Main kadam kadam
Badalta hoon yanhi
Ye zindgi baldalti hi nahi
Hai lafzon ki kami
Main idhar udhar fisalta hi raha
Ye man kabhi sambhalta hi nahi
Hoon yaadon mein chupa
Ye shaam kaise rang si hai
Uddti utarati patang si hai
Main kal ki raahon mein hoon pasaa
Ye waqt bhi mujhe bhulaa gaya
Main ghadi ghadi bekhabar hi tha
Kya raaj mere dil mein hai chupaa
Hai naam kya mera?
Kyun? sawalon ki lahar mujhe mili
Main ghul gay samya ki aag thi
Ye nazmein bhi ghul gaye
Ye raastein kyun alag se hain
Likhate tahalte kalam se hain
Main kal ki saanson mein hoon chupa
Ye waqt bhi mujhe bhulaa gaya
Ye shaam kaise rang si hai
Uddti utarati patang si hai
Main kal ki raahon mein hoon pasaa
Ye waqt bhi mujhe bhulaa..
Ye raastein kyun alag se hain
Likhate tahalte kalam se hain
Main kal ki saanson mein hoon chupa
Ye waqt bhi mujhe bhulaa gaya
Saansein meri ab befikar hain
Dil mein base kaise yeh pal hain
Baatein sambhal jaa rahi hain
Palkon mein yoon hi hansi hai
Man mein chhupi kaisi yeh dhun hai
Har khaahishein uljhi kidhar hain
Pairon se zakhmi jameen hai
Nazrein bhi thehri hui hain
Hai ruki har ghadi
Hum hain chalein raahein yahin
Yeh manzilein humse khafa thi
In par chayi oss si bewafa thi
Baahon mein ab khoyi hain raatein
Haathon mein khuli hain yeh shaamein
Yeh subha hai nayi
Hum hain chalein raahein yahin
Main apne hi mann ka hausla hoon
Hai soya jahan par main jaga hoon
Main peeli sehar ka nasha hoon
Main madhosh tha ab main yahan hoon
Saansein meri ab befikar hain
Dil mein base kaise yeh pal hain
Naghmein khile hain ab saare
Pairon tale hain mashalein
Thamm gayi hai zameen
Hum hain chalein raahein yahin
Main apne hi mann ka hausla hoon
Hai soya jahan par main jaga hoon x (2)