tu kaha chali kuchh bol, nadi ki dhara
tu kaha chali kuchh bol, nadi ki dhara
mujhko to mila kinara
mujhko to mila kinara
tu kal kal kar kya gati hain
tu kal kal kar kya gati hain
bichhudan ki katha sunati hain
bichhudan ki katha sunati hain
tu aansu jal ki bahati chal
tu aansu jal ki bahati chal
mujko to mila sahara
tu kaha chali kuchh bol, nadi ki dhara
mujhko to mila kinara
mujhko to mila kinara
paashano ke man ghayal hain
lahro ke chanchal payal hain
pashano ke man ghayal hain
lahro ke chanchal payal hain
main tujhe batau, bata mujhe tu
kau tera piye pyara
tu kaha chali kuchh bol, nadi ki dhara
mujhko to mila kinara
mujhko to mila kinara
maine mahal banaya apana
maine mahal banaya apana
sakar hua sukh sapana
sakar hua sukh sapana
hain preet yahi main jeet gayi
hain preet yahi main jeet gayi
jabse maine man hara
jabse maine man hara
tu kaha chali kuchh bol, nadi ki dhara
mujhko to mila kinara
mujhko to mila kinara
aise hai sukh sapan humare
aise hai sukh sapan humare
ban ban kar mit jaate jaise
baalu ke ghar nadi kinare
aise hai sukh sapan humare
lahare aati bah bah jati
rekhaye bas rah rah jati
jati lahre kah kah jati
jate pal ko kaun pukare
aise hai sukh sapan humare
aisi in sapno ki maya
jal par jaise chand ki chhaya
chand kisi ke hath na aaya
chahe jitna hath pasare
aise hai sukh sapan humare
man bhar aaya naina chhalke
man bhar aaya naina chhalke
gaalo par do aansu dhalke
yaad kiye kyu sapne kal ke
bite ko tu kyu na bisare
aise hai sukh sapan humare
aise hai sukh sapan humare
tumhe bandhne ke liye mere pass aur kya hai
mera prem hai
mera prem hai re, mera prem hai
mera prem hai re, mera prem hai
ganth kali ki khul khul jati
o o
ganth kali ki khul khul jati
khushbu ud ud jati
kumhlaati phulo ki mala man ko bandh na pati
kumhlaati phulo ki mala man ko bandh na pati
bulbul banke bhed batati
kya kya
tumhe bandhne ke liye mere pass aur kya hai
mera prem hai
mera prem hai re, mera prem hai
mera prem hai re, mera prem hai
o o ho ho ho
preet ke raja meri preet ke raja
preet ke raja meri preet ke raja
kaise mai tujhko rijhaungi
kali kali putli hai neelam ke jhule se
naino me tumko jhulaungi
kali kali putli hai neelam ke jhule se
naino me tumko jhulaungi
koyal banke geet sunaungi
kya kya
tumhe bandhne ke liye mere pass aur kya hai
mera prem hai
mera prem hai re, mera prem hai
mera prem hai re, mera prem hai
tumhe bandhne ke liye mere pass aur kya hai
mera prem hai
mera prem hai re, mera prem hai
mera prem hai re, mera prem hai
pahle na jana tha haye pahle na jana tha
pahle na jana tha haye pahle na jana tha
dil deke badle me dard hi pana tha
dard hi pana tha haye pahle na jana tha
pahle na jana tha haye pahle na jana tha
tute nasibo ko kaun sanware
dil ko mitati hai dil ki hi chah re
chaho ki raho me gham bhi uthana tha
gham bhi uthana tha
haye pahle na jana tha
pahle kadam par thokar khai re
khud apni khud thokar khai re
apna banake hume yu thukrana tha
yu thukrana tha
haye pahle na jana tha
khel nigaho ka ajab anokha re
pyar ki duniya me dokha hi dokha re
o pardesi tujhe o nirmohi tujhe
pyar nibhana tha pyar nibhana tha
haye pahle na jana tha
pahle na jana tha haye
pahle na jana tha
mai ban ki bholi gavalniya
mai ban ki bholi gavalniya
o shyam teri ban jaungi
ghanshyam teri ban jaungi
teri mithi mithi murli par
teri mithi mithi murli par
mai savan ban kar mandraungi
ghanshyam teri ban jaungi
maine tere liye singar kiya
maine tere liye singar kiya
aur naino ko tujh par war diya
jana na kabhi maine pahle
jana na kabhi maine pahle
mai git prit ke gaungi
ghanshyam teri ban jaungi
o ghanshyam teri ban jaungi
mai ras ki gagariya
mai ras ki gagariya
se bhig gayi mai bhig gayi
jivan me pahli bar aaj
jivan me pahli bar aaj
mai apne se sharmaungi
ghanshyam teri ban jaungi
o ghanshyam teri ban jaungi
mai ban ki kali aur ban me pali
kabhi dekhi nahi pritam ki gali
kabhi dekhi nahi pritam ki gali
kab darash milega mohan ka
kab darash milega mohan ka
kab mohan par bali jaungi
ghanshyam teri ban jaungi
mai ban ki bholi gavalniya
mai ban ki bholi gavalniya