I am a writer of books in retrospect. I talk in order to understand; I teach in order to learn -Robert Frost
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 4 *

Duniya Banane Wale
Music: Madan Mohan
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hindustan-Ki-Kasam/Duniya-Ban
duniya banane vale yahi hai
meri iltaja ki ho na kabhi apne juda
duniya banane vale yahi hai
meri iltaja ki ho na kabhi apne juda

ghar ke jo ujale hai bachana unhe
ja ke apne sine se lagana unhe
tu bhi unka sathi hai batana unhe
jaldi vo aaye tute ghar basaye
yahi dil se nikle sada
ki ho na kabhi apne juda

pehna hai andhero ka zamin ne kafan
suni suni duniya hai
sahma sa chaman
kate chune paye phulo ka badan
tere hawale baharo ke paale
dukhi dil ki hai ye dua
ki ho na kabhi apne juda
duniya banane vale
Hindustan Ki Kasam
Music: Madan Mohan
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hindustan-Ki-Kasam/Hindustan-
Video:
hindustan ki kasam, hindustan ki kasam, hindustan ki kasam
na jhukega sir vatan ka, har jawan ki kasam
na jhukega sir vatan ka, har jawan ki kasam
hindustan ki kasam, hindustan ki kasam

jinhe pyar hai vatan se, vo ja pe khelte hai
khawabo se khelte hai, arma se khelte hai
mile raho me jo tuffa, tuffa se khelte hai
hai issi me shan apni, issi shan ki kasam
na jhukega sir vatan ka, har jawan ki kasam
hindustan ki kasam, hindustan ki kasam

dil hoga jitna ghayal, utna magan rhega
dunoyo ko yaad apna, ye baat safal rahega
leharaye ja tiranga, jab tak vatan rahega
yahi shan hai humara, iss shan ki kasam
yahi shan hai humara, iss shan ki kasam
hindustan ki kasam, hindustan ki kasam
na jhukega sir vatan ka, har jawan ki kasam
na jhukega sir vatan ka, har jawan ki kasam
hindustan ki kasam, hindustan ki kasam
Hai Tere Saath Meri Wafa
Music: Madan Mohan
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hindustan-Ki-Kasam/Hai-Tere-S
Video:
hai tere sath meree wafa, mai nahee toh kya
jinda rahega pyar meraa, mai nahee toh kya
hai teraa sath

tere liye ujalo kee koyee kamee nahee
sab teree roshnee hai, meree roshnee nahee
koyee naya chirag jala, mai nahee toh kya
hai teraa sath

kuchh dhadkano kaa jikr ho, kuchh dil kee bat ho
mumkin hai iske bad, naa din ho naa rat ho
mere liye naa ashk baha, mai nahee toh kya
hai teraa sath
Har Tarf Ab Yehi Afsane Hai
Singer: Manna Dey
Music: Madan Mohan
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hindustan-Ki-Kasam/Har-Taraf-
Video:
har taraf abb yahee afsane hain
ham teree aankho ke diwane hain
har taraf abb yahee afsane hain

itanee sachchayee hai inn aankho me, khote sikke bhee khare ho jaye
too kabhee pyar se dekhe jo udhar, sukhe jangal bhee hare ho jaye
bag ban jaye, bag ban jaye jo virane hain
ham teree aankho ke diwane hain
har taraf abb yahee afsane hain

ek halka sa ishara inka, kabhee dil aur kabhee jan lutega
kis tarha pyas bujhegee usakee, kis tarha usaka nasha tutega
jiski kismat me, jisakee kismat me yeh paimane hain
ham teree aankho ke diwane hain
har taraf abb yahee afsane hain…

nichee najro me hain kitna jadu, ho gaye pal me kayee khwab jawan
kabhee uthhne kabhee jhukne kee ada, le chalee jane kidhar jane kaha
raste pyar ke, raste pyar ke anjane hain
ham teree aankho ke diwane hain - (2)
har taraf abb yahee afsane haina