People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 8 *

Baby of Bombay
Singer: Iqbal Singh
Lyricist: Shailendra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Phool-Char-Kante/Baby-Of-B
a beautiful baby of bombay
rock and roll noha noha
you check for in anyway
you to good in your eh
dont miss you
??

a beautiful baby of bombay
rock and roll noha noha
O Meri Baby Doll
Singer: Mohammad Rafi
Lyricist: Shailendra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Phool-Char-Kante/O-Meri-Ba
o meri baby doll
haan yaa naa
arre kuchh to bol
o meri baby doll
haan yaa naa
arre kuchh to bol
dil ki baat
mere dil ki baat
mere dil ki baat
sun ja
ho
o meri baby doll
haan yaa naa
arre kuchh to bol
o meri baby doll
haan yaa naa
arre kuchh to bol
dil ki baat
mere dil ki baat
mere dil ki baat
sun ja

ek nazar ne teri maar diyaa
is adaa ne teri loot liyaa
kis khataa ka badlaa liyaa
ye bataa
na sataa
ye bataa
na sataa
na sataa
o meri baby doll
haan yaa naa
arre kuchh to bol
o meri baby doll
haan yaa naa
arre kuchh to bol
dil ki baat
mere dil ki baat
mere dil ki baat
sun ja

phir mujhe wo jalwaa dikha
phir se ik dafaa muskuraa
phir se mujhpe bijli giraa
ab to aa
aa bhi jaa
ab to aa
aa bhi jaa
aa bhi jaa
o meri baby doll
haan yaa naa
arre kuchh to bol
o meri baby doll
haan yaa naa
arre kuchh to bol
dil ki baat
mere dil ki baat
mere dil ki baat
sun ja

mast mast teri shokiyaan
zulf ki ye kaali badliyaan
le udengin ye aandhiyaan
dil mera
dhund la
dil mera
dil mera
kho gayaa
kho gayaa
o meri baby doll
haan yaa naa
arre kuchh to bol
o meri baby doll
haan yaa naa
arre kuchh to bol
dil ki baat
mere dil ki baat
mere dil ki baat
sun ja
ho
dil ki baat
mere dil ki baat
mere dil ki baat
sun ja
Soch Rahi Thi Kahoon Na Khaoon
Lyricist: Shailendra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Phool-Char-Kante/Soch-Rahi
soch rahi ki kahu na kahu par aaj kahungi mere sanam
tune le to liya dil yaad rahe mera jina hai mushkil
tere bina tere bina soch rahi ki kahu na kahu
par aaj kahungi mere sanam tune le to liya dil
yaad rahe mera jina hai mushki tere bina tere bina
kya mai kahu sajna mujhko huya kya hai

mujhme base ho tum tumse chhupa kya hai
kya mai kahu sajna mujhko huya kya hai
mujhme base ho tum tumse chhupa kya hai
tum hi suno ab kahta hai kya dil
yaad rahe mera jina hai mushkil
tere bina tere bina soch rahi ki kahu na kahu
par aaj kahungi mere sanam tune le to liya dil
yaad rahe mera jina hai mushki tere bina tere bina
haye re dil dhadke ki aur mai ghabrau

ji kare aise uad ke chali aau haye re dil dhadke ki
aur mai ghabrau ji kare aise uad ke chali aau
tu hai mere armano ki manjil yaad rahe mera jina hai mushkil
tere bina tere bina rah me jab tere sath nikalti hu
bahkte hai ye kadam udti si chalti hu rah me jab tere sath nikalti hu
bahkte hai ye kadam udti si chalti hu yu hi rahe ye sapno ki jhilmil
yaad rahe mera jina hai mushkil tere bina tere bina
soch rahi ki kahu na kahu par aaj kahungi mere sanam
tune le to liya dil yaad rahe mera jina hai mushki
tere bina tere bina
Ankho Me Rang Kyu Aaya
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Phool-Char-Kante/Ankhon-Me
ankhon mein rang kyon aaya
bolo nasha sa kyon chhaaya
hamako ye raaz batalaao
dil kho ke tumane kya paaya
chamki naseeb ki raahen
ham kyon na aaj itaraayen
raahon se hat gay kaante to
phool kyon na muskaayen
aankhon mein rang

mukhade pe subah ki dhoop ye khilataa-khilata roop
kaajal lakeer chitavan ke teer ye naina roop anoop
tum kya samajho ye raaz ulfat ke ye andaaz
sun ke zaroor hoga gurur aur karane lagoge naaz
aisa khyaal mat keeje ham se ye bhed kah deeje
ham bhi to aap hi ke hain hamase yoon sharm na keeje
chamaki naseeb ki raahen hum kyo na aaj itaraayen
raahon se hat gay kaante to phool kyo na muskaayen
aankhon mein rang kyo aaya

tarasaao na yoon hamadam tumhen naaz-o-ada ki kasam
jaldi se bol do ye raaz khol do apna bna lo sanam
hargiz na kahoongi ye baat jodoge na jab tak haath
banake naseeb rahana kareeb jyoon taare chaand ke saath
tumse juda na honge ham badalen hazaar ye aalam
ham tumape jaan de denge gaati hai saans ki saragam
aankhon mein rang kyo aaya bolo nasha sa kyo chhaya
hamko ye raaz batalaao dil kho ke tumne kya paya
aankhon mei rang kyo aaya
Sambhal Ke Karna
Singer: Mukesh
Lyricist: Shailendra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Phool-Char-Kante/Sambhal-K
sambhal ke karna jo bhee karna najuk hatho wale
lachak na jaye naram kalayee pad na jaye chhale
pad na jaye chhale
sambhal ke karna jo bhee karna

hata ke parade nikal pade ho
mukabala kya tum hee bade ho
hata ke parade nikal pade ho
mukabala kya tum hee bade ho
magar jra tum idhar toh dekho
ham hai bhole bhale ham hai bhole bhale
sambhal ke karna jo bhee karna
najuk hatho wale
sambhal ke karna jo bhee karna

salonee chitavan adaye katil
woh lut gaya jo huwa mukabil
salonee chitavan adaye katil
woh lut gaya jo huwa mukabil
yeh tirachhee tirachhee najar tumharee
hamko mar na dale hamko mar na dale
achak na jaye naram kalayee pad na jaye chhale
pad na jaye chhale
sambhal ke karna jo bhee karna

tane hain tevar chadha hai para
tumhara gussa bhee jan se pyara
tane hain tevar chadha hai para
tumhara gussa bhee jan se pyara
rup ka jadu jab chadh jaye dil ko kaun sambhale
dil ko kaun sambhale
sambhal ke karna jo bhee karna
najuk hatho wale
lachak na jaye naram kalayee pad na jaye chhale
pad na jaye chhale
sambhal ke karna jo bhee karna
Tirchi Nazar Se Yu Na Dekh
Singer: Mohammad Rafi
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Phool-Char-Kante/Tirchi-Na
tirchhi nazar se yun na dekh
palat palat ke yun na dekh
mar jaaye raahon mein dilwale
aisi nazar se tu na dekh
tirchhi nazar se yun na dekh
palat palat ke yun na dekh
mar jaaye raahon mein dilwale
aisi nazar se tu na dekh

o hasin jalpari
aankh hain surma bhari
chaal se baras rahin hain mastiyaan
yun nazar utha na tu
aise muskura na tu
dil pe gir padengin lakh bijliyaan
aashiqo mein hum to hain nek
palat palat ke yun na dekh
mar jaaye raahon mein dilwale
aisi nazar se tu na dekh

ye bhanve kamaam hai
ismein laakh baan hai
chal gaye to sabki jaan jaayegi
husn ki ye mehfilein
ishq ki ye manzilen
suni suni phir to rah jaayengi
dil mera indian make
palat palat ke yun na dekh
mar jaaye raahon mein dilwale
aisi nazar se tu na dekh

raahi tere waaste
bhul rahe hain raaste
tujhko paana ek haseen khwaab hai
tu hai phul pyaar ka
geet hai bahaar hai
husn waale tera kya jawaab hai
mit rahaa hai koi tujhpe to koi ek
palat palat ke yun na dekh
mar jaaye raahon mein dilwale
aisi nazar se tu na dekh
tirchhi nazar se yun na dekh

palat palat ke yun na dekh
mar jaaye raahon mein dilwale
aisi nazar se tu na dekh
tirchhi nazar se yun na dekh
Banwari Re Jeene Ke Sahaara
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Phool-Char-Kante/Banwari-R
banvari re jine ka sahara tera nam re
mujhe duniya valo se kya kam re
banvari re jine ka sahara tera nam re
mujhe duniya valo se kya kam re

jhuthi duniya jhuthe bandhan jhuthi hai ye maya
jhuthi duniya jhuthe bandhan jhuthi hai ye maya
jhutha saans ka aana jana jhuthi hai ye kaya
o yahan sancha tera nam re
banvari re jine ka sahara tera nam re
mujhe duniya valo se kya kam re

rang me tere rang gayi girdhar chhod diya jag sara
rang me tere rang gayi girdhar chhod diya jag sara
ban gaye tere prem ki jogan lekar man ekatara
o mujhe pyara tera dham re
banvari re jine ka sahara tera nam re
mujhe duniya valo se kya kam re

darshan tera jis din pau har chinta mit jaye
darshan tera jis din pau har chinta mit jaye
jivan mera in charno me aas ki jyot jalaye
o meri baah pakad lo shyam re
banvari re jine ka sahara tera nam re
mujhe duniya valo se kya kam re
banvari re jine ka sahara tera nam re
mujhe duniya valo se kya kam re
Matwali Naar Thumak
Singer: Mukesh
Lyricist: Shailendra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Phool-Char-Kante/Matwali-N
matwaali naar thumak thumak chali jaye
matwaali naar thumak thumak chali jaye
in kadmo pe kis ka jiya na jhuk jaye
in kadmo pe kis ka jiya na jhuk jaye
matwaali naar thumak thumak chali jaye

phul badan mukhda yu damke
phul badan mukhda yu damke
baadal me jyo bijali chamke
geet suna ke tu chham chham ke
geet suna ke tu chham chham ke
lalchaaye, chhup jaye, aay haay
matwaali naar thumak thumak chali jaye
in kadmo pe kis ka jiya na jhuk jaye
in kadmo pe kis ka jiya na jhuk jaye

ye chanchal kajrari aankhe
ye chanchal kajrari aankhe
ye chitchor shikari aankhe
gayi dil cheer katari aankhe
gayi dil cheer katari aankhe
muskaye, shamaye, jhuk jaye
matwaali naar thumak thumak chali jaye
in kadmo pe kis ka jiya na jhuk jaye
in kadmo pe kis ka jiya na jhuk jaye

aa mil ke hum dhum macha de
aa mil ke hum dhum macha de
sapne sach kar ke dikhla de
is duniya ko geet sikha de
is duniya ko geet sikha de
jag dole, sang hole, aur bole
matwaali naar thumak thumak chali jaye
in kadmo pe kis ka jiya na jhuk jaye
in kadmo pe kis ka jiya na jhuk jaye
matwaali naar thumak thumak chali jaye