People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 5 *

Dabdabai Aankhe
Singer: Arun Ingle
Lyricist: Suraj Sanim
Album: Daddy(1991)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daddy/Dabdabai-Ankhen/ByMdRww
dabdabai aankhe lab pe tera naam aaya
ishq nakam sahi phir bhi bahot kaam aaya
dabdabai aankhe lab pe tera naam aaya
ishq nakam sahi phir bhi bahot kaam aaya

dabdabai aankhe lab pe tera naam aaya
ishq nakam sahi phir bhi bahot kaam aaya
dabdabai aankhe lab pe tera naam aaya
ishq nakam sahi phir bhi bahot kaam aaya
Kabhi Khwab Mein
Lyricist: Suraj Sanim
Album: Daddy(1991)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daddy/Kabhi-Khwab-Mein/KTAtel
kabhi khwab me ya khayal me
kabhi khwab me ya khayal me
kabhi zindgani ke dhar pe
main adhura sa ek geet hu
mujhe arth de to sawar ke
kabhi khwab me ya khayal me

wo benaam si koi justju
wo apne aapse guftgu
wo benaam si koi justju, wo apne aapse guftgu
tujhe chhu liya to mujhe laga
tujhe chhu liya to mujhe laga
din aa gaye hai karaar ke
kabhi khwab me ya khayal me

mere dil ki nagari me bas ek hi chah
tujhe baks du zami aasma
mere dil ki nagari me bas ek hi chah
tujhe bakas du zami aasma
mujhe darr hai teri aawargi
mujhe darr hai teri aawargi
kahi dono jaha naa ujad de
kabhi khwab me ya khayal me

naa mili thi tum to tha jee raha
naa milogi to naa jee paauga
naa mili thi tum to tha jee raha
naa milogi to naa jee paauga
meri tishnagi ko jaga diya
meri tishnagi ko jaga diya
tere saath ne tere pyar ne
kabhi khwab me ya khayal me

gowa aaj pahli ye raat hai
tere haath me mera haath hai
gowa aaj pahli ye raat hai
tere haath me mera haath hai
tha bahot dino se ye fasala
tha bahot dino se ye fasala
tujhe jeet lungi main haar ke
kabhi khwab me ya khayal me
Sapnon Ke Ghar Ki
Singer: Talat Aziz
Lyricist: Suraj Sanim
Album: Daddy(1991)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daddy/Sapnon-Ke-Ghar-Ki/L1sqa
sapno ke ghar ki chhat pe hai taare
tofiyo ki deewaro pe latke wo baare
ghar ke ujiyare so ja re
ghar ke ujiyare so ja re
daddy tere jaage tu so ja re
ghar ke ujiyare so ja re
daddy tere jage tu so ja re

sapno ke ghar ki chhat pe hai taare
sapno ke ghar ki chhat pe hai taare
tofiyo ki deewaro pe latke wo baare
haathi ghode bhalu sher chite saare
badalo ne kaise kaise rup dhaare

dhundne se khushiyo ki raahe nahi milti
dhundne se khushiyo ki raahe nahi milti
jaagne se mann ki murade nahi khilti
mile jo naa tujhe des me hamare
de jayenge nindiya ke andhiyare
ghar ke ujiyare so ja re
daddy tere jage tu so ja re
Aaina Mujhse Meri Pehle Si Surat
Singer: Talat Aziz
Lyricist: Suraj Sanim
Album: Daddy(1991)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daddy/Aaina-Mujhse-Mere/Ah0Mc
aaina mujhse meri pahli si surat mange
aaina mujhse meri pahli si surat mange
aaina mujhse meri pahli si surat mange
mere apne mere hone ki nishani mange
aaina mujhse meri pahli si surat mange

main bhatakta hi raha dard ke virane me
wakt likhta raha chehre pe har pal ka hisab
meri shohrat meri deewangi ki nazar hui
pi gayi me ki botal mere geeto ke kitab
aaj lauta hu to hasne ki ada bhul gaya
ye shehar bhula mujhe main bhi ise bhul gaya
mere apne mere hone ki nishani mange
aaina mujhse meri pahli si surat mange

mera fanphir mujhe baazar me le aaya hai
ye wo ja hai ke jaha mehro wafa bikte hai
bap bikte hai aur lafte jigar bikte hai
kokh bikti hai, dil bikte hai, sar bikte hai
is badalti hui duniya ka khuda koi nahi
saste daamo me har roj khuda bikte hai
bikte hai, bikte hai
mere apne mere hone ke nishani mange
aaina mujhse meri pahli si surat mange

har kharidar ko baazar me bikta paaya
hum kya payenge kisine yaha kya paaya
mere ehsaas mere phul kahi aur chale
bol puja meri bachi kahi aur chale
aur chale, aur chale
Wafa Jo Tumse Kabhi
Singer: Talat Aziz
Lyricist: Suraj Sanim
Album: Daddy(1991)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daddy/Wafa-Jo-Tumse-Kabhi/QBk
wafa jo tumse kabhi maine nibhayi hoti
wafa jo tumse kabhi maine nibhayi hoti
umr naa muft me sadko pe gawayi hoti
wafa jo tumse kabhi maine nibhayi hoti
umr naa muft me sadko pe gawayi hoti
wafa jo tumse

saanp yado ke hai daste mujhe har shamosahar
saanp yado ke hai daste mujhe har shamosahar
ye jo sote to mujhe nind bhi aayi hoti
teri chaukhat se jo us roj naa aaya hota
main khuda hota duniya pe khudai hoti
wafa jo tumse kabhi maine nibhayi hoti
umr naa muft me sadko pe gawayi hoti
wafa jo tumse

hoti gairat to tere saath hi mar jaate sajan
hoti gairat to tere saath hi mar jaate sajan
laash kaandho pe yu apni naa uthayi hoti
haath kya aaya mere ek siyahi ke siwa
dekhne haal mera tu bhi tabahi hoti
wafa jo tumse kabhi maine nibhayi hoti
umr naa muft me sadko pe gawayi hoti
wafa jo tumse