jin raato me nind ud jaati hai
kya kahar ki raate hoti hai
darvaajo se takraa jaate hai
diwaaro se baate hoti hai
jin raato me nind ud jaati hai
kya kahar ki raate hoti hai
darvaajo se takraa jaate hai
diwaaro se, diwaaro se baate hoti hai
jin raato me nind
ghirghir ke jo badal aate hai
aur be barse khul jaate hai
aashaao ki, aashaao ki jhuthi duniya me
sukhi barsaate hoti hai
jin raato me nind
jab vo nahi hote pahlu me
aur lambi raate hoti hai
yaad aake, yaad aake sataati rahti hai
aur dil se, aur dil se baate hoti hai
jin raato me nind
hansne me jo aansu aate hai
do tasvire dikhlaate hai
har roj, har roj janaaje uthaate hai
har roj baraate hoti hai
jin raato me nind
himmat kiski hai jo puchh sake
ye aarju-e-saudaai se
kyun saahib, kyun saahib aakhir akele me
ye kisse, ye kisse baate hoti hai
jin raato me nind ud jaati hai
kya kahar ki raate hoti hai
darvaajo se takraa jaate hai
diwaaro se baate hoti hai
jin raato me nind
hai mauj mein apne begane
hai mauj mein apne begane
do char idhar do char udhar
do char idhar do char udhar
chhalke hai ho ji chhalkate ha chhalkate paimane
do char idhar do char udhar
do char idhar do char udhar
yu aaye ke aafat dhank gaye
matwali ada dikhla ke gaye
matwali ada dikhla ke gaye
sar fod rahe hai deewane
do char idhar do char udhar
do char idhar do char udhar
tuti ummido ke tukade haye
bikhare hai aansu ban ban ke
yu bikhare hai aansu ban ban ke
jaise ki mala ke daane
do char idhar do char udhar
do char idhar do char udhar
lahrati baati kya jane
aape mein nahi hai mastane
aape mein nahi hai mastane
jal jal ke gire hai parwane
haye parwane
do char idhar do char udhar
do char idhar do char udhar