna sajan ab tute nahi
mehandi rachi hatheliya
mehandi rachi hatheliya, mere kajal-vale nain re
pal pal tujhe pukarate piya
pal pal tujhe pukarate ho ho kar bechain re
bechain re, ho ho kar bechain re

o mere sawan sajan, o mere sindur
sajan sang sajani bani, mausam sang mayur
char pahar ki chandani, mere sang bita
apne hatho se piya mujhe laal chunar udha
kesariya dharti lage
kesariya dharti lage, ambar laalam-laal re
ang laga kar saahiba re
ang laga kar saahiba kar de mujhe nihal re
nihal re, kar de mujhe nihal

tu chand mai chandani, tu taruwar mai saakh re
tu badal mai bijuri
tu badal mai bijuri, tu panchhi mai pat re
Nafrat Ki Ek HI Thokar Ne
Singer: Manna Dey
Music: Jaidev
Lyricist: Balkavi Bairagi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Reshma-Aur-Shera/Nafrat-Ki-Ek-Thokar-Ne/QDg0UABZW1A
Video:
jise banaya tha data ne dharti ka wardan re
jise banaya tha mali ne sach much hi insan re
nafrat ki ek hi thokar ne ye kya se kya kar dala re
ye kya se kya kar dala re kya se kya kar dala
apne hi lahu ka pyasa hai apne hi lahu ka pyasa hai
nafrat ko mitane wala re nafrat ko mitane wala re
kya se kya kar dala nafrat ki ek hi thokar ne

makhan ki rah jiska man tha fagun ki tarah jo khilta tha
sawan ki tarah jo chalta tha badal ki tarah jo lipatta tha
barud ne aise fariste ko barud ne ha fariste ko
rang dala kitna kala re rang dala kitna kala re
kya se kya kar dala nafrat ki ek hi thokar ne

ye apna paraya bhul gaya ye apna paraya bhul gaya
bas khun ki holi yaad rahi ise khun ki holi yaad rahi
dulhan ka dola bhul gaya dulhan ka dola bhul gaya
bas maut ki soli yaad rahi ise bas maut ki soli yaad rahi
awtar fariste bhul gaya awtar fariste bhul gaya
nafrat ko mitane wala re nafrat ko mitane wala re
ye kya se kya kar dala nafrat ki ek hi thokar ne

insan ke yahi agar tewar hai to pyar ka akhir kya hoga
insan pe dharti mata ke upkar ka akhir kya hoga
ab kaun hai malik tere siwa ab kaun hai malik tere siwa
is dunia ka rakhwala re is dunia ka rakhwala re
nafrat ki ek hi thokar ne ye kya se kya kar dala re
ye kya se kya kar dala re kya se kya kar dala re