People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 8 *

Bhul Ja Aye Dil Woh Baatein
Singer: Amar
Music: Naushad
Album: Natak(1947)
Tag: Hindi
Video:
bhul ja aye dil wo bate bhul ja
bhul ja aye dil wo bate bhul ja
may ke din rangin rate bhul ja
may ke din rangin rate bhul ja

wo dhadkate dil wo sarmayi najar
wo dhadkate dil wo sarmayi najar
wo najar se dil ki bate bhul ja
bhul ja aye dil wo bate bhul ja

ab mohabbat kha rahi hai thokre
ab mohabbat kha rahi hai thokre
ho chuki chup chup ke ghate bhul ja
bhul ja aye dil wo bate bhul ja

lut gaye wo hasrato ke kafile
lut gaye wo hasrato ke kafile
haa wo umango ki barate bhul ja
bhul ja aye dil wo bate bhul ja
bhul ja aye dil wo bate bhul ja
Apna Jinhe Banaya
Singer: Suraiya
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Natak(1947)
Tag: Hindi
Video:
apna jinhe banaya
thukra ke wo sidhare
thukra ke wo sidhare
thukra ke wo sidhare
tute na is tarah se
dushman ke bhi sahare
dushman ke bhi sahare
dushman ke bhi sahare

dil ki har ek dhadkan fariyaad ho gayi hai
aabad thi jo duniya barbad ho gayi hai
dar dar bhatak rahe hai
hum ranj-o-ghum ke maare
hum ranj-o-ghum ke maare
hum ranj-o-ghum ke maare

aankhe kaha se laye ye dekhne ko haye
koi kisi ko khoye koi kisi ko paye
hans kar koi gujare
ro kar koi gujare
ro kar koi gujare
ro kar koi gujare

bigde na yu mukaddar badle na yu zamana
apne liye kafat hai apna hi aashiyana
hai aaj wo paraye
kal tak jo the humare
kal tak jo the humare
kal tak jo the humare
Mann Ka Panchhi
Singer: Amar
Music: Naushad
Album: Natak(1947)
Tag: Hindi
Video:
man ka panchhi shor machaaye
aaja tujh bin chain na aaye
man ka panchhi shor machaaye
aaja tujh bin chain na aaye

raate laaye, sukh ka sandesha
saari duniya soye
raate laaye, sukh ka sandesha
saari duniya soye
huk si uthe mere dil mein
dard jigar mein hoye
dard jigar mein hoye
aankhen tarse neend na aaye
aaja tujh bin chain na aaye

chaand ko chhede chanchal taare
ithlaaye ujiyaali
chaand ko chhede chanchal taare
ithlaaye ujiyaali
kis ko chhedu, tere bina main
mera pehlu khaali
mera pehlu khaali
dil se mere nikle haaye
aaja tujh bin chain na aaye

aankh mein aansu, lab par aahen
dil mein dard basa le
aankh mein aansu, lab par aahen
dil mein dard basa le
dil ka sauda dil se kar le
kuchh kho le kuchh paa le
kuchh kho le kuchh paa le
dekh jawaani beeti jaaye
aaja tujh bin chain na aaye
man ka panchhi shor machaaye
aaja tujh bin chain na aaye
Dil Leke Chale Toh Nahi Jaogi
Singer: Suraiya
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Natak(1947)
Tag: Hindi
Video:
dil leke chale to nahi jaoge
dil leke chale to nahi jaoge
raja ji ho raja ji
raja ji ho raja ji

pyar ko gudgudaya hai tumne
pyar ko gudgudaya hai tumne
mohe apna banaya hai tumne
mohe apna banaya hai tumne
najro se to naahi giravoge
najro se to naahi giravoge
raja ji ho raja ji
dil leke chale to nahi jaoge
raja ji ho raja ji

tumse naina mile kho gayi main
jaagte jaagte so gayi main
tumse naina mile kho gayi main
jaagte jaagte so gayi main
is nindiya se to na jagavoge
is nindiya se to na jagavoge
raja ji ho raja ji
dil leke chale to nahi jaoge
raja ji ho raja ji

dhan jaha hai mohabbat wahi hai
dhan jaha hai mohabbat wahi hai
dhan bina pyar kuch nahi hai
dhan bina pyar kuch nahi hai
nirdhan pe julm to nahi dhavoge
nirdhan pe julm to nahi dhavoge
raja ji ho raja ji
dil leke chale to nahi jaoge
raja ji ho raja ji
Kya Bataye Kitni Hasrat
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Natak(1947)
Tag: Telugu
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Natak/Kya-Batayen-Kitni-Hasrat-Dil-Ke/RVApfitkc30
Video:
kya bataye kitni hasrat
dil ke afsane me hai
subah gulshan me huyi
aur sham virane me hai
sham virane me hai
aur sham virane me hai
sham virane me hai

haye wo aagaz-e-ulfat me khushi ikraar ki
haye wo kis kis bahane koshishe didar ki
chhup ke duniya ki nigaho se wo baate pyar ki
ab na jane raaz kya milkar bichhad jane me hai
milkar bichhad jane me hai
milkar bichhad jane me hai
sham virane me hai

kya mujhe apna banaya tha mitane ke liye
kya khabar thi jaoge ja kar na aane ke liye
jal uthi hai aag ghum ki dil jalane ke liye
dil lagane ka maja ab ghut ke mar jane me hai
ab ghut ke mar jane me hai
ab ghut ke mar jane me hai
sham virane me hai

kuch samjh me hi nahi aata ke ab jau kidhar
thokre khana hi kismat me likha hai darbadar
mere mitne ki shakil unko na ho parwah magar
unka afsana bhi shamil mere afsane me hai
ab mere afsane me hai
ab mere afsane me hai
sham virane me hai
Dilwale Jal Jal Kar
Singer: Uma Devi
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Natak(1947)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Natak/Dilwale-Jal-Jal-Kar-Hi-Mar-Jana/LzI,aDdRdmc
Video:
dilwale dilwale
jal jal kar hi mar jana
tum preet na kar pachhtana
tum preet na kar pachhtana
dilwale dilwale

preet ki dil se aag uthe
aur dono taraf lag jaye
preet ki dil se aag uthe
aur dono taraf lag jaye
tan ko jalaye man ko jalaye
tan ko jalaye man ko jalaye
phir bhi na nikle haye
phir bhi na nikle haye
ek shama ho ek parwana
tum preet na kar pachhtana
tum preet na kar pachhtana
dilwale dilwale

rang rangili duniya me hai
rang rang ke dhokhe
do din ki jiwan maya
isko na bitana ro ke
rang rangili duniya me hai
rang rang ke dhokhe
do din ki jiwan maya
isko na bitana ro ke
hans hans kar preet nibhana
tum preet na kar pachhtana
tum preet na kar pachhtana
dilwale dilwale
jal jal kar hi mar jana
tum preet na kar pachhtana
tum preet na kar pachhtana
dilwale dilwale
Na Ho Koi Jaha Chale
Singer: Suraiya, Amar
Music: Naushad
Album: Natak(1947)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Natak/Na-Ho-Koi-Jahan-Chale-Hum-Tum/EVEPdiZUUlk
Video:
na ho koi jaha
na ho koi jaha
chale hum tum waha
na ho koi jaha
na ho koi jaha
chale hum tum waha

dhadke dil mil mil ke nikle arma
dhadke dil mil mil ke nikle arma
na ho koi jaha
na ho koi jaha
chale hum tum waha

yuhi gaate rahe gungunate rahe
yuhi gaate rahe gungunate rahe
furkat ke ghum na sahe
furkat ke ghum na sahe
yuhi hum aapko yaad aate rahe
milke ye do dil kahe
yuhi hum aapko yaad aate rahe
milke ye do dil kahe
kabhi aaye na apne chaman me khiza
kabhi aaye na apne chaman me khiza
na ho koi jaha
na ho koi jaha
chale hum tum waha

kahi apna banake na dena daga
kahi apna banake na dena daga
hai ye duniya bewafa
hai ye duniya bewafa
nahi mumkin ke tumse karu main jafa
honge na hum tum juda
nahi mumkin ke tumse karu main jafa
honge na hum tum juda
rahe yuhi humari mohabbat jawa
rahe yuhi humari mohabbat jawa
na ho koi jaha
na ho koi jaha
chale hum tum waha
na ho koi jaha
na ho koi jaha
chale hum tum waha
Kale Kale Aaye Badarva
Singer: Suraiya
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Natak(1947)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Natak/Kale-Kale-Aaye-Badarwa/XSEDWgFmGkM
Video:
kale kale aaye badarva
aavo sajan more aavo
kale kale aaye badarva
aavo sajan more aavo

jab sawan ki rut aaye sajanwa
jiya pe laage more thesh
aise me tum more sajanwa
kaahe gaye pardesh
jab sawan ki rut aaye sajanwa
jiya pe laage more thesh
aise me tum more sajanwa
kaahe gaye pardesh
ho kale kale aaye badarva
aavo sajan more aavo
kale kale aaye badarva
aavo sajan more aavo

jab panghat pe sakhiyan ke sang main
paniya bharan ko jau
chhalak pade nainan ki gagri
ro ro neer bahau
jab panghat pe sakhiyan ke sang main
paniya bharan ko jau
chhalak pade nainan ki gagri
ro ro neer bahau
ho kale kale aaye badarva
aavo sajan more aavo
kale kale aaye badarva
aavo sajan more aavo

are hare hare ye khet sajanwa
kate to phir ugi aaye
gayi jawani bit to sajna
nahi laut ke aaye
are hare hare ye khet sajanwa
kate to phir ugi aaye
gayi jawani bit to sajna
nahi laut ke aaye
ho kale kale aaye badarva
aavo sajan more aavo
kale kale aaye badarva
aavo sajan more aavo
kale kale aaye badarva
aavo sajan more aavo
kale kale aaye badarva
aavo sajan more aavo