ye bhi ek dastoor hai, shayad purana aapka
ye bhi ek dastoor hai, shayad purana aapka
aate aate raaste se, laut jaana aapka
ye bhi ek dastoor hai, shayad purana aapka
aap apni ek jagah, koi mukalal kijiye
aap apni ek jagah, koi mukalal kijiye
humse ab dhundha nahi jaata thikana aapka
humse ab dhundha nahi jaata thikana aapka
aate aate raaste se, laut jaana aapka
ye bhi ek dastoor hai, shayad purana aapka
wo mera khul kar kisi se baat karna der tak
wo mera khul kar kisi se baat karna der tak
aur mujhe shaq ki nazar se dekhe jaana aapka
aur mujhe shaq ki nazar se dekhe jaana aapka
aate aate raaste se, laut jaana aapka
ye bhi ek dastoor hai, shayad purana aapka
tune khat mein likha bhul jaau tujhe
tune khat mein likha bhul jaau tujhe
ye na likha ke kaise bhulau tujhe
tune khat mein likha bhul jaau tujhe
kaise bhulunga pehli mulakaat main
sharm se laal chehra, wo barsaat main
bheeg kar lag rahi koi murat thi tu
apsarao se bhi khubsurat thi tu
tu hain dhadkan meri, tu hain saanse meri
ye bata de ke kaise bataau tujhe
tune khat mein likha bhul jaau tujhe
phir to tu hi meri zindagi ban gayi
ek pujari ki tu bandgi ban gayi
tere aane se suraj ki thi roshni
tu hanse to bikhar jaati thi chandani
mere dil mein basi ek murat hain tu
kaise ab ye yaki main dilaau tujhe
tune khat mein likha bhul jaau tujhe
tune majbur hoke likha hain ye khat
teri haalat ka mujhko bhi ehsaas hain
ghar ki izzat ki khatir tu khamosh hain
warna kab tera waada faramosh hain
zindagi se teri dur main jaa raha
hain ye koshish ke na yaad aau tujhe
tune khat mein likha bhul jaau tujhe
ye na likha ke kaise bhulau tujhe
tune khat mein likha bhul jaau tujhe
tay kar liya samandar, allah ke sahare
tay kar liya samandar, allah ke sahare
badla mera muqaddar, allah ke sahare
tay kar liya samandar, allah ke sahare
wo shola jisko chhu kar, jal jata hain zamana
wo shola jisko chhu kar, jal jata hain zamana
dekhenge usko chhu kar, allah ke sahare
dekhenge usko chhu kar, allah ke sahare
badla mera muqaddar, allah ke sahare
tay kar liya samandar, allah ke sahare
daaman mein kankaro ke ambaar hain to kya hai
daaman mein kankaro ke ambaar hain to kya hai
ban jaayenge ye gohar, allah ke sahare
ban jaayenge ye gohar, allah ke sahare
badla mera muqaddar, allah ke sahare
tay kar liya samandar, allah ke sahare
shahare wafa ke har patthar pe
naam likha hain tera mera
phir bhi duniya puchh rahi hain
kyaa rishta hain tera mera
shahare wafa ke har patthar pe
naam likha hain tera mera
phir bhi duniya puchh rahi hain
kyaa rishta hain tera mera
shahare wafa ke har patthar pe
tumne mujhse, maine tujhse
tut ke aisa pyaar kiya hain
tumne mujhse, maine tujhse
tut ke aisa pyaar kiya hain
jab bhi wafa ki baat chhidi hain
zikra hua hain tera mera
phir bhi duniya puchh rahi hain
kyaa rishta hain tera mera
shahare wafa ke har patthar pe
dil ka nagar, aankhon ki basti
pyaar mahal, yaado ki galiyan
dil ka nagar, aankhon ki basti
pyaar mahal, yaado ki galiyan
naam jagah ka koi ho lekin
ek pata hain tera mera
phir bhi duniya puchh rahi hain
kyaa rishta hain tera mera
shahare wafa ke har patthar pe
naam likha hain tera mera
phir bhi duniya puchh rahi hain
kyaa rishta hain tera mera
shahare wafa ke har patthar pe
nibha sako to karo pyar, warna mat karna
nibha sako to karo pyar, warna mat karna
bichhad ke tum kabhi, humko udaas mat karna
nibha sako to karo pyar, warna mat karna
abhi bhi waqt hain chaho to tum sambhal jaao
karo na fikar meri, aage tum nikal jaao
jo faislaa hai, wo karne mein der mat karna
jo faislaa hai, wo karne mein der mat karna
bichhad ke tum kabhi, humko udaas mat karna
nibha sako to karo pyar, warna mat karna
tumhare pyar mein, jo aaj meri haalat hain
har ek saans lage, jaise ke qayamat hain
mera jo haal hain, apna wo haal mat karna
mera jo haal hain, apna wo haal mat karna
bichhad ke tum kabhi, humko udaas mat karna
nibha sako to karo pyar, warna mat karna
maine jis haath pe likha tha, kabhi naam apna
aaj ki raat wahi, haath paraya hoga
meri taqdeer mein likha tha, khuda ne ek din
tu jise chahega wo, shakhs paraya hoga
meri tasveer ko jab, usne jalaya hoga
uski aankho mein koi ashq to aaya hoga
meri tasveer ko jab, usne jalaya hoga
uski aankho mein koi ashq to aaya hoga
meri tasveer ko jab, usne jalaya hoga
wo jo ik shakhs zamane mein, kisi ka bhi na tha
wo jo ik shakhs zamane mein, kisi ka bhi na tha
kis tarah tune use apna banaya hoga
uski aankho mein koi ashq to aaya hoga
meri tasveer ko jab, usne jalaya hoga
uske hatho mein bhi chhale to pade hi honge
uske hatho mein bhi chhale to pade hi honge
jisne sholo se mere ghar ko jalaya hoga
uski aankho mein koi ashq to aaya hoga
meri tasveer ko jab, usne jalaya hoga
mere labo pe dua banke aap rahte ho
mere labo pe dua banke aap rahte ho
kasam khuda ki, khuda banke aap rahte hain
mere labo pe dua banke aap rahte ho
ghamo ki dhoop mein jab chhanv ki tamanna ho
ghamo ki dhoop mein jab chhanv ki tamanna ho
to mere saath ghata banke aap rahte hain
to mere saath ghata banke aap rahte hain
kasam khuda ki, khuda banke aap rahte hain
mere labo pe dua banke aap rahte ho
kabhi utar hi na paaye jo baad marne ke
kabhi utar hi na paaye jo baad marne ke
wo aashiqi ka nasha banke aap rahte ho
wo aashiqi ka nasha banke aap rahte ho
kasam khuda ki, khuda banke aap rahte hain
mere labo pe dua banke aap rahte ho
zamana sadiyon se jiski talaash karta hain
zamana sadiyon se jiski talaash karta hain
usi khushi ka pata banke aap rahte hain
usi khushi ka pata banke aap rahte hain
kasam khuda ki, khuda banke aap rahte hain
mere labo pe dua banke aap rahte ho
kya khata hai ye bata de sahab
kya khata hai ye bata de sahab
phir jo chahe wo saza de sahab
kya khata hai ye bata de sahab
kya khata hai
meri ulfat ka seela ye to nahi
meri ulfat ka seela ye to nahi
aap nazron se gira de sahab
aap nazron se gira de sahab
phir jo chahe wo saza de sahab
kya khata hai
dil ko aaram na aa jaaye kahin
dil ko aaram na aa jaaye kahin
phir se deewana bana de sahab
phir se deewana bana de sahab
phir jo chahe wo saza de sahab
kya khata hai
jis jagah aapke ho nakshe kadam
jis jagah aapke ho nakshe kadam
hum wahin sar ko juka dein sahab
hum wahin sar ko juka dein sahab
phir jo chahe wo saza de sahab
kya khata hai ye bata de sahab
kya khata hai
apna koi mile to, gale se lagaiye
kya kya kahenge log, ise bhul jaaiye
apna koi mile to, gale se lagaiye
kya kya kahenge log, ise bhul jaaiye
apna koi mile to
kadmo se chalke paas to aate hain gair bhi
kadmo se chalke paas to aate hain gair bhi
aap aa rahe hain paas to, kuch dil se aaiye
kya kya kahenge log, ise bhul jaaiye
apna koi mile to
hum dhadkano ke paas hain, dil ke kareeb hain
hum dhadkano ke paas hain, dil ke kareeb hain
hai shart ye ke dhundh ke humko dikhaiye
kya kya kahenge log, ise bhul jaaiye
apna koi mile to
maana ke aitbaar ke kaabil nahi koi
maana ke aitbaar ke kaabil nahi koi
ye jaante huye kabhi dhokha khayiye
kya kya kahenge log, ise bhul jaaiye
apna koi mile to, gale se lagaiye
kya kya kahenge log, ise bhul jaaiye
apna koi mile to
apna koi mile to
apna koi mile to
jab tera khat kabhi, seene se lagaya maine
jab tera khat kabhi, seene se lagaya maine
dil pe ek dil ko dhadkta hua paaya maine
jab tera khat kabhi, seene se lagaya maine
jab tera khat kabhi
tu to nafrat bhi na kar payega utni mujhse
tu to nafrat bhi na kar payega utni mujhse
jitni shiddat se tera pyaar nibhaya maine
jitni shiddat se tera pyaar nibhaya maine
dil pe ek dil ko dhadkta hua paaya maine
jab tera khat kabhi, seene se lagaya maine
jab tera khat kabhi
jab kabhi gham ke andhero ne pareshan kiya
jab kabhi gham ke andhero ne pareshan kiya
teri yaadon ke charago ko jalaya maine
teri yaadon ke charago ko jalaya maine
dil pe ek dil ko dhadkta hua paaya maine
jab tera khat kabhi, seene se lagaya maine
jab tera khat kabhi
zindagi gujri isi khel mein aksar apni
zindagi gujri isi khel mein aksar apni
ruthne waale ko har baar manaya maine
ruthne waale ko har baar manaya maine
dil pe ek dil ko dhadkta hua paaya maine
jab tera khat kabhi, seene se lagaya maine
jab tera khat kabhi