are jab aankh se aankh mile to
mulakat hoti hai
aur jab sawan se badal mile to
barsat hoti hai
subah se sham mile to
phir raat hoti hai
aur jab raahu se, ketu mile to
are koi baat hoti hai
jaise dil se diwano ka
jaise dil se diwano ka, shama se parwano ka
masti se mastano ka
aise tera mera nata, hai zara pahchan
main hu tera prem aur tum ho mere pran
main hu tera prem aur tum ho mere pran
ho jaise bijli se badal ka
o jaise bijli se badal ka, aankho se kajal ka
ghungru se payal ka
aise raahu ketu ka nata hai pahchan
tum ho mere prem aur main hu tera pran
ha main hu tera prem aur tum ho mere pran
are tu jo mere sath hai
tu jo mere sath hai, to duniya apne hath hai
kar nahi sakte jise, hum kaun si wo baat hai
hum jo chahe to, chand ki chhati pe
andhere bichha sakte hai
hum jo chahe to, shabnam ki aankho se
shole ki raah takte hai
patthar ke sine pe, rait ke kaleje pe
kashti chala sakte hai
duniya ne humko
duniya ne humko, pahchana nahi hai
samjha nahi aur, jana nahi hai
chahe kahe sadhu, aur chahe kahe beiman
main hu tera prem, aur tum ho mere pran
are tum ho mere prem, aur main hu tera pran
ho tere kurban
are bure hai ya nek hai, andar se dono ek hai
andar se dono ek hai
duniya jisko jaan saki na, aise kaam anek hai
are aise kaam anek hai
wafadaro ke liye, hum to wafa hai
ha ha wafa hai
sazawaro ke liye, hum to saza hai
ha ha saza hai
are dushman ke liye hum to
kaza hai kaza hai kaza hai
khudi pe aa jaye to hum bhi
khuda hai khuda hai khuda hai
humare sang hai hazaar
ke hum hai do dhari talwar
humari apni hai sarkar
humara apna karobar
kisi ka karte beda paar
kisi ka kar de banta dhar
raahu ketu hai do yaar
ke jinki lila aprampar
ke jinki lila aprampar
are duniya se hum to
duniya se hum to nirale hai dono
nirale matwale dilwale hai dono
humare ishare pe chalta jaha
main hu tera prem, aur tum ho mere pran
are tum ho mere prem, aur main hu tera pran
o main hu tera prem, aur main hu tera pran
main hu tera prem, aur main hu tera pran
la la la l l l la la
mujhe chhuna na mujhe chhuna na
mera naram naram sa badan na murjha jaye
mujhe chhuna na
mera naram naram sa badan na murjha jaye
mai chhui mui hu anchhui mai chhui mui hu anchhui
kahi bhule se na hath lagana mujhe chhuna na
mera naram naram sa badan na murjha jaye
chhuna na
mai to hu kachhi kali dur se khushboo le le
mai to hu kachhi kali dur se khushboo le le
dil bhi jo dena chahe tu dur se dil ko de de
ishq ki dhup hu aag ka rup hu
kabhi gale se mujhe na lagana mujhe chhuna na
mera naram naram sa badan na murjha jaye
mai chhui mui hu anchhui mai chhui mui hu anchhui
kahi bhule se na hath lagana mujhe chhuna na
mera naram naram sa badan na murjha jaye
chhuna na
mai aisi bijli hu hath me aau na na
mai aisi bijli hu hath me aau na na
dur se karo nazara mera pas bulao na
pyar ka nag hu husn ka saz hu
kahi hotho se mujhe na lagana
mujhe chhuna na
mera naram naram sa badan na murjha jaye
mai chhui mui hu anchhui mai chhui mui hu anchhui
kahi bhule se na hath lagana mujhe chhuna na
mera naram naram sa badan na murjha jaye