Jhelum, Jhelum Dhoondhe Kinara
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Haider/Jhelum/RA45AS0IAwo
jhelum, jhelum dhundhe kinara
jhelum, jhelum dhundhe kinara
jhelum, jhelum dhundhe kinara
jhelum, jhelum dhundhe kinara
dooba sooraj kin aankhon mein
sooraj dooba kin aankhon mein
jhelum huaa khaara
jhelum, jhelum dhundhe kinara
jhelum, jhelum dhundhe kinara
kisse punche kitni der se
dard ko sehte jaana hai
andhi raat ka haath pakadkar
kab tak chalte jaana hai
lahu lahu lahu waqt ka khoon hua re
lahu lahu lahu waqt ka khoon hua re
lahu lahu lahu waqt ka khoon hua re
lahu lahu lahu lahu lahu lahu
lahu lahu lahu lahu lahu lahu
lahu bahta angaara, lahu bahta angaara
dooba sooraj kin aankhon mein
sooraj dooba kin aankhon mein
jhelum huwa khaara
jhelum, jhelum dhundhe kinara
jhelum, jhelum dhundhe kinara
So Jao
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Haider/So-Jao/XQsbCUVbeHQ
are aao na ki jaan gayi, jahaan Gaya so jao
are aao na ke thak gayi hai Zindagi so jao
na shaam na savera, andhera hi andhera
na shaam na savera, andhera hi andhera
Hai rooh ka basera so jao, are aao na
chota na bada koi lamba hai na bona hai
kabaro ke dadab me lambi neend sona hai
chota na bada koi lamba hai na bona hai
kabaro ke dadab me lambi neend so na hai
na bistar hai na bori, na bhan na hi lori
farishto ki lori so jao
are aao na ki jaan gayi, jahaan Gaya so jao
are aao na ke thak gayi hai Zindagi so jao
are aao na
Aaj Ke Naam
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Haider/Aaj-Ke-Naam/GSwjYAxmT1
aaj ke naam aur aaj ke gham ke naam
aaj ka gham ke hai zindagi ke bhare
gulsita se khafa, zard patton ka ban
zard patton ka ban jo mera desh hai
dard ki anjuman jo mera desh hai
unn dukhi maaon ke naam, unn dukhi maaon ke naam
raat me jinke bachche bilakhte hai
aur nind ki maar khaaye huye baajuo se sambhalte nahi
dukh bataate nahi, minnato zaariyo se behalte nahi
unn haseenaon ke naam, unn haseenaon ke naam
jinki aankhon ke gul chilmano aur dareecho ke belon pe
bekaar khil khil ke murjha gaye hai
unn beyahtaon ke naam, unn beyaahtaon ke naam
jinke badan bemohabbat riyaatar
se jo thee saj saj ke ukta gaye hai
bewaaon ke naam
katadiyon aur galiyon mohallon ke naam
jinke naapaak khashaak se
chand raato ko aake karta hai aksar vazoo
jinke saayon me karti hai aahob ka
aanchalon ki hina, chudiyon ki khanak, kaakulon ki mehak
aarzoo mand seeno ki apne pasine me jalne ki boo
padhnewaalo ke naam
aaj ke naam aur aaj ke gham ke naam
unn dukhi maaon ke, unn haseenaon ke
unn beyahtaon ke naam
Ek Aur Bismil
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Haider/Ek-Aur-Bismil/QFkJdRYD
o bismil bismil bulbul-e-bismil
are mat mil, mat mil gul se mat mil
o bismil bismil bulbul-e-bismil
are mat mil, mat mil gul se mat mil
bismil bismil bulbul-e-bismil
aye dil-e-bulbul bulbul-e-bismil
mushkil-e-dil bhi mushkil hoti hai
dil dhadke dil dil dhadke toh
are dil dhadke dil dil dhadke toh
dhadkan-e-dil bhi harqat-e-dil hoti hai
khushbuein gul me, ishq bhara hai
mat mil mat mil gul se mat mil aye bulbul-e-bismil
mat mil mat mil gul se mat mil aye bulbul-e-bismil
alvil alvil alvida, dil-vil dil-vil ki adaa
phoonk de ab toh phoonk de, saari raat ye dil jala
alvil alvil alvida, dil-vil dil-vil ki adaa
phoonk de ab toh phoonk de, saari raat ye dil jala
vida kar ishq vida kar, vida kar ishq vida kar
kon jiyega mar-var ke, kinara chhoda tera
kinara chhoda jabse doob gaye hum tartar ke
dil dhadke dil dil dhadke toh
are dil dhadke dil dil dhadke toh
dhadkan-e-dil bhi harqat-e-dil hoti hai
khushbuein gul me, ishq bhara hai
mat mil mat mil gul se mat mil aye bulbul-e-bismil
mat mil mat mil gul se mat mil aye bulbul-e-bismil
bismil, bismil bulbul-e-bismil bismil, bismil
mat mil mat mil gul se mat mil aye bulbul-e-bismil
mat mil mat mil gul se mat mil aye bulbul-e-bismil
mat mil mat mil gul se mat mil aye bulbul-e-bismil
mat mil mat mil gul se mat mil aye bulbul-e-bismil
Gulon Mein Rang Bhare
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Haider/Gulon-Mein-Rang-Bhare/
bada hai dard ka rishta, bada hai dard ka rishta
dard ka rishta
bada hai dard ka rishta, bada hai dard ka rishta
bada hai dard ka rishta yeh dil gareeb sahi
tumhaare naam pe aayenge gam gusaar chale
gulon me rang bhare baad-e-naubahar chale
gulon me rang bhare baad-e-naubahar chale
chale bhi aao ke gulshan ka karobaar chale
chale bhi aao ke gulshan ka karobaar chale
gulon me rang bhare baad-e-naubahar chale
gulon me rang bhare baad-e-naubahar chale
kafas udaas hai yaaro sabaa se kuch toh kaho
kafas udaas hai yaaro sabaa se kuch toh kaho
kahi to bahar-e-khuda aaj zikar-e-yaar chale
chale bhi aao ke gulshan ka karobaar chale
gulon me rang bhare baad-e-naubahar chale
gulon me rang bhare baad-e-naubahar chale
jo humpe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
jo humpe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
hamaare ashk teri aakbat sanwaar chale
chale bhi aao ke gulshan ka karobaar chale
gulon me rang bhare baad-e-naubahar chale
gulon me rang bhare baad-e-naubahar chale
Woh Mere Do Jahan Saath Le Gayi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Haider/Do-Jahaan/Jl1bXgNgAwA
sire udhad gaye hai subaho shaam ke
woh mere do jahaan saath le gaya
tamaam dastaan saath le gaya
woh mere do jahaan saath le gaya
tamaam dastaan saath le gaya
bitti naai doorie, choom zaraai bamaraiyo
kya kar hou thaam, zaar zaroi bamaraiyo
woh bepanah pyaar karta tha mujhe
woh bepanah pyaar karta tha mujhe
gaya toh meri jaan saath le gaya
tamaam dastaan saath le gaya
sharmand karta aaftabo kand halai zoon
khand chaini gaij so, laij so daraai bamaraiyo
main sajde se utha to koi bhi na tha
main sajde se utha to koi bhi na tha
wo paavo ke nishaan saath le gaya
gaya toh meri jaan saath le gaya
wo mere do jahaan saath le gaya
tamaam dastaan saath le gaya
Khul Kabhi Toh
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Haider/Khul-Kabhi-Toh/PwYEdgF
khul kabhi toh, khul kabhi kahi
main aasman, tu meri zameen
bund bund barsun main
paani paani khelu khelu aur beh jau
geele geele hotho ko main
baarisho se choomu choomu aur keh jau
tu zameen hai, tu meri zameen
khul kabhi toh, khul kabhi kahi
main aasmaan, tu meri zameen
lab tere yu khule jaise harf the
honth par yu ghule jaise barf the
aana zara zara main haule haule
saans saans senk du tujhe
lab tere yu khule jaise harf the
honth par yu ghule jaise barf the
tu hi tu hai, main kahi nahi
hmm khul kabhi toh, khul kabhi kahi
hmm main aasmaan, tu meri zameen
jhuk ke jab jhumka main choom raha tha
der tak gulmohar jhoom raha tha
jal ke main sochta tha
gulmohar ki aag hi me phenk doon tujhe
jhuk ke jab jhumka main choom raha tha
der tak gulmohar jhoom raha tha
tu meri kasam, tu mera yakeen
khul kabhi toh, khul kabhi kahi
main aasmaan, tu meri zameen
bund bund barsu main
paani paani kehlu khelu aur beh jau
geele geele hontho ko main
barisho se choomu choomu aur keh jau
Bismil Bismil
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Haider/Bismil/KgcYRDcIXUo
bismil bismil, bulbul-e-bismil
mat mil mat mil, gul se mat mil
bismil bismil, bulbul-e-bismil
aye dil-e bulbul, bulbul-e-bismil
mushkil-e-dil bhi mushkil hoti hai
dil dhadke dil dil dhadke to
dhadkan-e-dil bhi harkat-e-dil hoti hai
khushbu-e-gul me ishq bhara hai
mat mil mat mil, gul se mat mil
aye bulbul-e-bismil
mat mil mat mil, gul se mat mil
aye bulbul-e-bismil
sun le zamana samjhata hu teri kahani dohrata hu
aye dil-e-bulbul, bulbul-e-bismil
ik joda tha nar mada ka bholi thi bulbul, nar sada tha
barf gira karti thi jab bhar jati thi kohsaaro me
ik baaz bada badneeyat tha udta tha sabz anzaaro me
pankho me uske maut chhupi thi
mehfil mehfil dhundh raha tha mehlo ki manzil
mehfil mehfil dhundh raha tha mehlo ki manzil
bulbul ke khwabo me ja kar zeher ke dank lagaye the
khushbu-e-gul me zeher bhara aur mada ko bhijwaye the
zeher ke dank lagaye the bulbul ke khwabo me ja kar
mada ko bhijwaye the zeher ke dank lagaye
vadi me chhidka baarood jheel me jaal bichha dale
chhuriyo se bechare nar ke dono pankh kat dale
are dil dil dil dil jhooth kahe ye
jhooth kahe buzdil mat mil mat mil, gul se mat mil
aye bulbul-e-bismil
zakhmi nar ko qaid kiya zanjeero me bandhwaya
baramula ke sheerinpur se dil pani me phikwaya
jehlum, jehlum laal laal hua laal laal hua laal laal hua laal
kashmir ke pani ki taasire ghul gayi zanjeere takdire
zinda hai wo zinda hoga mujrim bhi sharminda hoga
hosh me aaja, hosh me aaja aye bulbul-e-bismil
khushbu-e-gul me zeher bhara hai
hosh me aaja, hosh me aaja aye bulbul-e-bismil
Arey Aao Na
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Haider/Aao-Na/GjEiZUV2RXo
jale hi jale hi jale diye se jal rahi sari zindagi hooo
jale hee jale hee jale diye se jal rahi saari zindagi ooo
nahi bujhey, bujhey nahi hawaa se bujhey nahi saari zindagi oo
ek phoonk se miyaan sab udd gaya dhuaan
woh jo saans ki ek phaans thi
woh nikal gayi jo kharaash thi
ama seene ki wo khalish gayi
bekarariyan, bimaariyan gayi
ab to aao jaan meri so bhi jaaoo
arey aao na ke jaan gayi, jahaan gaya so jaao
arey aao na ke thak gayi hai zindagi, so jaao
arey aao na ke jaan gayi, jahaan gaya so jaao
arey aao na ke thak gayi hai zindagi, so jaao
naa shaam na savera andhera hi andhera
naa shaam na savera andhera hi andhera
hai roohon ka basera, so jaao
hawa they hawa they hawa
hawa they hawa huye baaqi to khalaa
hawa they hawa they hawa
hawa they hawa huye baaqi to khalaa
kabhi they to kabhi nahi kabhi they kabhi nahi
baaqi toh khuda ooo
ye tha azal se tha uske fazal se tha
bada kaam tha jo zameen par
wo to likh diya jabeen par
jo guzar gayi, wo guzar gayi
bewajah yaha naa raho miyaan
chalo miyaan, sabr le lo qabr le lo
ghar mein aao oooooo
arey aao na ke jaan gayi, jahaan gaya so jaao
arey aao na ke thak gayi hai zindagi, so jaao
arey aao na ke jaan gayi, jahaan gaya so jaao
arey aao na ke thak gayi hai zindagi, so jaao