taqdir ke bazaar me
bikte huye jazbaat le
duniya ka ye dastur hai
is hath de is hath le
kyu thik hai na
ganga jamni payal la de
sone ke kaganwa
phir sari raat rahiyo sajanwa
phir sari raat rahiyo sajanwa
ganga jamni payal la de
sone ke kaganwa
phir sari raat rahiyo sajanwa
phir sari raat rahiyo sajanwa
teri baaho me aa jaungi
tere sine se lag jaungi
khud bhi piungi raja tujhe bhi pilaungi
main bhi jawan hu tu bhi jawan hai
mardo ki jaat magar hoti beiman hai
matlab nikalte hai vado pe talte hai
matlab nikalte hai vado pe talte hai
pahle saja de mera gora badanwa
phir sari raat rahiyo sajanwa
phir sari raat rahiyo sajanwa
teri in galiyo me dhum hai
ye mujhko bhi malum hai
julmi najariya wale kyu banta masum hai
teri har baat ko sach kaise maan lu ha
tu mujhko chahta hai ye kaise jaan lu
ban jaye baat abhi ho jaau sath abhi
ban jaye baat abhi ho jaau sath abhi
pahle dila de mere man ka chamanwa
phir sari raat rahiyo sajanwa
phir sari raat rahiyo sajanwa
jisko mile padoshi achcha, wo hai kismat wala
chahe wo motar wala o bhaiya chahe ho thele wala
jisko mile padoshi achcha, wo hai kismat wala
chahe wo motar wala o bhaiya chahe ho thele wala
ek samay tha jab aapas me
mil jul kar hum rahte the
ek samay tha jab aapas me
mil jul kar hum rahte the
desh ko apna desh samjh kar
sukh dukh mil kar sahte the
aaj nahi hai koi kisi ka dard samjhne wala
jisko mile padoshi achcha, wo hai kismat wala
chahe wo motar wala o bhaiya chahe ho thele wala
baant diya hai insano ko majhab ki diwaro ne
banat diya hai insano ko majhab ki diwaro ne
mandir maszid math gurdware girjo ki minaro me
pyar se rahkar ab to karde nafrat ka muh kala
jisko mile padoshi achcha, wo hai kismat wala
chahe wo motar wala o bhaiya chahe ho thele wala
mil milkar hum rah na sake to
lad kar kya rah payenge
mil milkar hum rah na sake to
lad kar kya rah payenge
shanti dut nehru ke sapne
sach kaise ho payenge
ek rahe to sab desho me
apna desh nirala
jisko mile padoshi achcha, wo hai kismat wala
chahe wo motar wala o bhaiya chahe ho thele wala
jisko mile padoshi achcha, wo hai kismat wala
chahe wo motar wala o bhaiya chahe ho thele wala
mehnat kar le bande mehnat ka phal milega
mehnat kar le bande mehnat ka phal milega
mehnat se toofano me bhi sahil tujhe milega
mehnat kar le bande mehnat ka phal milega
mehnat ka hi paisa sabke dukh sukh me kam aata hai
bin mehnat ka paisa jaise aata waise hi jata hai
mehnat se parvat ke sine me bhi chaman khilega
mehnat kar le bande mehnat ka phal milega
aane wali nashle tujhse kya kya aas lagaye hai
desh ne tere bal par jane kitne khwab sajaye hai
tu himmat kar sara bharat tere sath chalega
mehnat karle bande mehnat ka phal milega
mehnat se toofano me bhi sahil tujhe milega
mehnat kar le bande mehnat ka phal milega
mai hu majbur meri manjil hai dur
kahi raste me sham ho na jaye
mera pyar badnam ho na jaye
mai hu majbur meri manjil hai dur
kahi raste me sham ho na jaye
mera pyar badnam ho na jaye
wo mera pyar mere jajbat dekhe
na hum jindagi ke halat dekhe
wo mera pyar mere jajbat dekhe
na hum jindagi ke halat dekhe
jidd hai fizul unki choti si bhul
kahi maut ka paygam ho na jaye
mera pyar badnam ho na jaye
mai hu majbur meri manjil hai dur
kahi raste me sham ho na jaye
mera pyar badnam ho na jaye
kitni ajib hai ye dunia ki rasme
aaj apna pyar bhi hai gairo ke bas me
kitni ajib hai ye dunia ki rasme
aaj apna pyar bhi hai gairo ke bas me
dar hai mujhe kahi yuhi rote rote
meri dasta tamam ho na jaye
mera pyar badnam ho na jaye
mai hu majbur meri manjil hai dur
kahi raste me sham ho na jaye
mera pyar badnam ho na jaye
mai hu majbur meri manjil hai dur
wo pyar hamse karte hai ikrar nahi karte
jo najro ne pucha inkar nahi karte
wo pyar hamse karte hai ikrar nahi karte
jo najro ne pucha inkar nahi karte
na jane hamse kyu wo aise sharmate hai
ke bat apne dil ki bhi kah nahi pate hai
na jane hamse kyu wo aise sharmate hai
ke bat apne dil ki bhi kah nahi pate hai
wo samne aankho se aankhe char nahi karte
wo pyar hamse karte hai ikrar nahi karte
jo najro ne pucha inkar nahi karte
bechain wo bhi honge jaise mai hu bekarar
tanhaiyo me karte honge mera intzar
bante hai aise bhole jaise pyar nahi karte
wo pyar hamse karte hai ikrar nahi karte
jo najro ne pucha inkar nahi karte
hasin ye najare suhana ye sama
aise me wo bhi hote mere sath jo yaha
hasin ye najare suhana ye sama
aise me wo bhi hote mere sath jo yaha
kyu mujhko aisi khushiyo ka hakdar nahi karte
wo pyar hamse karte hai ikrar nahi karte
jo najro ne pucha inkar nahi karte