You have it in your power to make your days on Earth a path of flowers, instead of a path of thorns -Sri Satya Sai Baba
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Hawa Chale Kaise
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Daag(1973)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daag/Hawa-Chale-Kaise-Hawa-Ch
hawa chale kaise, hawa chale kaise
na tu jane na main janu jane wohi jaane
hawa chale kaise, hawa chale kaise
na tu jaane na main janu jane wohi jaane
ghata ude kaise, ghata ude kaise
na tu jane na main janu jane wohi jaane

thaam kar ik pal titali ka haath chupke chupke
phul se titali ne ki kya baat chupke chupke
aa zara kare bata wo shayad de bata
hawa chale kaise, hawa chale kaise
na tu jane na main janu jane wohi jaane

parabato ke sar par jhukti ghataye
daaliyo ko chhuti thandi hawaye
khamoshi ki lay pe gaati fizaye
mastiyo me dubi mithi sadaye
kaho kaun bheje kaun laye kaha se laaye
bolo kaha se laaye tum bhi socho main bhi sochu
mil jul ke bujhe paheli
hawa chale kaise, hawa chale kaise
na tu jane na main janu jane wohi jaane

bolo barf ki chaadar kisne daali hai
bolo dhudh me ye dhup kisne paali hai
kaise mithe sapano ka jaadu chalta hai
kaise suraj ugata hai chanda dhalta hai
tumko sab malum hai teacher humko bhi batalao na
saat samadar paar hai ek sapano ka sansaar
usko jadugar sardaar rakhta pariyo ka darbaar
usko aate khel hazaar karta sab bachcho se pyar
jane jane jane wo hi jaane
Yaar Hi Mera Kapada
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Daag(1973)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daag/Ni-Main-Yaar-Manana-Ni/A
yaar hi mera kapada latta yaar hi mera gahana
yaar mile to izzat samajhu kajari ban kar rahana

ni main yaar manana ni chahe log boliya bole
ni main yaar manana ni chahe log boliya bole
ni main yaar manana ni chahe log boliya bole
main to baaz na ana ni chahe zahar sautane ghole
main to baaz na ana ni chahe zahar sautane ghole
ho mukhada usaka chand ka tukada kadd saru ka buta
mukhada usaka chand ka tukada kadd saru ka buta
usaki baah ka har halkora lagata swarg ka juta
ni main yaar manana ni chahe log boliya bole
main to baaz na ana ni chahe zahar sautane ghole

yaar mile to o yaar mile to
jag kya karana yaar bina jag suna
yaar mile to jag kya karana yaar bina jag suna
jag ke badale yaar mile to yaar ka mol du duna
main to nai sharmana ni, main to nai sharmana ni
chahe log boliya bole, chahe log boliya bole
main to sej sajana ni chahe zahar sautane ghole
main to sej sajana ni chahe zahar sautane ghole
thirak rahi mere pair ki jhanjhar chhanak raha mera chuda
thirak rahi mere pair ki jhanjhar chhanak raha mera chuda
ud ud jaye anchal mera khul khul jaye juda
ni main yaar manana ni chahe log boliya bole
main to baaz na ana ni chahe zahar sautane ghole

baith akeli ho baith akeli
karti thi main deewaro se baate
baith akeli karati thi main deewaro se baate
aaj mila wo yaar to bas gayi phir se suni raate
main to jhumar paana ni, main to jhumar paana ni
chahe log boliya bole, chahe log boliya bole
nach ke yaar rijhana ni chahe zahar sautane ghole
nach ke yaar rijhana ni chahe zahar sautane ghole

bichhade yaar ne phera daala preet suhagan hui
bichhade yaar ne phera daala preet suhagan hui
aaj mili jo daulat uska mol na jane koi
ni main yaar manana ni chahe log boliya bole
main to baaz na ana ni chahe zahar sautane ghole
Hum Aur Tum Tum Aur Hum
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Daag(1973)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daag/Hum-Aur-Tum/NSxfdR50WEI
hum aur tum tum aur hum khush hai yu aaj milke
hum aur tum tum aur hum khush hai yu aaj milke
jaise kisi sangam par mil jaye do nadiya tanha bahte bahte
hum aur tum tum aur hum khush hai yu aaj milke
jaise kisi sangam par mil jaye do nadiya tanha bahte bahte
hum aur tum tum aur hum, hum aur tum tum aur hum

mudke kyun dekhe pichhe chahe kuchh bhi ho
chalte hi jaye nayi manzilo ko
raste aasan hai nahi aaj hum do
tu meri baaho me main teri baaho me
lehraye raaho me chale jhumte
hum aur tum hum aur tum, tum aur hum tum aur hum
khush hai yu aaj milke
jaise kisi sangam par mil jaye do nadiya tanha bahte bahte
hum aur tum hum aur tum, tum aur hum tum aur hum

zulfo ko khilne do saanso ko ghulne do
dil se dil tulne do
deewane ho jaye kohre me kho jaye
milke yu so jaye
jaise kisi parwat par mil gaye do baadal tanha udte udte
hum aur tum hum aur tum, tum aur hum tum aur hum
khush hai yu aaj milke
jaise kisi sangam par mil jaye do nadiya tanha bahte bahte
hum aur tum hum aur tum, tum aur hum tum aur hum
hum aur tum hum aur tum, tum aur hum tum aur hum
ha ha ha ha ha ha, ho ho ho ho ho ho
hum aur tum hum aur tum, tum aur hum tum aur hum
Ab Chaahe Maa Roothe Ya Baba
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Daag(1973)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daag/Ab-Chahe-Maa-Roothe-Ya-B
ab chaahe maa ruthe ya baaba yaara maine to ha kar li
ab chaahe maa ruthe ya baaba yaara maine to ha kar li
ab chaahe sar phute ya maatha maine teri baah pakad li
ab chaahe sar phute ya maatha maine teri baah pakad li
ho maine tujhpe neeyat dhar li maine hanskar haami bhar li
yaari chhute na tute na ha kar li to kar li
ab chaahe maa ruthe ya baaba yaara maine to ha kar li
ab chaahe sar phute ya maatha maine teri baah pakad li

tu hai muddat se dil me samaayi kab kaha maine main hu paraayi
tu hai muddat se dil me samaayi kab kaha maine main hun paraayi
jab tujhe maine dekha tu bhaayi main usi waqt kadmo me aayi
farz ke farsh par pyar ke arsh par
ho chandani ke tale jab mile the gale
jism lahraye the honth tharraye the
tab ye li thi kasam ab na bichadenge hum
ab chaahe kaante mile ya kaliya yaara maine to ha kar li
ab chaahe kaante mile ya kaliya yaara maine to ha kar li
hurr
ab chaahe lag jaaye hatkadiya maine teri baah pakadli
ab chaahe lag jaaye hatkadiya maine teri baah pakadli
maine tujhpe neeyat dhar li maine hanskar haami bhar li
ho yaari chhute na tute na ha kar li so kar li
ab chaahe maa ruthe ya baaba yaara maine to ha kar li
ab chaahe sar phute ya maatha maine teri baah pakad li

laakh pahre zamana bithaye laakh deewaare duniya uthaye
laakh pahre zamana bithaye laakh deewaare duniya uthaye
ab kadam piche hatne na paaye pyar par koi tohmat na aaye
chaahe dharti phate ho chahe ambar phate
bol tute na ab oh saath chhute na ab
jaan jaaye to kya maut aaye to kya
pyar zinda rahe yaar zinda rahe

ab chaahe ghar chhute ya sakhiya yaara maine to ha kar li
ab chaahe ghar chhute ya sakhiya yaara maine to ha kar li
wai wai
ab chaahe rab ruthe ya duniya maine teri baah pakad li
ab chaahe rab ruthe ya duniya maine teri baah pakad li
maine tujhpe neeyat dhar li maine hanskar haami bhar li
ho yaari chhute na tute na ha kar li so kar li
ab chaahe maa ruthe ya baaba
ab chaahe sar phute ya maatha
ab chaahe kaante mile ya kaliya
ab chaahe lag jaaye hatkadiya
ab chaahe ghar chhute ya sakhiya
ab chaahe rab ruthe ya duniya
ab chaahe maa ruthe ya baaba
yaara maine to ha kar li
ab chaahe sar phute ya maatha
maine teri baah pakad li
Jab Bhi Jee Chahe
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Daag(1973)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daag/Jab-Bhi-Ji-Chahe/QARSdTd
jab bhi ji chahe nayi duniya basa lete hai log
ek chehre pe kayi chehre laga lete hai log
ek chehre pe kayi chehre laga lete hai log
jab bhi ji chahe nayi duniya basa lete hai log
ek chehre pe kayi chehre laga lete hai log
ek chehre pe kayi chehre laga lete hai log

yaad rahta hai kise guzre zamane ka chalan
yaad rahta hai kise
sard pad jati hai chahat haar jati hai lagan
ab mohabbat bhi hai kya ik tijarat ke siva
hum hi nadan the jo odha biti yaado ka kafan
varna jine ke liye sab kuchh bhula lete hai log
varna jine ke liye sab kuchh bhula lete hai log
ek chehre pe kayi chehre laga lete hai log

jane wo kya log the jinko wafa ka paas tha
jane wo kya log the
dusre ke dil pe kya guzregi ye ehsaas tha
ab hai patthar ke sanam jinko ehsaas na ho
wo zamana ab kaha jo ahal-e-dil ko raas tha
ab to matlab ke liye naam-e-wafa lete hai log
ab to matlab ke liye naam-e-wafa lete hai log
jab bhi ji chahe nayi duniya basa lete hai log
ek chehre pe kayi chehre laga lete hai log
ek chehre pe kayi chehre laga lete hai log
Mere Dil Mey Aaj Kya
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Daag(1973)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daag/Mere-Dil-Mein-Aaj-Kya-Ha
mere dil me aj kya hai tu kahe to main bata du
mere dil me aj kya hai tu kahe to main bata du
teri zulf phir sawaru teri mang phir saja du
mere dil me aj kya hai tu kahe to main bata du

mujhe devta banakar teri chahato ne puja
mujhe devta banakar teri chahato ne puja
mera pyar kah raha hai main tujhe khuda bana du
mera pyar kah raha hai main tujhe khuda bana du
mere dil me aaj kya hai tu kahe to main bata du

koi dhundhne bhi aaye to hame na dhundh paye
koi dhundhne bhi aaye to hame na dhundh paye
tu mujhe kahi chhupa de main tujhe kahi chhupa du
tu mujhe kahi chhupa de main tujhe kahi chhupa du
mere dil me aaj kya hai tu kahe to main bata du

mere baazuo me aakar tera dard chain paye
mere baazuo me aakar tera dard chain paye
tere gesuo me chhupkar main jaha ke gam bhula du
tere gesuo me chhupkar main jaha ke gam bhula du
teri zulf phir sawaru teri maang phir saja du
mere dil me aaj kya hai tu kahe to main bata du