People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 7 *

Chail Chabeela
Music: Sardar Malik
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Video:
chhail chhabila rang
rangila kaun nagar se aaya
hey banki hasina dil ka
nagina tere liye main laya
are re jhuth hai allah
are re sach hai wallah
are re jhuth hai allah
are re sach hai wallah
chhail chhabila rang
rangila kaun nagar se aaya
hey banki hasina dil ka
nagina tere liye main laya
are re jhuth hai allah
are re sach hai wallah

dil ke saudagar lakho dekhe
pyar hai hira jane na koi
pyar hai hira jane na koi
pyar ki kimat humse puchho
sari umariya pyar me khoyi
sari umariya pyar me khoyi
o mere jana le nazrana
jaan ka moti laya
are re jhuth hai allah
are re sach hai wallah
chhail chhabila rang
rangila kaun nagar se aaya
hey banki hasina dil ka
nagina tere liye main laya
arey re jhuth hai allah
arey re sach hai wallah

haye badi chalak hai duniya
muh pe shabnam dil me shola
muh pe shabnam dil me shola
meri mohabbat dhokha na samjho
aaunga lekar pyar ka tola
aaunga lekar pyar ka tola
leke chalunga prem nagariya
tu hi mere man bhaya
are re jhuth hai allah
are re sach hai wallah
are re jhuth hai allah
are re sach hai wallah
Hum Apne Gham Ko
Singer: Asha Bhosle
Music: Sardar Malik
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Video:
hum apne gam ko saja kar bahar kar lenge
hum apne gam ko saja kar bahar kar lenge
tere khyal ko thoda sa pyar kar lenge
hum apne gam ko

kabhi to aayega tu mere dil ki raahon par
kabhi to aayega tu mere dil ki raahon par
tamam umr tera intjar kar lenge
tere khyal ko thoda sa pyar kar lenge
hum apne gam ko

tadap tadap ke kahi ro ke raat katenge
tadap tadap ke kahi ro ke raat katenge
hasin chand ko hum raajdar kar lenge
tere khyal ko thoda sa pyar kar lenge
hum apne gam ko saja kar bahar kar lenge
hum apne gam ko
Le Lo Babu Pudiya
Music: Sardar Malik
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Video:
le lo babu pudiya ye jadu wali pudiya
khaye buddha buddhi ban jaye gudda guddi
le lo babu pudiya ye jadu wali pudiya
khaye buddha buddhi ban jaye gudda guddi
le lo babu pudiya

hey mitti pe hath maaro mitti sona ban jaye
koi garib khaye ghar pe uske daulat aaye
bhai mitti pe hath maaro mitti sona ban jaye
koi garib khaye ghar pe uske daulat aaye
badle ye kismat o do paise kimat
badle ye kismat o do paise kimat
bechu main dil ki ye chidiya
le lo babu pudiya ye jadu wali pudiya
khaye buddha buddhi ban jaye gudda guddi
le lo babu pudiya

hey miya biwi ka jhagda fauran mitati hai ye
are iska asar na puchho apna banati hai ye
hey miya biwi ka jhagda fauran mitati hai ye
are iska asar na puchho apna banati hai ye
jo bhi kharid le wo duniya ko jeet le
o jo bhi kharid wo duniya ko jeet le
bhule na sari umariya
le lo babu pudiya ye jadu wali pudiya
khaye buddha buddhi ban jaye gudda guddi
le lo babu pudiya

bichhde dil ko milwaye mausam khushi ka laye
o koi musafir khaye manzil usko mil jaye
o bichhde dil ko milwaye mausam khushi ka laye
koi musafir khaye manzil usko mil jaye
ulfat ki raat hai ye o thodi si khak hai ye
ulfat ki raat hai ye ha thodi si khak hai ye
laya main tumri nagariya
le lo babu pudiya ye jadu wali pudiya
khaye buddha buddhi ban jaye gudda guddi
le lo babu pudiya
Jaadugar Saiyan
Music: Sardar Malik
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Video:
jadugar saiyan dekho kar gaya jadu
lakh manaun dil ko rahen nahi kabu hay
jadugar saiyan dekho kar gaya jadu
hay jadugar saiyan dekho

dil de diya hai hamne tum hi to meet ho
o tum hi to meet ho
o tum hi to meet ho
o aage hamari kismat haar ho ki jeet ho
ho haar ho ki jeet ho
ho haar ho ki jeet ho
o pyar sikhane wale rasiya sadhu
jadugar saiyan dekho kar gaya jadu
kar gaya jadu
hay jadugar saiyan dekho

pyar ka fir kabhi khali na jayega
o khali na jayega
aa khali na jayega
aa diwana karne wala ghabrake aayega
o ghabrake aayega
aa ek huyi hai dil ki chhupi chhupi aarju
jadugar saiyan dekho kar gaya jadu
kar gaya jadu
jadugar saiyan dekho
Sunn More Rasiya
Music: Sardar Malik
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Video:
sun more rasiya sun man basiya
chhod ke ab nahi jana
chhod ke ab nahi jana
pyar nibhaunga dil se na jaunga
mai to teraa hi divana
mai to teraa hi divana

hontho pe mere piya tera hi naam hai
hontho pe mere piya tera hi naam hai
mai hu teri daasi tu mera ghanshyam hai
tere liye chhoda maine sara jamana
sun more rasiya sun man basiya
chhod ke ab nahi jana
chhod ke ab nahi jana
pyar nibhaunga dil se na jaunga
mai to teraa hi divana
mai to teraa hi divana

aandhi se khele chahe mausam bahar ka
aandhi se khele chahe mausam bahar ka
bujhne na dunga kabhi dipak pyar ka
chamakega chand banke pyar ka fasana
pyar nibhaunga dil se na jaunga
mai to teraa hi divana
mai to teraa hi divana
sun more rasiya sun man basiya
chhod ke ab nahi jana
chhod ke ab nahi jana
pyar nibhaunga dil se na jaunga
mai to teraa hi divana
mai to teraa hi divana
Sunn More Rasiya
Music: Sardar Malik
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Video:
sun more rasiya sun man basiya
chhod ke ab nahi jana
chhod ke ab nahi jana
pyar nibhaunga dil se na jaunga
mai to teraa hi divana
mai to teraa hi divana

hontho pe mere piya tera hi naam hai
hontho pe mere piya tera hi naam hai
mai hu teri daasi tu mera ghanshyam hai
tere liye chhoda maine sara jamana
sun more rasiya sun man basiya
chhod ke ab nahi jana
chhod ke ab nahi jana
pyar nibhaunga dil se na jaunga
mai to teraa hi divana
mai to teraa hi divana

aandhi se khele chahe mausam bahar ka
aandhi se khele chahe mausam bahar ka
bujhne na dunga kabhi dipak pyar ka
chamakega chand banke pyar ka fasana
pyar nibhaunga dil se na jaunga
mai to teraa hi divana
mai to teraa hi divana
sun more rasiya sun man basiya
chhod ke ab nahi jana
chhod ke ab nahi jana
pyar nibhaunga dil se na jaunga
mai to teraa hi divana
mai to teraa hi divana
Dilki Baazi Jeet Ke Bhi
Singer: Mohammad Rafi
Music: Sardar Malik
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Madan-Manjari/Dil-Ki-Baazi-Jeet-Ke-Bhi-Haare/JScsd0ZjWXc
Video:
dil ki bazi jit ke bhi hare
ho gaye is tarha pyar ke ishare
dil ki bazi jit ke bhi hare
ho gaye is tarha pyar ke ishare
dil ki bazi jit ke bhi hare

dekh kar kisi ko hosh kho gaye
ek nazar me hum kisi ke ho gaye
haye re wo samna dil pada hai thamna
phir rahe hai aankh me nazare
dil ki bazi jit ke bhi hare
ho gaye is tarha pyar ke ishare
dil ki bazi jit ke bhi hare

jhumke nache wo to jhume zindagi
uske har kadam pe baze ragini
ek pari jamal hai aisi mast chal hai
jaise morni ke ho ishare
dil ki bazi jit ke bhi hare
ho gaye is tarha pyar ke ishare
dil ki bazi jit ke bhi hare

yaad uski zindagi ke sath hai
uski har ada me ek bat hai
pyar ki kitab hai wo to lazawab hai
jo bhi dekhe jaan apni ware
dil ki bazi jit ke bhi hare