People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Netaji Ka Jeevan Hai
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Video:
ho netaji ka jivan hai balidan ki ek kahani
netaji ka jivan hai balidan ki ek kahani
balidan hi balidan hai bachpan aur jawani
bachpan aur jawani balidan ki ek kahani
balidan ki ek kahani

oye bachpan hi se chanchal man me armano ka mela tha
choti si ek lehar thi dil me toofano ka rela tha
college me ustad jo tha vo tha london ka gora
are usne kaha college me ek din hindi kala log chichora
sher boss ka khun jo khola sher boss ka khun jo khola
gore ko ek chapat lagai naam kata college se lekin
hind ki laaj bachai netaji ka jivan hai balidan ki ek kahani
balidan hi balidan hai bachpan aur jawani
balidan ki ek kahani balidan ki ek kahani

maat pita ne samjhaya aur englishtan ko kiya ravana
bado ke aage boss na bole lekin baagi dil na mana
yurop me ics ke imtihan ko paas kiya
are itna ucha ohda pakar deshbakht ne chhod diya
fir hindsutan me aakar pehle ghandi ko parnaam kiya
ghandi ko parnaam kiya ghandi ko parnaam kiya
vo desh ki seva ka bapu se pehla pehla sabak liya
pehla pehla sabak liya pehla pehla sabak liya
bharat ke dukh dard ko socha samjha aur pehcahana
kamar band kar ran me aaya aajadi ka diwana
aajadi ka diwana aajadi ka diwana kiya angrejo ne ye aid
kare is baagi ko ab kaid kuchal dale masal dale
kuchal dale masal dale

magar bachpan se jo baagi ho
vo julm se darna kya jane jalne se kab gabrate hai
shama vatan ke parvane jiski rag rag me shole ho
vo kya samjhe chingari ko hathkadiyo ko janjiro ko
jelo ki char diwari ko kadam kadam par mushkil aayi
lekin sher sada lalkara rah nahi sakta gair ke bas me
hidustan hamara rah nahi sakta gair ke bas me
hidustan hamara rah nahi sakta gair ke bas me
hidustan hamara

sarkar ne kar dali najar band jaban band
maidan ke jo mard hai hote hai kaha band
ek raat ko chupke hi se gum ho gye neta
shor hua subah kaha kho gaye neta
janta bhi thi hairan to sarkar bhi hairan
ud jane se bulbul ke tha saiyad pareshan
lekin mata ko ye ummid thi laut aayega beta
mata se kahe bina kaha jayega beta
is aas me darwaje bhi ghar ke na kiya band
aa jayega aa jayega vo laal vo parjand
us maa se badi maa hai jo hindustan hai
vo chodd gaya maa ko badi maa ko chudane
is hind ki bigdi hui takdeer banane

badal sakani besh chala pardes chhod kar desh hamara neta
badal sakani besh chala pardes chhod kar desh hamara neta
aazadi ki nayi ladai ladne hamaara neta
hindustan se kabul me aur kabul se london me
chalte chalte pahuch gaya vo singapur ke ran me
kom ki ye fauj ka naya tarana ban gaya
kom ki ye fauj ka naya tarana ban gaya
ek ek tinka chuna aur aashiyana ban gaya
jai gandhi jai subhash jai gandhi jai subhash
jai hind jai hind jai hind jai hind jai hind
Abhi Sham Aayegi
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Video:
abhi sham aayegi niklenge tare, magar tum na hoge
abhi sham aayegi niklenge tare, magar tum na hoge
pukarenge tumko ro ro ke najare, magar tum na hoge

tumhara pata chand puchega mujhse, to mai kya kahungi
chupa lungi mukhda jhuka lungi aankhe, magar chup rahungi
tumhari sikayat karenge sitare, magar tum na hoge
tumhari sikayat karenge sitare, magar tum na hoge
abhi sham aayegi nikalenge tare, magar tum na hoge

chalegi agar thandi thandi hawaye, satayegi mujhko
kahi dur panchi ki mitti sadaye, rulayegi mujhko
mai dundugi tumko o mere sahare, magar tum na hoge
mai dundugi tumko o mere sahare, magar tum na hoge
abhi sham aayegi nikalenge tare, magar tum na hoge
Kadam Kadam Badaye Jaa
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Video:
tere liye tere vatan ki khak bekrar hai
himalya ki chotiyon ko tera intejar hai
vatan se door hai magar vatan ke geet gaye ja
vatan se door hai magar vatan ke geet gaye ja
kadam kadam badhaye ja khushi ke geet gaye ja
ye jidagi hai kaum ki tu kaum per lautaye ja
kadam kadam badhaye ja

bada kathin safar hai bade katin hai raste
magar ye mushkilen hain kya hai sipahiyo ke vaste
tu bijliyon se khel andhiyo pe muskuraye ja
tu bijliyon se khel andhiyo pe muskuraye ja
kadam kadam badhaye ja khushi ke geet gaye ja
ye zindagi hai kaum ki tu kaum per lautaya ja
kadam kadam badhaye ja

bichad raha hai tera bhai tujhse
to bichadne de, bichadne de naseeb kaum ka bane to
apna ghar ujadne de apna ghar ujadne de
mita ke apna ek ghar hajar ghar basaye ja
mita ke apna ek ghar hajar ghar basaye ja
kadam badaye ja khushi ke geet gaye ja
ye jidagi hai kaum ki tu kaum per lautaye ja
kadam badaye ja khushi ke geet gaye ja
ye jidagi hai kaum ki tu kaum per lautaya ja
kadam kadam badhaye ja

tere liye tere vatan ki khak bekrar hai
himalya ki chotiyon ko tera intejar hai
vatan se door hai magar vatan ke geet gaye ja
Idhar Mohabbat Udhar Zamana
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Video:
idhar mohabbat udhar zamana
kidhar chale hum kidhar chale
kidhar chale hum kidhar chale
dil kahta hai udhar chale
sajan jidhar chale sajan jidhar chale
idhar mohabbat udhar zamana
kidhar chale hum kidhar chale

dil ne dhadakna sikh liya hai
aankho ne sharmana
choti choti bate ban gayi
pyar ka ek bahana
ho pyar ka ek bahana
puch rahe hai hum ab dil se
tu hi bata hum kidhar chale
dil kahta hai udhar chale
sajan jidhar chale sajan jidhar chale

idhar zamana roke mujhko
udhar mohabbat roke
idhar hai shola udhar hai sabnam
rahu mai kiski hoke
puch rahe hai hum dil se
tu hi bata hum kidhar chale
dil kahta hai udhar chale
sajan jidhar chale sajan jidhar chale
idhar mohabbat udhar zamana
kidhar chale hum kidhar chale
kidhar chale hum kidhar chale
Woh Raas Aa Rahe Hai
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Video:
wo paas aa rahe hai, ham dur ja rahe hai
apni khushi se apni dunia luta rahe hai
apni khushi se apni dunia luta rahe hai

aankhe bhi ro rahi hai, dil bhi tadap raha hai
dil bhi tadap raha hai
aur wo samajh rahe hai ham muskura rahe hai
apni khushi se apni duniya luta rahe hai
apni khushi se apni duniya luta rahe hai

bedard hai zamana, majbur hai muhabbat
majbur hai muhabbat
manzil pe aake wapas manzil se ja rahe hai
apni khushi se apni duniya luta rahe hai
apni khushi se apni duniya luta rahe hai

o dur jane wale
o dur jane wale, tujh ko khabar nahi hai
o dur jane wale, tujh ko khabar nahi hai
ham ruth kar khushi se gham ko mana rahe hai
apni khushi se apni duniya luta rahe hai
apni khushi se apni duniya luta rahe hai
Gore Gore O Banke Chore
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Video:
gore gore o banke chore
kabhi meri gali aaya karo
gori gori o banki chori
chahe roz bulaya karo
gore gore o banke chore
kabhi meri gali aaya karo
gori gori o banki chori
chahe roz bulaya karo

roz roz mulaqat achhi nahi
pyar me aisi bat achhi nahi
thoda thoda milna thodi si judai
sada chandni rat achhi nahi
chhodo chhodo jiya na todo
kisi aur ko jalaya karo
gore gore o banke chore
kabhi meri gali aaya karo
gori gori o banki chori
chahe roz bulaya karo
gore gore o banke chore
kabhi meri gali aaya karo
gori gori o banki chori
chahe roz bulaya karo

choti si bat par ye ladai
pyar ki duhai hai pyar ki duhai
ankhiyo me ankhiya dal ke to dekho
chehre pe gussa hai dil me safai
ghadi ghadi o badi badi
achhi bate na banaya karo
gori gori o banki chori
chahe roz bulaya karo
gore gore o banke chore
kabhi meri gali aaya karo
gori gori o banki chori
chahe roz bulaya karo