People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 5 *

Tere Dil Ki Tu Jaane
Lyricist: Anand Bakshi
Album: Naam(1986)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naam/Tere-Dil-Ki-Tu-Jaane/PVsDfzVKZlo
Video:
tere dil ki tu jane, tere dil ki tu jane
me apne dil ki janu, me tujhpe marti hu
mohabbat karti hu, mohabbat karti hu
tere dil ki tu jane
me apne dil ki janu, me tujhpe marti hu
mohabbat karti hu, mohabbat karti hu
tere dil ki tu jane

tera jane kya hai irada, tera jane kya hai irada
tu nahi karda koi wada, teri marji tu jane
teri marji tu jane
me apni marji janu, me wada karti hu
mohabbat karti hu, mohabbat karti hu
tere dil ki tu jane
me apne dil ki janu, me tujhpe marti hu
mohabbat karti hu, mohabbat karti hu

pyar ka pahla sal hai mera ho ab se hi ye hal hai mera
pyar ka pahla sal hai mera ho ab se hi ye hal hai mera
teri halat tu jane, teri halat tu jane
me apni halat janu, me aahe bharti hu
mohabbat karti hu, mohabbat karti hu
tere dil ki tu jane
me apne dil ki janu, me tujhpe marti hu
mohabbat karti hu, mohabbat karti hu

nam tere sab kuch likh jau, tere liye to me bik jau
nam tere sab kuch likh jau, tere liye to me bik jau
meri kimat tu jane, meri kimat tu jane
me teri kimat janu, me jaake sajti hu
mohabbat karti hu, mohabbat karti hu
tere dil ki tu jane
me apne dil ki janu, me tujhpe marti hu
mohabbat karti hu, mohabbat karti hu
mohabbat karti hu, mohabbat karti hu
mohabbat karti hu, mohabbat karti hu
Ameeron Ki Shaam
Singer: Mohammad Aziz
Lyricist: Anand Bakshi
Album: Naam(1986)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naam/Amiron-Ki-Shaam-Garibon-Ke-Naam/IVEdVE1IVGs
Video:
ye aansu ye jajabat tum bechte ho, garibo ke halat
tum bechte ho amiro ki sham garibo ke nam
amiro ki sham garibo ke nam, amiro ki sham garibo ke nam
isi baat par sabko mera salam
amiro ki sham garibo ke nam, amiro ki sham garibo ke nam

ye kya hai tamasha ye kya hai sitam
ye kya hai tamasha ye kya hai sitam
maja aa gaya bas khuda ki kasam, khusi ki dukano pe bikta hai gum
bikta hai gum
fida aise gum pe hai khusiya tamam
amiro ki sham garibo ke nam, amiro ki sham garibo ke nam

ye fankar ki ek hasi yad hai, ye fankar ki ek hasi yad hai
kisi bhukhe nange ki fariyad hai, ye tasvir to kabile dad hai
kabile dad hai
ise dijiye ap pahla inam, ise dijiye ap pahla inam
amiro ki sham garibo ke nam, amiro ki sham garibo ke nam

ye masum bacha ye majbur maa, ye masum bacha ye majbur maa
na chulha na bartan na ghar na dhua
na chulha na bartan na ghar na dhua
garibi ki muh bolti dasta, amiro ka muh bolta intkam
amiro ki sham garibo ke nam, amiro ki sham garibo ke nam
isi bat par mera sab ko salam
amiro ki sham garibo ke nam, amiro ki sham garibo ke nam
Veriya Ve Kiya Kya Kasoor
Lyricist: Anand Bakshi
Album: Naam(1986)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naam/Veriya-Ve-Kiya-Kya-Kasoor/HgQhWDlgc2U
Video:
jiniya tenu der lagiya tenu ek lage to tu jane
gulam phariba dil othe daiye, jithe agala kadar bhi jane
vairiya we ho kiya kya kasur maine tera we
vairiya we
chahe jo saluk kar mujhe manjur par, jurm jarur das mera ve
vairiya we ho kiya kya kasur maine tera we
vairiya we

ankhiyo me bas ke ankhiyo se das ke
leta nahi has ke salam tu
itna to kam kar mujhe badnam kar, koi bhi lagake ilzam tu
kar kuch bahana konsa na mana, hukum huzur das tera we
vairiya we ho kiya kya kasur maine tera we
vairiya we

acha kiya tune tod diya tune, dil mera bada magrur tha
apni wafa pe sharam haya pe, kabhi mujhe itna gurur tha
kadmo me tere rakh diya sar le, tuta gurur bas mera we
vairiya we ho kiya kya kasur maine tera we
vairiya we

yaha nahi chalta jor dilo ka, yaha dastur chalte hai
gal sun sajna chal mere balma, dunia se dur chalte hai
yaha nahi rahna itna tu kahna, kar manjur bas mera we
vairiya we ho kiya kya kusur maine tera we
vairiya we, vairiya we
vairiya we, vairiya we
Tu Kal Chala Jayega
Lyricist: Anand Bakshi
Album: Naam(1986)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naam/Tu-Kal-Chala-Jayega/IwMBCCV1bV4
Video:
tere jane ki khushi aur dil udas hai
dur hum hue to kya dil to dil ke pas hai
tu kal chala jayega to mai kya karunga
tu kal chala jayega to mai kya karunga
tu yad bahut aayega
tu yad bahut aayega to mai kya karunga
tu kal bichhad jayega to mai kya karunga
tu kal bichhad jayega to mai kya karunga
tu muhjko bhul jayega to mai kya karunga
tu kal chala jayega

teri yaad ko kahi durr chhod aau mai
teri yaad ko kahi durr chhod aau mai
is kadar pila mujhe tujhko bhul jau mai
is kadar pila mujhe tujhko bhul jau mai
tujhko bhul jau mai
hosh magar aayega to mai kya karunga
hosh magar aayega to mai kya karunga
tu yad bahut aayega to mai kya karunga
tu kal chala jayega

tere jaisa kaun hai aur kiska naam lu
tere jaisa kaun hai aur kiska naam lu
la mai isi baat par aur ek jaam lu
la mai isi baat par aur ek jaam lu
aur ek jaam lu
jaam chhalak jayega to mai kya karunga
jaam chhalak jayega to mai kya karunga
tu muhjko bhul jayega to mai kya karunga
tu kal chala jayega

bhul jana tu mujhe zindagi sawarna
bhul jana tu mujhe zindagi sawarna
yad na karna mujhe haske din gujarna
yad na karna mujhe haske din gujarna
haske din gujarna
tera gam rulayega to mai kya karunga
tera gam rulayega to mai kya karunga
tu yad bahut aayega to mai kya karunga
tu kal chala jayega to mai kya karunga
tu yad bahut aayega to mai kya karunga
tu kal bichhad jayega to mai kya karunga
tu muhjko bhul jayega to mai kya karunga
tu kal chala jayega
Chitti Aayi Hai
Singer: Pankaj Udas
Lyricist: Anand Bakshi
Album: Naam(1986)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naam/Chithi-Aayi-Hai/Ml8BezhZUXI
Video:
chithi aai hai aai hai
chithi aai hai
chithi aai hai aai hai
chithi aai hai
chithi hai vatan se chithi aayi hai
bade dino ke bad, ham bevatano ko yad
bade dino ke bad, ham bevatano ko yad
vatan ki mitti aai hai, chithi aai hai
chithi aai hai aai hai
chithi aai hai
chithi hai vatan se chithi aayi hai


upar mera nam likha hai,
andar ye paigam likha hai
o parades ko jane vale,
laut ke phir na ane vale
sat samudar paar gaya tu
hamko zinda mar gaya tu
khun ke rishte tod gaya tu
ankh me aansu chhod gaya tu
kam khaate hai kam sote hai
bahut zyada ham rote hai
chithi aai hai aai hai
chithi aai hai
chithi aai hai aai hai
chithi aai hai
chithi hai vatan se chithi aayi hai

suni ho gai shahar ki galiya
kante ban gai bag ki kaliya
kahate hai savan ke jhule
bhul gaya tu ham nahi bhule
tere bin jab aai divali,
dip nahi dil jale hai khali
tere bin jab aai holi,
pichakari se chhuti goli
pipal suna panaghat suna ghar
shamashan ka bana namuna
fasal kati aai baisakhi
tera aana rah gaya baki
chithi aai hai aai hai
chithi aai hai
chithi aai hai aai hai
chithi aai hai
chithi hai vatan se chithi aayi hai

pahle jab tu khat likhta tha
kaagaz me chehara dikhata tha
band hua ye mel bhi ab to
khatam hua ye khel bhi ab to
doli me jab baithi bahana
rasta dekh rahe the naina
mai to bap hun mera kya hai
teri maa ka hal bura hai
teri bivi karti hai seva
surat se lagati hai beva
tune paisa bahut kamaya
is paise ne desh chhudaya
desh paraya chhod ke aaja
panchi pinjara tod ke aaja
desh paraya chhod ke aaja
panchi pinjara tod ke aaja
aaja umar bahut hai choti
apane ghar me bhi hai roti

chithi aai hai aai hai
chithi aai hai
chithi aai hai aai hai
chithi aai hai
chithi hai vatan se chithi aayi hai
bade dino ke bad, ham bevatano ko yad
vatan ki mitti aai hai, chithi aai hai
chithi aai hai aai hai
chithi aai hai
chithi hai vatan se chithi aayi hai
bade dino ke bad, ham bevatano ko yad
vatan ki mitti aai hai, chithi aai hai