tere shaharo se raaja hame ban hee bhale
vaha chain se toh sote the sitaaron ke tale
tujhako bhee dekh liya shahar bhee tera dekha
jagamagahat kee har ik tah me andhera dekha
aish karate hain tere shahar me daulatavaale
aur phankon ke sitam sahate hain mehanatvaale
tere shahaaro me jaban jhuthee hai, dil khote hain
bildinge unchee hain, insaan bahut chhote hain
tere shaharo se
shor itana hai kee dil kee bhee sada kho jaaye
bhid aisee hai ke khud apna pata kho jaaye
ishkvaalo ko yaha rasme wafa yaad nahee
husn ko husn kee sharmo haya yaad nahee
jism se ruh ka hai bair tere shaharo me
najar aate hain sabhee gair tere shaharo me
tere shaharon se
tune jo dhang nikale hain ve bedhange hain
kapada bunatee hai mil phir bhee badan nange hain
galla chhup jata hai dhanavano ke tahakano me
lakhon mar jaate hain tapate huye maidaano me
bhukhe futapatho pe sote hain tere shaharo me
log insaaf ko rote hain tere shaharo me
tere shaharo se
kahee bhaasha ka jhagada hai toh kahee praant ka hai
kahee naslo ka hai fasaad toh kahee jaat ka hai
aman aur chain ka hai saaya nahee inn raaho me
dadhiya chotiya takaratee hain chauraaho me
tere shaharo me mohabbat ka pata kya dhundhe
aadamee tak nahee milata hai khuda kya dhundhe
tere shaharo se
tumane raket kee madad le ke sitaare dekhe
maut ke munh me hain dukh dard ke maare kitane
daane daane ko tarsate hain bechaare kitane
yahee tahjib hai shaharo kee toh jangal achchhe
jo har ik ghar pe barasate ho woh baadal achchhe
tere shaharo se
janeman
janeman chilman utha kar dekh le dekh le
dil jalo se dil laga kar dekh ke dekh le
janeman chilman utha kar dekh le dekh le
dil jalo se dil laga kar dekh ke dekh le
janeman chilman utha kar dekh le
ishk hai shahib jabardashti nahi kyu koi
kyu koi chilman utha kar dekh le dekh le
kyu koi chilman utha kar dekh le
azmaye honge tune saikdo
ab hame bhi azma kar dekh le dekh le
ab hame bhi azma kar dekh le
mere jalwa dekhna aasan nahi apna muh
apna muh aayina lakar dekh le dekh le
apna muh aayina lakar dekh le
ye hasi surat hai jab tak samne
kaun uthe aayine ko thamne
or fir aayina dikhlayega kya
tere diwano ke kam aayega kya
apni surat se to wayasak hai hame
tere jalwo se mohabbat hai hame
jo teri surat dikaha de janeman
hume to wo aayina lage janeman
taki ye aashik ye matwala tera
muddato ka chahne wala tera
tujhko duniya se
tujhko duniya se chupakar dekh le dekh le
janeman chilman utha kar dekh le dekh le
dil jalo se dil laga kar dekh ke dekh le
janeman chilman utha kar dekh le
meri sune to o pardeshi dil se dil takrane de
meri sune to o pardeshi dil se dil takrane de
are bhala lage to gale se lag ja
bura lage to jane de
bhala lage to gale se lag ja
bura lage to jane de
bhala lage to gale se lag ja
mukh pe bhor ki lali jhalke
sagar chalke paw me
sawan rut ki bijli bankar
chali hai tu kis gaon me
bhala lage to sang chala chal
bura lage to jane de
bhala lage to gale se lag ja
bura lage to jane de
bhala lage to gale se lag ja
khoya khoya kyu ghume hai
mere nagar ki raho me
ulajh gaya dil kis jalim ki
jadu bhari nigaho me
are bhala lage to dil se puch le
bura lage to jane de
meri sune to o pardeshi dil se dil takrane de
meri sune to o pardeshi
bhala lage to gale se lag ja
dukh jo diye hain duniya ne mai jaanu ya tu jaane
uparwala kya jaane, mai jaanu ya tu jaane
dukh jo diye hain duniya ne mai jaanu ya tu jaane
uparwala kya jaane, mai jaanu ya tu jaane
ham jaise nirdhan duniya me aaye kyu
usse hi puchhe koi usne banaaye kyu
ham jaise nirdhan duniya me aaye kyu
usse hi puchhe koi usne banaaye kyu
gum apne sukh begaane mai jaanu ya tu jaane
dukh jo diye hain duniya ne mai jaanu ya tu jaane
uparwala kya jaane, mai jaanu ya tu jaane
rasta hi aangan rasta hi ghar hai
kaha-kaha bhatke kisko khabar hai
rasta hi aangan rasta hi ghar hai
kaha-kaha bhatke kisko khabar hai
fariyaade hain ya gaane mai jaanu ya tu jaane
dukh jo diye hain duniya ne mai jaanu ya tu jaane
uparwala kya jaane, mai jaanu ya tu jaane
auro ke dumhale aur rang-raliya
hamako mili hain andhiyari galiya
auro ke dumhale aur rang-raliya
hamako mili hain andhiyari galiya
barbadi ke afsane mai jaanu ya tu jaane
dukh jo diye hain duniya ne mai jaanu ya tu jaane
uparwala kya jaane, mai jaanu ya tu jaane
aye dil zuban na khol sirf dekh le
kisi se kuch na bol sirf dekh le
aye dil zuban na khol sirf dekh le
ye hasin jagmagahate aachalo ki sarsarahte
ye hasin jagmagahate aachalo ki sarsarahte
aachalo ki sarsarahte
ye nashe me jhumti jami sabke paw chumti jami
ye nashe me jhumti jami sabke paw chumti jami
kis kadar hai gol sirf dekh le
aye dil zuban na khol sirf dekh le
kitna sach hai kitna jhuth hai, kitna hak hai kitni lut hai
rakh sabhi ki laz kuch na kah, kya hai ye samaz kuch na kah
dhol ka ye pol sirf dekh le, aye dil juba na khol sirf dekh le
man le jaha ki bat ko, din samjh le kali rat ko
man le jaha ki bat ko, din samjh le kali rat ko
din samjh le kali rat ko
chalne de yuhi ye silsila, ye na bol kisko kya mila
chalne de yuhi ye silsila, ye na bol kisko kya mila
tarazuo ka jhol sirf dekhle, aye dil juba na khol sirf dekh le