People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 5 *

tum maa ho
Music: Roshan
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Babar(1962)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Babar/Tum-Maa-Ho/GVpGQzlyXks
dukh sah ke jo sukh pahuchati hai
dukh sah ke jo sukh pahuchati hai
us mamta ko rushwa na karo
tum maa ho, tum maa ho tum aisa na karo
tum maa ho tum aisa na karo
dukh sah ke jo sukh pahuchati hai
us mamta ko rushwa na karo
tum maa ho, tum maa ho tum aisa na karo

tum maa ho tumhi se insan ko
ye jism mila or ye jan mili
neki ka chalan ima ki lagan sachai ki pahchan mili
kudrat ne diya hai jo rutba us rutbe ko nicha na karo
tum maa ho, tum maa ho tum aisa na karo

tum maa ho tumhe is dunia me jano ki hifazat karna hai
thukrake har ek khudgarzi ko insano ki khidmat karna hai
tum naslo ki kheti sichti ho tum jano ka sauda na karo
tum maa ho, tum maa ho tum aisa na karo

tum achi tarah pahchanti ho aulad ka gum kya hota hai
ye teere sitam kya hota hai, ye bar aalam kya hota hai
har maa jo tum ka darja nahi, maa hone ka dawa na karo
tum maa ho, tum maa ho tum aisa na karo
payam-e-ishq mohabbat
Music: Roshan
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Babar(1962)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Babar/Payam-E-Ishq-O-Mohabbat
payaam-e-ishq muhabbat hame pasand nahi
payaam-e-ishq muhabbat hame pasand nahi
ye dillagi ye sharaarat hame pasand nahi

bajaa nahi thaa izahaar beqaraari ka
lihaaz kuchh to kiya hota pardaadaari ka
haya se itni bagaavat hame pasand nahi
payaam-e-ishq muhabbat hame pasand nahi

hami ko hans ke sitaaro ne bhi nahi dekha
hami ko hans ke sitaaro ne bhi nahi dekha
nazar mila ke bahaaro ne bhi nahi dekha
kisi nigaah se dilat hame pasand nahi
ye dillagi ye sharaarat hame pasand nahi

jo takht-o-taaj ke vaaris hai unka pyaar hi kya
badalane vaali nigaaho kaa aitabaar hi kya
hazur ki ye inaayat hame pasand nahi
payaam-e-ishq muhabbat hame pasand nahi
tum ek baar muhabbat ka imtahaan to lo
Singer: Mohammad Rafi
Music: Roshan
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Babar(1962)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Babar/Tum-Ek-Baar-Mohabbat-Ka
tum ek baar muhabbat ka imtahaan to lo
mere junun meri vahshat ka imtahaan to lo
tum ek baar muhabbat ka imtahaan to lo

salaam-e-shauq pe ranjish bhara payaam na do
salaam-e-shauq pe ranjish bhara payaam na do
mere khloos ko hiras-o-havas ka naam na do
meri vafa ki haqikat ka imtahaan to lo
tum ek baar muhabbat ka imtahaan to lo

na takt-o-taz na laal-o-guhar ki hasarat hai
na takt-o-taz na laal-o-guhar ki hasarat hai
tumhare pyar tumhari nazar ki hasarat hai
tum apne husn ki azmat ka imtihaan to lo
tum ek baar muhabbat ka imtahaan to lo

mai apni jaan bhi de du to aitbaar nahi
mai apni jaan bhi de du to aitbaar nahi
ke tum se badhke mujhe zindagi se pyar nahi
yu hi sahi meri chahat ka imtihaan to lo
tum ek baar muhabbat ka imtahaan to lo
salam-e-hasrat qubul karlo
Music: Roshan
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Babar(1962)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Babar/Salam-E-Hasrat-Qubool-K
salam-e-hasrat kubul kar lo, meri mohabbat kubul kar lo
salam-e-hasrat kubul kar lo, meri mohabbat kubul kar lo
salam-e-hasrat kubul kar lo

udas najre tadap tadap kar, tumhare jalwo ko dhundhti hai
jo kwab ki tarah kho gaye, un hasin lamho ko dhundhti hai
hasin lamho ko dhundhti hai
agar naa ho nagwar tumko toh yeh shikayat kubul kar lo
salam-e-hasrat kubul kar lo

tumhi nigaho ki justju ho, tumhi khayalo kaa mudda ho
tumhi mere waste sanam ho, tumhi mere waste khuda ho
tumhi mere waste khuda ho
meri parastish ki laj rakh lo, meri ibadat kubul kar lo
salam-e-hasrat kubul kar lo

tumhari jhukti najar se jab tak na koyi paigam mil sakega
naa ruh taskin pa sakegi, naa dil ko aaram mil sakega
naa dil ko aaram mil sakega
game judayi hai jan leva, yeh ik hakikat kubul kar lo
salam-e-hasrat kubul kar lo
agar humna hote
Music: Roshan
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Babar(1962)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Babar/Agar-Hum-Na-Hote/RC1eeg
hasino ke jalwe pareshan rahte
hasino ke jalwe pareshan rahte
agar hum na hote, agar hum na hote
agar hum na hote, agar hum na hote
hasino ke jalwe
mohabbat se tum log anjan rahte
mohabbat se tum log anjan rahte
agar hum na hote, agar hum na hote
agar hum na hote, agar hum na hote
mohabbat se tum log anjan rahte

hami ne tumhe jane mahfil banaya
nigaho me tulne ke kabil banaya
hami ne sikhaya tumhe war karna
huye katl or tumko katil banaya
huye katl or tumko katil banaya
ye sab nazo bejan rahte, bejan rahte
ye sab nazo bejan rahte
agar hum na hote, agar hum na hote
agar hum na hote
hasino ke jalwe pareshan rahte

hami ne tumhe pyar ki roshni di
jo aachal se chalki wo chandani di
najar se jawani ki shabnam luta ke
tamanna ke har phul ko tajgi di
tamanna ke har phul ko tajgi di
chamak aarzuo ke viran rahte, viran rahte
chamak aarzuo ke viran rahte
agar hum na hote, agar hum na hote
agar hum na hote, agar hum na hote

tumhe hamne jadu bhare khwab bakshe
andheri fizao ko mahtab bakshe
junu ko wafa ka salika sikhaya
dilo ko dhadkane ke aadab bakshe
dilo ko dhadkane ke aadab bakshe
ye nadan dil yuhi nadan rahte, nadan rahte
ye nadan dil yuhi nadan rahte
agar hum na hote, agar hum na hote
agar hum na hote, agar hum na hote
mohabbat se tum log anjan rahte

jawa bajuo ko lachak hamne di hai
hasi chudio ko khanak di hai
hami ne bhara loch angadayi me
tumhe bijliyo ki chamak hamne di hai
tumhe bijliyo ki chamak hamne di hai
tum is husn par khud pasheman rahte, pasheman rahte
tum is husn par khud pasheman rahte
agar hum na hote, agar hum na hote
agar hum na hote, agar hum na hote
hasino ke jalwe pareshan rahte

dua do ke tumko mohabbat sikha di
murabbat ki khatir sarafar sikha di
hami ne tumhe dhange tahzib baksha
hami ne tumhe aadmiyat sikha di
hami ne tumhe aadmiyat sikha di
jamane me wahsat ke saman rahte, saman rahte
jamane me wahsat ke saman rahte
agar hum na hote, agar hum na hote
agar hum na hote, agar hum na hote
mohabbat se tum log