tumko pata hai
tum ko pata hai is college ke ek ladke aur ladki me
you know what i mean
my goodness kaun hai vo
kya nam hai un ka
tum ko bata deta hun lekin dekho, yani samajhi
uff o, hadh hai kan me bolo sach
han bilakul sach hai
college ka ek ladka hai aur college ki ek ladki
nain mile aur unke dil me ek chingari bhadki
college ka ek ladka hai aur college ki ek ladki
nain mile aur unke dil me ek chingari bhadki
pyar ka chakar hai ye hai na
dekho kisi se na kahna
pyar ka chakar hai ye hai na
dekho kisi se na kahna
vo ladka aur ye ladki koi man nahi sakta hai
kab kya ho jata hai koi jan nahi sakta hai
sir ne pucha kis ne ladi thi panipat ki ladai
ladke ne socha aur bola aaj nahi vo ai
sir ne pucha kis ne ladi thi panipat ki ladai
ladke ne socha aur bola aaj nahi vo ai
pyar ka chakar hai ye hai na
dekho kisi se na kahna
pyar ka chakar hai ye hai na
dekho kisi se na kahna
college ke bahar bhi suna hai vo dono milte hai
ab to dekhe kya ho bhaiya kya kya gul khilte hai
ladke ki dhun me ladki bhi aisi hai pagalai
hindi ki kaksha me bhaiya english book le ai
ladke ki dhun me ladki bhi aisi hai pagalai
hindi ki kaksha me bhaiya english book le ai
kyo ki pyar ka chakar hai ye hai na
dekho kisi se na kahna
pyar ka chakar hai ye hai na
dekho kisi se na kahna
kal jab ladka college aya ladki bhi sath aai
accha mai ne puchha ye sab kya hai
kya bole vo bolege kya
ladka kafi jhep gaya aur ladki bhi sharmayi
so sweet
jab se dono ek hue hai ye hota hai aksar
ladki ka jab naam pukra, ladka bola yes sir
jab se dono ek hue hai ye hota hai aksar
ladki ka jab naam pukra, ladka bola yes sir
pyar ka chakkar hai ye hai na
dekho kisi se na kahna
pyar ka chakar hai ye hai na
dekho kisi se na kahna
college ka ek ladka hai aur college ki ek ladki
nain mile aur unke dil me ek chingari bhadki
pyar ka chakar hai ye hai na
dekho kisi se na kahna
pyar ka chakar hai ye hai na
dekho kisi se na kahna
ye bata de mujhe jindagi, pyar ki rah ke humasafar
kis tarah ban gaye ajanabi, ye bata de muje jindagi
phul kyo sare muraja gaye
kis liye bujh gayi chandani, ye bata de mujhe jindagi
kal jo baho me thi, aur nigaho me thi
abb wo gamri kaha kho gayi
kal jo baho me thi, aur nigaho me thi
abb wo gamri kaha kho gayi
na wo andaj hai, na wo awaj hai
na wo andaj hai, na wo awaj hai
abb wo namri kaha kho gayi
ye bata de mujhe jindagi, pyar ki rah ke humasafar
kis tarah ban gaye ajanabi, ye bata de muje jindagi
bewafa tum nahi, bewafa ham nahi
phir wo jajbat kyo so gaye
bewafa tum nahi, bewafa ham nahi
phir wo jajbat kyo so gaye
pyar tumko bhi hai, pyar ham ko bhi hai
pyar tumko bhi hai, pyar ham ko bhi hai
fasale phir ye kyo ho gaye
ye bata de mujhe jindagi, pyar ki rah ke humasafar
kis tarah ban gaye ajanabi, ye bata de muje jindagi
phul kyo sare muraja gaye
kis liye bujh gayi chandani, ye bata de mujhe jindagi
ye bata de mujhe jindagi, ye bata de mujhe jindagi
ye bata de mujhe jindagi
pyaar mujhase jo kiya tumane to kya paaogi
pyaar mujhase jo kiya tumane to kya paaogi
mere haalat ki aadhi me bikhar jaogi
pyaar mujhase jo kiya tumane to kya paaogi
raj aur dard ki basti kaa mai bashinda hu
ye to bas mai hu ke is haal me bhi zinda hu
khvaab kyu dekhu vo kal jisape mai sharminda hu
mai jo sharminda hua tum bhi to sharamaogi
pyaar mujhase jo kiya tumane to kya paaogi
kyu mere saath koi aur pareshan rahe
meri duniya hai jo viraan to viraan rahe
zindagi kaa ye safar tumako to aasaan rahe
hamasafar mujhako banaogi to pachhataogi
pyaar mujhase jo kiya tumane to kya paogi
ek mai kyaa abhi aayege divaane kitane
abhi gujege muhabbat ke tarane kitane
zindagi tumako sunayegi fasane kitane
kyu samajhati ho mujhe bhul nahi paaogi
pyaar mujhase jo kiya tumane to kya paaogi
mere haalat ki aadhi me bikhar jaogi
pyaar mujhase jo kiya tumane to kya paaogi
yeh tera ghar yeh mera ghar, kisi ko dekhna ho gar
toh pehle aake maang le, meri najar teri najar
yeh tera ghar yeh mera ghar, kisi ko dekhna ho gar
toh pehle aake maang le, meri najar teri najar
yeh tera ghar yeh mera ghar, yeh ghar bahut hasin hai
yeh ghar bahut hasin hai, yeh ghar bahut hasin hai
na baadalo ke chhaanv me, na chandani ke gaanv me
na phul jaise raaste bane hain iske vaaste
magar yeh ghar ajib hai, jamin ke karib hai
yeh int pattharo kaa ghar, hamari hasrato kaa ghar
yeh tera ghar yeh mera ghar, yeh ghar bahut hasin hai
yeh ghar bahut hasin hai, yeh ghar bahut hasin hai
jo chandani nahi toh kya, yeh roshani hai pyaar ki
dilo ke phul khil gaye, toh fikr kya bahaar ki
hamare ghar na aayegi, kabhi khushi udhar ki
hamari raahato kaa ghar, hamari chahto kaa ghar
yeh tera ghar yeh mera ghar, yeh ghar bahut hasin hai
yeh ghar bahut hasin hai, yeh ghar bahut hasin hai
yaha mahak wafaao ki, mohabbato kaa rang hai
yeh ghar tumhara khwaab hai, yeh ghar meri umang hai
na aarju pe kaid hai, na hausle pe jung hai
hamare hauslo kaa ghar, hamaari himmato kaa ghar
yeh tera ghar yeh mera ghar, kisi ko dekhna ho gar
toh pehle aake maang le, meri najar teri najar
yeh tera ghar yeh mera ghar, yeh ghar bahut hasin hai
yeh ghar bahut hasin hai, yeh ghar bahut hasin hai
kyun zindagi ki raah me majbur ho gaye
kyun zindagi ki raah me majbur ho gaye
itne huye karib ki ham dur ho gaye
kyun zindagi ki raah me majbur ho gaye
itne huye karib ki ham dur ho gaye
kyun zindagi ki raah me majbur ho gaye
aisa nahi ki hamko koi bhi khushi nahi
lekin ye zindagi to koi zindagi nahi
aisa nahi ki hamko koi bhi khushi nahi
lekin ye zindagi to koi zindagi nahi
kyo iske faisale hame manzur ho gaye
itne huye karib ki ham dur ho gaye
kyun zindagi ki raah me majbur ho gaye
paaya tumhe to hamko laga tumko kho diya
ham dil pe roye aur ye dil ham pe ro diya
paaya tumhe to hamko laga tumko kho diya
ham dil pe roye aur ye dil ham pe ro diya
palko se khvaab kyo gire kyo chur ho gaye
itne huye karib ki ham dur ho gaye
kyun zindagi ki raah me majbur ho gaye
itne huye karib ki ham dur ho gaye
kyun zindagi ki raah me majbur ho gaye
tumko dekha to ye khayal aaya
zindagi dhup tum ghana saaya
tumko dekha to ye khayal aaya
tumko dekha to ye khayal aaya
zindagi dhup tum ghana saaya
tumko dekha to ye khayal aaya
aaj phir dil ne ek tamanna ki
aaj phir dil ne ek tamanna ki
aaj phir dil ko hamne samajhaya
aaj phir dil ko hamne samajhaya
tumko dekha to ye khayal aaya
tum chale jaaoge to sochenge
tum chale jaaoge to sochenge
hamne kya khoya, hamne kya paaya
hamne kya khoya, hamne kya paaya
zindagi dhup tum ghana saaya
tumko dekha to ye khayal aaya
ham jise gunguna nahi sakte
ham jise gunguna nahi sakte
vaqt ne aisa git kyun gaaya
vaqt ne aisa git kyun gaaya
zindagi dhup tum ghana saaya
tumko dekha to ye khayal aaya
tumko dekha to ye khayal aaya