People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 3 *

Duniya Ek Jhamela
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: Asad Bhopali
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Farishta/Duniya-Ek-Jhamela-Ha
duniya ek jhmela hai duniya ek jhmela hai
duniya ek jhmela hai duniya ek jhmela hai
o diwane humse mil aa mila le dil se dil
o diwane humse mil aa mila le dil se dil
duniya ek jhmela hai

mast ankho ke daud karne de pyar kar muskura dil chura
duniya ek jhmela hai duniya ek jhmela hai
o diwane humse mil aa mila le dil se dil
duniya ek jhmela hai

aayegi ye hasi raate aa jara karle pyar ki baate
pyar kar muskura dil chura
duniya ek jhmela hai duniya ek jhmela hai
o diwane humse mil aa mila le dil se dil
duniya ek jhmela hai

ek nasha sa hai zindagi kya hai aa gale mil ja sochta kya hai
pyar kar muskura dil chura duniya ek jhmela hai
o diwane humse mil aa mila le dil se dil
o diwane humse mil aa mila le dil se dil
duniya ek jhmela hai
Bhaiya Mere Pyare
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: Asad Bhopali
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Farishta/Bhaiya-Mere-Pyare/JQ
ye ristha nahi khun ka
ye ristha hain pyar ka bahna
humko tumse pyar nahi
ab kaha hain phir kahna nahi

jaan gayi ha gayi
maan gayi ha maan gayi
kitna sundar kitna pyara ye sara sansaar hain
is sansaar me sabse pyara bhai bahan ka pyar hain
kitna sundar kitna pyara ye sara sansaar hain
is sansaar me sabse pyara bhai bahan ka pyar hain

preet humari tut nahi sakti
ye kacchi dor nahi
jis din hum tumko na dekhe
us din hoti bhor nahi
preet humari tut nahi sakti
ye kacchi dor nahi
jis din hum tumko na dekhe
us din hoti bhor nahi
na babul na maiya mera
tum bin koi aur nahi
na babul na maiya mera
tum bin koi aur nahi
sabse jyada rab se jyada mujhe tum pe aitbaar hain
is sansaar me sabse pyara bhai bahan ka pyar hain
kitna sundar kitna pyara ye sara sansaar hain
is sansaar me sabse pyara bhai bahan ka pyar hain

tayom tata tayom taha
tayom tata tayom taha
taan dhitaan tai ththye
taan dhitaan tai ththye
dhitan dhitan
dhitan dhitan
dhita tigdam jhum
dhita tigdam jhum
dhita tigdam jhum
dhita tigdam jhum

yu hi hansti gaati rahe tu rab se roj dua maangu
apni khushiyan tujhko du tujhse har dukh tera maangu
yu hi hansti gaati rahe tu rab se roj dua maangu
apni khushiyan tujhko du tujhse har dukh tera maangu
soch rahi hu aaj ke din main
tum dono se kya manngu
soch rahi hu aaj ke din main
tum dono se kya manngu
teri kasam tu jaan bhi maange
to kisko inkaar hain
is sansaar me sabse pyara bhai bahan ka pyar hain
kitna sundar kitna pyara ye sara sansaar hain
is sansaar me sabse pyara bhai bahan ka pyar hain

diwali me deep jalayein sang rang khele holi me
bichad na jana mujhse tum jivan ki aankh micholi me
diwali me deep jalayein sang rang khele holi me
bichad na jana mujhse tum jivan ki aankh micholi me
bichadenge par pahle tujhko bithaayenge doli me
o bichadenge par pahle tujhko bithaayenge doli me
bane tu dulhan bas us din ka hume intzaar hain
is sansaar me sabse pyara bhai bahan ka pyar hain
kitna sundar kitna pyara ye sara sansaar hain
is sansaar me sabse pyara bhai bahan ka pyar hain
Dekhi Teri Duniya Are
Singer: Mukesh
Lyricist: Asad Bhopali
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Farishta/Dekhi-Teri-Duniya/Ei
dekhi teri duniyaa are dekhe tere kaam
kisi ghar me subah kisi ghar me shaam
kisi ghar me subah kisi ghar me shaam
dekhi teri duniyaa are dekhe tere kaam
kisi ghar me subah kisi ghar me shaam
kisi ghar me subah kisi ghar me shaam

dekhi teri duniyaa are dekhe tere kaam


ye duniyaa hai mit khushi ki
dukh me shaamil koi nahi
sab hai ghaayal karne vaale
inme ghaayal koi nahi
jo auro ke dard me tadpe
kyaa aisaa dil koi nahi hai
koi nahi hai
dekhi teri duniyaa are dekhe tere kaam
kisi ghar me subah kisi ghar me shaam
kisi ghar me subah kisi ghar me shaam
dekhi teri duniyaa

ek aangan me ujli kirane
ek aangan me hai andhiyaaraa
ek daaman me mahaki kaliyaan
ek daaman me hai angaraa
apnaa sukh jo sabko baante
dar-dar bhatke vo dukhiyara
vo dukhiyara
dekhi teri duniyaa are dekhe tere kaam
kisi ghar me subah kisi ghar me shaam
kisi ghar me subah kisi ghar me shaam
dekhi teri duniyaa are dekhe tere kaam
kisi ghar me subah kisi ghar me shaam
kisi ghar me subah kisi ghar me shaam