tere gam ke sahare jee rahi hai jindagi meri
tere gam ke sahare jee rahi hai jindagi meri
judai jahar hai par pee rahi hai jindagi meri
mere sine pe aise teer chhode hai jamane ne
mere sine pe aise teer chhode hai jamane ne
ki dil ke jakham
ab tak see rahi hai jindagi meri
ki dil ke jakham
ab tak see rahi hai jindagi meri
meri duniya mein tu aaye
ujala pyar ka chhaye
meri duniya mein tu aaye
ujala pyar ka chhaye
kisi hasart ko lekar
jee rahi jindagi meri
kisi hasart ko lekar
jee rahi jindagi meri
kahani dard ki ab kah rahi hai
dil jale aansu
kahani dard ki ab kah rahi hai
dil jale aansu
fasana pyar ka likhati rahi
jindagi meri
tere gam ke sahare jee rahi hai jindagi meri
namaste ji, namaste ji
namaste ji, namaste ji
humra tumhara jivan beete
humra tumhara jivan beete
hanste hanste ji
namaste ji, namaste ji
namaste ji, namaste ji
subah se shaam tak kyu
enth ki khatiyaan me rahte ho
subah hote hai jab hum fir
namaste humko kahte ho
tumhaare raaj me kya
pahak ke bas?
namaste ji, namaste ji
namaste ji, namaste ji
humra tumhara jivan beete
humra tumhara jivan beete
hanste hanste ji
namaste ji, namaste ji
namaste ji, namaste ji
humaare dil ke kamre me
fatafat aake bas jaao
nahi is dil ki kuch pagdi
chale aao, chale aao
khuli hai dil building
saikdo hai iske raste bhi
namaste ji, namaste ji
namaste ji, namaste ji
humra tumhara jivan beete
humra tumhara jivan beete
hanste hanste ji
namaste ji, namaste ji
namaste ji, namaste ji
mangaa to aaj hi mathe ka jhumar
humko chahiye hai
manga to haar gode ka
humne payal bhi pahni hai??
hai dekho kitni mahangaai
hai dekho kitni mahangaai
magar jevar hai saste ji
namaste ji, namaste ji
namaste ji, namaste ji
humra tumhara jivan beete
humra tumhara jivan beete
hanste hanste ji
namaste ji, namaste ji
namaste ji, namaste ji
chhak chhak chali humari rel
chhak chhak chali humari rel
ye hai aag paani ka mel
dekho angrejo ka khel
chhak chhak chali humari rel
chhak chhak chali humari rel
liye ja rahi hai ye kisi ko
bichhda sajan milaane
liye ja rahi hai ye kisi ko
bichhda sajan milaane
koi chhod apne sangi ko
chala hai dur thikaane
koi chhod apne sangi ko
chala hai dur thikaane
kismat se hi hote hai ji
bichhdo ke fir mel
chhak chhak chali humari rel
chhak chhak chali humari rel
ye hai aag paani ka mel
dekho angrejo ka khel
chhak chhak chali humari rel
chhak chhak chali humari rel
malai hai malai, malai hai malai
tore hantho ne banai
tore hantho ne banai
kunwara bhi khaaye to mil jaaye lugaai
mil jaaye lugaai
puchh lo ise isne parso ki khaai
parso ki khaai
malai hai malai, malai hai malai
baalam more ka shahar hai delhi
baalam more ka shahar hai delhi
chhoti bajariya me unchi haweli
chhoti bajariya me unchi haweli
maika hai mora bich bareli
maika hai mora bich bareli
wahi ki ticket katai ve
wahi ki ticket katai ve
baat taku main teri kothe chadh ke
baat taku main teri kothe chadh ke
aaja mere balma bahana kar ke
aaja mere balma bahana kar ke
baat taku main teri kothe chadh ke
baat taku main teri kothe chadh ke
aaja mere balma bahana kar ke
aaja mere balma bahana kar ke
ho sawan aaya hai aayi thandi hawaye
thandi hawaye
ho sawan aaya hai aayi thandi hawaye
thandi hawaye
sath sath layi hai wo kali ghataye
kali ghataye
sath sath layi hai wo kali ghataye
kali ghataye
acha nahi rahna duniya se dar ke
acha nahi rahna duniya se dar ke
aaja mere balma bahana kar ke
aaja mere balma bahana kar ke
pak gayi ankhiya tak tak raah
pak gayi ankhiya tak tak raah
dil me jagi hai tere milne ki chah
milne ki chah
dil me jagi hai tere milne ki chah
milne ki chah
tere milne ko mera jiya dhadke
tere milne ko mera jiya dhadke
aaja mere balma bahana karke
aaja mere balma bahana karke
ho ke diwani main to tere pyar me
tere pyar me
ho ke diwani main to tere pyar me
tere pyar me
khadi hu sajan tere intzaar me
intzaar me
khadi hu sajan tere intzaar me
intzaar me
dil me aankho me teri yad bharke
dil me aankho me teri yad bharke
aaja mere balma bahana karke
aaja mere balma bahana karke
baat taku main teri kothe chadh ke
baat taku main teri kothe chadh ke
aaja mere balma bahana karke
aaja mere balma bahana karke
chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
aramaan machal rahe hai hotho pe hai taraanaa -2
dil kis tarah sambhaale haay jawaan zamaanaa
chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
aankho me hai bahaare ab ham jise pukaare -2
kisase kahe nigaahe ye pyaar kaa fasaanaa
ho chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
sunataa na ho kahi wo baithaa na ho kahi wo -2
karate ho pyaar jisase dil jisape hai lutaanaa
ho chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
o chaand chaudahwi ke mai hun teri chakori -2
meraa dil na tod denaa mat kar galat uthaanaa
ho chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
sine me aag bhadkti hai, aankho se pani bahta hai
kuch aisi chot lagi dil par, dil ro ro kar ye kahta hai
ae ishq hame barbad na kar, ae ishq hame barbad na kar
dil tod ke man ka meet gaya, hum har gaye gum jeet gaya
khushiyo ka zamana bit gaya, khushiyo ka zamana yad na kar
ae ishq hame barbad na kar, ae ishq hame barbad na kar
kyu rote hai do diwane, bedard zamana kya jane
bedard zamane se aye dil, ummid na rakh fariyad na kar
ae ishq hame barbad na kar, ae ishq hame barbad na kar
pahle to kapat ne kaid kiya, saiyad ne phir ye hukm diya
hotho ko see ashko ko pee,aasu na baha fariyad na kar
ae ishq hame barbad na kar, ae ishq hame barbad na kar
ae ishq hame barbad na kar, ae ishq hame barbad na kar
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
ab raakho ya todo tumhari marji
ho ab raakho ya todo tumhari marji
armaano bhara ye dil hai
tujhse pyaar karun mushkil hai
armaano bhara ye dil hai
tujhse pyaar karun mushkil hai
ja re buddhe
o ja re buddhe teri hai har baat farji
ja re buddhe
o ja re buddhe teri hai har baat farji
ab raakho ya todo tumhari marji
ho ab raakho ya todo tumhari marji
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
ab raakho ya todo tumhari marji
ho ab raakho ya todo tumhari marji
mar raha hun bacha lo ji bacha lo
aisi baate na muh se nikaalo
mar raha hun bacha lo ji bacha lo
aisi baate na muh se nikaalo
main to thane me
o main to thane me de dungi jaake arji
main to thane me
o main to thane me de dungi jaake arji
ab raakho ya todo tumhari marji
ho ab raakho ya todo tumhari marji
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
ab raakho ya todo tumhari marji
ho ab raakho ya todo tumhari marji
main lagaun tere ghar ke fere
main na hath aaungi tere
main lagaun tere ghar ke fere
main na hath aaungi tere
kaahe pichhe pade ho
ho kaahe pichhe pade ho hath dho kar ji
kaahe pichhe pade ho
ho kaahe pichhe pade ho hath dho kar ji
ab raakho ya todo tumhari marji
ho ab raakho ya todo tumhari marji
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
ab raakho ya todo tumhari marji
ho ab raakho ya todo tumhari marji
tumhari marji nahi tumhari marji
haay tumhari marji, ni ni ni tumhari marji
ha tumhari marji
lab pe fariyaad hai dil barbaad hai
lekin barbaad dil me tu hi aabaad sajaniya
tu hi aabaad hai
hamane samajhaa thaa apanaa bhi hoga koi
haay qismat hamaaraa koi nahi
mere gam ki kahaani kaun sune
duniyaa me sahaaraa koi nahi
lab pe fariyaad hai dil barabaad hai
lekin barbaad dil me tu hi aabaad sajaniya
tu hi aabaad hai
teri yaad se dil aabaad kiya
par tune na bhul ke yaad kiya
aur isape sitam mere saamne hi
tune gair kaa ghar aabaad kiya
lab pe fariyaad hai dil barbaad hai
lekin barbaad dil me tu hi aabaad sajaniya
tu hi aabaad hai
mohabbat ki hum chot khaye hue hai
mohabbat ki hum chot khaye hue hai
kisi bewafa ke sataye hue hai
kisi bewafa ke sataye hue hai
mohabbat ki hum chot khaye hue hai
mohabbat ki hum chot khaye
udhar tere aansu idhar mere aansu
idhar mere aansu
vo laye hue hai ye aaye hue hai
vo laye hue hai ye aaye hue hai
kisi bewafa ke sataye hue hai
mohabbat ki hum chot khaye
humare liye jindagi ek aansu jindagi ek aansu
kisi ki najar se giraaye hue hai
kisi ki najar se giraaye hue hai
kisi bewafa ke sataye hue hai
kisi bewafa ke sataye hue hai
mohabbat ki hum chot khaye hue hai
mohabbat ki hum chot khaye
aap ne chhin liya dil ise kya kehte hain
aap ne chhin liya dil ise kya kehte hain
aji sahib, ise dilwale ada kehte hain
aji sahib, ise dilwale ada kehte hain
chand sa mukhda jo aanchal me chhupa leti ho
chand sa mukhda jo aanchal me chhupa leti ho
ik jhalak me mujhe divana bana deti ho
ik jhalak me mujhe divana bana deti ho
husnwale isi shokhi ko haya kehte hain
husnwale isi shokhi ko haya kehte hain
aji sahib, ise dilwale ada kehte hain
dekha karti ho hamen dur se chori chori
dekha karti ho hamen dur se chori chori
pass aate hi jhuka leti ho aankhe gori
pass aate hi jhuka leti ho aankhe gori
duniyawale ise ikarar-e-vafa kehte hain
duniyawale ise ikarar-e-vafa kehte hain
aji sahib, ise dilwale ada kehte hain
aap ne chhin liya dil ise kya kehte hain
aji sahib, ise dilwale ada kehte hain